Taufeeq e Ilahi
Assalamu Alaikum
Aaj ka topic hai "Taufeeq e Ilahi". Aaj main aap sabhi ko batane wala hoon ke Taufeeq e Ilahi kya hai, kise kehte hain, aur iska maani aur matlab kya hai.
Doston, Taufeeq khuda ki bahut badi nemat hai. Sabko Taufeeq ki Taufeeq nahi hoti hai. Woh khushbakht samjhe jaate hain jinhen Taufeeq e Ilahi hasil hoti hai. Ab aap yeh samajh len ke ye jo main post likh raha hoon, to yeh bhi Taufeeq e Ilahi se hai. Ke mujhe Allah ne yeh Taufeeq di ke main Taufeeq ke talluq se post likh raha hoon.
Aur Allah ne aapko yeh Taufeeq ata farmai ke aap is waqt yeh post padh rahe hain. To Taufeeq yeh Allah ki bahut badi nemat hai, jo har kisi ko naseeb nahi hoti hai. Aur jise naseeb ho jaye, woh khushnaseeb kehlata hai.
Nek Amal ki Taufeeq
Iman ki Taufeeq, Namaz ki Taufeeq, Roza rakhne ki Taufeeq, Zakat dene ki Taufeeq, Haj o Ziyarat ki Taufeeq, Tauba karne ki Taufeeq. In sab mein ahem Iman lane ki Taufeeq hai.
Taufeeq ko achhi tarah samajhne ke liye maazi ki tareekh dekhni hogi.
Doston, ham sabhi jaante hain ke Makka mein do Umar the, aur jinki dhak harkas-wanakas ke dil mein bethi hui thi. Aur woh do Umar kaun the?
1) Umar bin Khattab
2) Umar bin Hisham (Abu Jehal)
Huzur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) yeh dua farmate the:
*"Ya Allah! Islam ki madad farma, aur Umaren mein se kisi ek ko Islam se musharraf farma de."*
Huzoor Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki dua baab-e-ijabat se takrai thi, aur fori taur par asar hua tha ke Umar bin Khattab Islam ki daulat-e-uzma se musharraf hue. Sarkar-e-Do Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne takhsees nahi farmai thi ke "Ya Allah! Umar bin Khattab hi ko Islam se musharraf farma, aur Abu Jehal ko isse baaz rakh." Balke aam thi Noor-e-Mujassam ki dua. Lekin Taufeeq kis ko naseeb hui? Momin kaun bana? Umar bin Khattab ko Taufeeq mili thi. Umar bin Khattab momin bane the. Abu Jehal Taufeeq e Ilahi se mehroom raha. Badnaam zamana ko na Taufeeq milna thi, na hi mili.
Nateeja yeh nikla:
Maloom hua Taufeeq bahut badi cheez hai. Taufeeq sab ko nahi milti hai. Yeh wafadaroon ko mila karti hai. Yeh Taufeeq hi to hai ke Sayyedana Bilal Habshi se tashreef laye aur momin hue. Sayyedana Suhaib Roomi se tashreef laye aur momin hue. Lekin Abu Jehal Quraishi tha, Abu Lahab Quraishi tha, Makka ka rehne wala tha, Rasool ka rishtedar tha. Na kahin se aane ki zaroorat thi, aur na kahin jaane ki zaroorat thi. Sab kuch dar pe maujood tha, iske bawajood kaafir hi raha, aur Iman ki daulat mayassar na ho saki.
Taufeeq bhi Allah ki nemat hai, aye Musleh!
Har shakhs ko yeh nemat-e-uzma nahi milti.
Post a Comment