qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

shaban ki fazilat aur uski azmat wa ahmiyat hadees ki roshni main

shaban ki fazilat aur uski azmat wa ahmiyat

Allah tala ne apni qudrat e kamela aur shan e aadela se ham insanon ke fayde ke liye is duniya e fani main be shumar chizen paida farmai hain zameen ka farsh aasman ka shamyana chand suraj jaisi haseen aur dil ruba qandeelen hawaon aur fizaon ka silsila pahadon ki dil fareb bastiyan darakhton ka jhurmut samandaron ki ithlati hui mojen aur be shumar aur latadad nematen yeh sab ki sab Allah tala ki woh makhluqat hain jin ki ahmiyat wa afadiyat ka koi bhi zee shaoor insan inkar nahi kar sakta lekin ahl oilm danish par yeh baat makhfi nahi hai ke khaliq e kainat ne apni makhluqat main baaz ko baaz se afzal wa behtar banaya hai aur baaz ko baaz par fazilat bakhshi hai 

maslan insan ko Allah tala ne apni sari makhluqat main ashraf wa aala bana kar use "laqad karramna bani aadam" ke taaj e azmat se sarfaraz farmaya ambiya aur rosolaan e izaam main se baaz ko baaz par fazilat bakhshi ayyam main baaz ko baaz par fazilat bakhshi aur baaz mahinon ko baaz mahinon par fazilat bakhshi hai jaisa ke aayat e qurani is ki shahid e adl hain chunanche barah mahinon main kuchh mahine baaz se afzal ba barkat aur ba azmat shumar kiye jate hain inhi azmat wale mahinon main ek mahina shaban ul muazzam ka bhi hai yeh mahina islami saal ka aathwan mahina hai jo rajab ul murajjab ke baad aur ramzan ul mubarak se pehle aata hai 

huzur ka farman aur shaban ka mahina

shaban ul muazzam ke mutalliq huzur nabi akram sallallahu alaihi wasallam ka yeh irshad mubarak nahayat hi ahmiyat ka hamil hai huzur farmate hain "shaban mera mahina hai aur ramzan Allah ka mahina hai (jameus sageer)

shaban ul muazzam ki azmat wa fazilat is se badh kar aur kya ho sakti hai ke huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ise apna mahina qarar de rahe hain 

Shaban ul muazzam ki fazilat hadis mein

Is mahine ko Allah tala ne bahut fazilat ata farmai hai iski azmat wa barkat per beshumar hadis wa asar warid Hain

hazrat anas bin Malik riwayat Karte Hain Ki Jab Rajab ul murajjab Ka mahina aata to Sarkar Mustafa sallallahu Alaihi wasallam yeh dua farmaya Karte the "aye Allah hamare liye Rajab aur shaban mein barkat ata farma aur hamen ramzan ke mahine tak pahuncha" (Shoab ul Iman)

shaban mein rozon ki fazilat

Shaban ul muazzam Ke mahine mein roza rakhne ki badi fazilaten Hain  huzoor Sarkar Mustafa sallallahu Alaihi wasallam shaban ke rozon ka jitna ehtemam farmate Kisi Aur mahine mein rozon ka itna ehtemam Nahin farmate balke ramzan ul Mubarak ke bad aap sabse ziyada jis mahine mein rozon ka ehtemam woh shaban ul muazzam hi Ka mahina Hai 
chunanche hazrat aaesha siddiqa Radi Allahu anha Ka bayan farmati Hain ke "Allah Ke rasool sallallahu alaihi wasallam Jab roza rakhna shuru farmate To ham yeh kehte ke ab aap roza rakhna khatm Nahin karenge aur jab aap roza rakhna tark farmate To ham kehte Ki ab aap roza Nahin rakhenge Aap farmati Hain ke maine Sarkar sallallahu Alaihi wasallam ko ramzan ul Mubarak ke alava Kisi Aur mahine ke pure roze rakhte hue Nahin Dekha aur shaban ul munazzam ke alava Kisi Aur mahine mein aapko kasrat se roza rakhte hue Nahin Dekha (sahih bukhari) 

aur ek riwayat mein hai hazrat Ayesha siddiqa Radi Allahu tala anha se riwayat hai aap farmati hain Ki main Sarkar Mustafa sallallahu Alaihi wasllam ko Kisi mahine mein shaban Ke mahine se ziyada roza rakhte hue Nahin Dekha is mahine mein aap kuchh ayyam ko chhodkar pure mahine roza rakhte balke aap sallallahu Alaihi wasallam to pure shaban ke roze rakha Karte the (jame tirmizi) 
aur fiqah hanafi ki kitab aalamgiri main hai (Mustahab rozon ki Kai qismein Hain  
1) Muharram ul haram ka roza 
2)Rajab ka roza 
3)aur shaban ul muazzam aur ashura ka roza (Al Fatawa Al hindiya)

Shaban ul muazzam aur sahaba kiram ka amal

Sahaba kiram ki Ba barkat zindagi ahle Iman ke liye mash,al e Rah aur namuna e Amal hai mahe shaban ke mutalliq sahaba kiram ka Amal kitabon mein you marqoom Hai Ke is maah ke aagaz hi se sahaba kiram tilawat Quran majeed aur zakat ki adaigi mein masroof ho jaate the 
hazrat anas bin Malik Radi Allahu tala anhu farmete Hain Jab mah shaban aata to musalman Quran Ki tilawat mein mashgool ho jaate aur apne malon Ki zakat Ada Karte taki kamzor aur miskin ko bhi roza rakhne ki taqat mile (mazafi shaban)

In ahadis wa aasar se hamen yeh dars milta hai ki aur mahine wa ayyam Ki Tarah shaban ul muazzam ko khel kud aur gaflat mein nahin guzarna chahie balke in mutabarrak ayyam wa shuhoor ko ganimat samajh Kar khuda wa rasool ko razi karne ki fikr Karni chahie abhi hamare Aza taqatvar Hain hamare andar taqat wa quwwat hai lekin kal Jab ham kamzor wa zaeef ho jaenge hamare Aaza kam karna band kar denge aur badan naqahat ki vajah se kamzor pad jaega to us waqt siwae afsos ke koi chara e kaar  Nahin reh jaega aur ham sirf hath malte hi Rah jaenge
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.