qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Ham Milad Kyon manate hain ?

Ham Milad Kyon Manate Hain?

Milad-un-Nabi sallallahu alaihi wasallam manane ka asal maqsad Allah ke fazl aur rahmat ka izhar karna hai. Yeh amal Quran aur sunnat ke mutabiq hai, aur is mein Allah ke hukum ki tameel hai. Huzoor Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam Allah-ki-taraf se azeem fazl aur rehmat ban kar is duniya mein aaye. Inka milad manakar hum apne Rab ka shukar ada karte hain aur apni mohabbat ka izhar karte hain. Daleel Number 1: Assalamu alaikum Ham ahle-sunnat wal jamaat hain aur hum ahle sunnat jab 12 rabi-ul-awwal sharif aata hai to jashn-e-eid milad-un-nabi sallallahu alaihi wasallam manate hain. Waise to hum saara saal hi milad manate hain, magar khususon rabi-ul-awwal ki 12 tarikh ko khususi taur par milad manate hain. Aur hum milad kyun manate hain? Aiye iska jawab padhte chaliye. Allah ta'ala irshad farmata hai: "Qul bifadlillahi wabirahmatihi fabizaalika falyafrahu"(Surah Yunus) Tarjuma: Tum farmado logon ko chahiye ke woh Allah ke fazl aur uski rehmat ke milne par khushi manayen. To aayat-e-karima se maloom hua ke jab khuda ki taraf se uska fazl aur uski rehmat mil jaye to izhar-e-masarrat karna mansha-e-ilahi hai. Aur Sarwar-e-Kainat sallallahu alaihi wasallam khuda ki taraf se uska fazl aur rehmat bankar aaye hain, chunanche Allah ta'ala irshad farmata hai: "Falaula fadlullahi alaikum warahmatuhu lakuntum minal khasireen"(Surah Baqarah) Tarjuma: Agar Allah ka fazl aur uski rehmat tum par na hoti to tum nuqsan walon mein se ho jate. Maulana Naeemuddin Muradabadi ne apni tafseer *Khazain-ul-Irfan* mein likha ke "fazl haq wa rahmat-e-ilahi" se murad Huzoor Sarwar-e-Alam sallallahu alaihi wasallam ki zaat hai. Doosre maqam par Khuda farmata hai: "Walaula fadhlullahi alaikum warahmatuhu lattabatumush shaitana illa qalila"(Surah Nisa)* Tarjuma: Aur-agar tum per Allah-ka-fazl aur uski rahmat na hoti to chand qaleel logon ke siwa baqi tum shaitan ke muttaba ho jate. Yahan bhi fazl o rehmat se murad Zaat-e-Mustafa sallallahu alaihi wasallam hai. Ek aur maqam par Khuda Ta'ala ne farmaya hai: "Wabash shiril muminina bi anna lahum minallahi fadlan kabira"(Surah Ahzab)* Tarjuma: Yahan fazl se murad Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam hain. Ek aur maqam par irshad-e-Khudawandi hota hai: "Wa rahmatul lil lazina aamanu minkum"(Surah Tauba)* Tarjuma: Allah ka Nabi tum mein se iman walon ke liye rehmat hai. In aayat se sabit hua ke Sarwar-e-Kaunain sallallahu alaihi wasallam Khuda ka fazl bhi hain aur uski rehmat bhi hain. Aur aap rabi-ul-awwal mein Khuda ka fazl o rehmat ban kar hume mile hain. Isliye hum is mahine mein mehfil-e-milad mana kar khushi ka izhar karte hain.

Natija:

Milad-un-Nabi sallallahu alaihi wasallam manakar hum apne Rab ka shukar ada karte hain ke usne hume apni rehmat aur fazl ka inaam ata farmaya. Yeh izhar Quran aur sunnat se sabit hai. Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ka milad manane se humari mohabbat aur aqeedat mazid mazboot hoti hai aur Allah ki rahmat hume hasil hoti hai.
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.