aurton ka nak chhidwana shariat ki nazar main
aaj ham baat karenge aurton ke naak aur kaan ke chhidwane ke bare main ke shariat main iski ijazat hai ya nahi aur islam is bare main kya kehta hai is par baat karne se pehle aap ye bhi samajhte huye chalen ke kya aurat zeenat kar sakti hai kyonke naak aur kaan ka chhidwana zeenat main hi shumar hota hai
zeenat aur aurat
youn to is duniya e fani main Allah tala ki be shumar makhlooqat hain magar in makhlooqat main insan ko Allah tala ne behtareen saakht par paida farmaya hai aur insan ke jism ka har hissa tawazun aur husn e tarteeb ka shahkar hai is husn ko bar qarar rakhne aur mazeed nikharne ki koshish karna ek mustahsan amal hai aurat ki zeenat ko islam ne lazim wa malzoom qarar diya hai Allah ka farman hai
(tarjuma) aur kya woh jo gehne main parwan chadhe (surah zukhruf)
aur Allah ka farman hai (tarjuma) aap farma dijiye Allah tala ki zeenat ko kisne haram kiya jise usne apne bandon ki khatir nikala aur khane ki pakiza chizen (paida farmai) surah aaraf para 8)
quran majid furqan e hameed main bhi mana nahi hai zeenat ke bare main balke zeenat karne ka hukm diya gaya hai
khas kar agar ham yahan aurton ki zeenat yani sajne sawarne ki baat karen to shariat ne aurton ke jazbat wa ehsasat ko madde nazar rakhte huye yeh faisla farmaya ke aurat zeenat wa aaraish saj dhaj ikhteyar kar sakti hai balke apne muharim yani shoharon ke liye sajna sawarna mustahab hai balke kar e sawab bhi hai
aur jaisa ke maine uper bataya ke aurton ka naak nose kaan ka chhidwana bhi zeenat main aata hai to aaiye iske bare main bhi janlete hain
nose naak aur kaan ka chhidwana kaisa ?
aurten jo zeb o zeenat ki garz se aur zewar pehen ne keliye naak aur kaan chhidwati hain ye bilkul jaaiz hai
masala : ladkiyon ke kaan naak chhedna jaaiz hai ' aur baaz log ladkon ke bhi kaan chhidwate hain aur durya pehnate hain yeh na jaaiz hai yani kaan chhidwana bhi na jaaiz aur use zewar pehnana bhi na jaaiz (islami ikhlaq o aadab)
to maloom hua ladkiyon ke naak aur kaan chhidwana jaaiz hai albatta ladkon ke naak kaan chhidwana na jaaiz hai
aur allama ibn abdeen shami rehmatullah farmate hain agar aurten ba taur zeenat naak chhidwati hon jaisa ke baaz mumalik main riwaj hai to yeh jaaiz wa durust hai chunanche kaan chhidwana jaaiz wa durust hai (durre mukhtar)
ummid hai masala aapko samajh aa gaya hoga agar meri yeh mehnat pasand aaye to comments box main apni raae ka izhar zaroor karen
Post a Comment