qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Hajj ek azeem ibaadat hai Hajj is a great prayer


Hajj ek azeem ibaadat hai aur zindagi main ek baar sahibe istita at par hajj karna farz hai 

Islam ki buniyad Panch chizon per hai

1) Iman

2) Nawaz 

3) Roza 

4) Zakat 

5) Hajj


Hajj woh rukne Islam hai jo sirf us Musalman per zindagi Mein Ek Bar Farz hai jo iski istita at  Rakhta Ho iski farziyat ka Inkar karne wala Kafir hai is Azeem Ibadat ki Saadat bar bar  Naseeb Nahin Hoti aksar Logon Ko zindagi Mein Haj ka ek hi bar mauqa Milta hai agar Khuda Na khasta ismein Koi khami  ya Naksh paida Ho Jaaye to sakht mahroomi  aur zindagi Bhar ka pachtava ho isliye safari e Haj se pahle hi Iske ahkam aur masail acchi Tarah Sikh Lena chahie Taki hajje mabroor ki saadat Hasil Ho ke hajje mabroor hi ke bare mein rasule Akram Sallallahu Alaihi vasllam ne farmaya ke iska sawab jannat hi hai 

koi bhi ibadat ho uske baare mein maloomat hasil karen

Kisi bhi ibaadat ko Allah ki bargah mein maqbool hone ki buniyadi shart yeh hai ki woh Allah aur rasool sallallahu alaihi wasallam ke bataye huye tariqe par ki gai ho jab ham kisi ibaadat ke ahkaam aur tariqe se waqif hi na hon to hamare liye yeh mumkin hi nahi ke ham us ibaadat ko kama haqqahu kamil tariqe se ada kar saken aur na hi hum yeh jaan sakte hain ke is ibaadat ki adayegi mein humse kya kotahiyan aur galatiyan sarzad hui hain lihaza yeh ashad zaroori hai ke hum ibaadat ke talluq se shariate mutahhira ke bataye hue tariqe ko sikhen aur ibaadat ke dauran ise zehan main rakhen aur hasbe istita at ise koshish karen ke hamari ibaadat mustafa jaane rehmat sallallahu aaihi wasallam ki taleem ke mutabiq ada ho aur phir hum se khuda na khasta humse koi galti ho jaye to isi ilm ki roshni main iska tadaruk kiya jaye 

aamaal ki fazilat jab hi hasil hogi jab use achchhe se kiya jaaye

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne hajj ke jo fazail bayan farmaye hain woh usi waqt hasil ho sakte hain jab hajj ki adayegi ahsan tariqe se hogi aur agar ibaadat hi naqis ho to kafil fazilat ki toqa kaise balke ibaadat ke masail na sikhna aur Allah aur Rasool ke bataye hue tarike ke khilaf ibaadat karna Allah aur Rasool ko naraz karna aur gunah aur masiyat main mubtala hona hai woh log jo hajj aur umrah ka irada rakhte hon un ko chahiye ke woh hajj aur umrah mein jaane se pehle market se hajj aur umrah ke talluq se kitab khareed kar le aayen aur kitaab ko ba gaur padhen uska mutala karen aur hajj aur umarah ke tamam masail zehan nasheen farmalen aur jo duayen hain unko bhi yaad karlen aur agar ho sake to kisi sunni aalim e deen ke hajj ke tarbiyati program main sahreek hokar apni maloomat ko pukhta kar len taake hajj kamil tariqe se ada ho sake aur aap hajj ke faizan aur hajj ki  barkaat se nustafeed hon 


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.