Milad-un-Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ka Juloos
Milad-un-Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ke moqe par, yani 12 Rabi-ul-Awwal Shareef ko, duniya bhar ke musalman huzoor sallallahu-alaihi-wasallam ki wiladat ki khushi ka izhar karte hain. Khusoosan Hindustan, Pakistan, Malaysia, Bangladesh aur Asia ke mukhtalif ilaqon mein jashn ke taur par juloos nikale jate hain. Yah juloos masarrat ka izhar hai, jisme naat khwani, seerat ke bayanaat, aur zikr o azkar hota hai.
Assalamu alaikum
Milad-un-Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ke moqe par yani 12 Rabi-ul-Shareef ko duniya bhar ke musalman (ahle iman) Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam ki aamad par khushi manate hain, khushi ka izhar karte hain. Khas kar Asia main, yani Hindustan, Pakistan, Malaysia, Bangladesh wagairah main awami juloos nikale jate hain, yani bahut sare log jama hokar juloos nikal kar khushi ka izhar karte hain. Apne gharon ko, apne mohalle ko, galiyan, sadak, chorahon aur raho ko sajaya jata hai. Jagah jagah khane pine ka bandobast kiya jata hai aur manch banaye jate hain jin par ulama seerat ka bayan karte hain. Yeh bayanaat aam taur par mojzat-e-Nabvi, wiladat-e-Nabvi, aur milad bataur nemat ke tashakkur jaise unwanat par mabni hote hain. Naat khwan partiyan aur toliyon ki surat main naatein padte hain aur juloos makhsus raston se hote huye manzil par ikhtitam pazeer hota hai.
Juloos:
Jashn-e-Milad-un-Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ka izhar juloos ke andaz mein bhi kiya jata hai. Hamare ilaqa mein chunke khushi, masarrat aur jashn ke izhar ka ek tareeqa juloos nikalna bhi hai, lehaza is andaz mein bhi Huzoor Akram sallallahu-alaihi-wasallam ke milad mubarak par khushi aur masarrat ka yahi jazba aur walwala kaarfarma hai.
Milad-un-Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ka juloos bhi naat khwani, zikr aur azkar, aur naat aur fazail par hi mushtamil hota hai.
Juloos ka Mafhoom:
Juloos ka mafhoom yeh hai ke bahut se logon aur afrad ka kisi khaas moqe par ikhatte hokar guzar gahon mein aana jana aur bazaron ya rahon se guzarna. Yeh juloos ka mafhoom hai.
Juloos ki Daleel:
Juloos ki daleel ke liye yahan par main sirf ek riwayat likh raha hoon, kyunke manne wale ke liye ek hi daleel kaafi hai aur na manne wale ke liye daftar bhi kam hai.
Jab Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam Makka Mukarrama se hijrat farmakar Madina Shareef tashreef laye, Madina Shareef se pehle hi Hazrat Burida Aslami apne sattar sathiyon ke sath Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam ki bargah mein hazir huye aur Hazrat Burida ne aur aapke sattar sathiyon ne Islam qubool kar liya. Phir arz kiya:
"Ya RasoolAllah sallallahu-alaihi-wasallam, aap Madina Paak mein jhande ke bagair dakhil nahi honge."
Phir unhone apna amaama khola, use apne neze se bandha aur (lehrate huye) aap sallallahu-alaihi-wasallam (ki sawari) ke aage aage chalne lage. *(Al Wafa, S247)*
jo juloos ka aaghaz to yahan se hi ho chuka tha, lekin uske baad kya hua? Poora Madina kitne dino se apni aankhen farsh-e-raah kiye huye sarapa intezar tha. Log har roz subah se hi nikal kar bahar jama ho jate aur dopahar tak aamad-e-Mustafa sallallahu-alaihi-wasallam ka intezar karke hasrat o yas ke sath wapas laut aate. Lekin aaj unki qismat ne yaari ki, unka muqaddar chamka. Jab woh wapas hone lage to ek Yahudi kisi maqsad ke liye wahan kisi tile par chadha, to usne RasoolAllah sallallahu-alaihi-wasallam aur aapke sathiyon ko tashreef late huye dekha. Woh zabt na kar saka aur buland aawaz mein kaha:
"Aye giroh-e-Arab! Yeh dekho, tumhara maqsood aa pahuncha hai jiska tum intezar karte the!"
Pas, musalmano ne aslaha pakda aur Zahrul Hira (Siyah pattharon wali jagah) par RasoolAllah sallallahu-alaihi-wasallam se aa mile. To aap unhen lekar ba-shakl-e-juloos hi Banu Amru bin Auf ke yahan utre. Yeh waqia Maah-e-Rabi-ul-Awwal ke Peer ke din ka hai. *(Bukhari J1S555)*
Natija:
Aaj bhi musalman jab 12 Rabi-ul-Awwal Shareef aata hai to juloos nikal kar, mehfil saja kar khushi ka izhar karte hain aur karte rahenge, inshaAllah.
Post a Comment