qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

hadees shareef main aaya hai Raston ka haq ada karo

hadees shareef main aaya hai Raston ka haq ada karo

Islam ek aisa mazhab hai Jo har kisi ke huqooq ko Ada karne Ka hukm deta hai ham jis raste road sadak par chalte hain unka bhi haq hai aur islam ki taleem yeh hai ke unka haq ada karo 

hazrat Abu Saeed khudri RadiAllahu anhu ravi Hain ke huzoor Nabi sallallahu Alaihi wasllam ne farmaya ki tum log raston per baithne se bacho to sahaba ne kaha ke ya rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam raston mein baithne se To ham logon ko chara hi Nahin Hai kyunki unki jagahon mein To ham log baithkar baat chit Karte Hain To huzoor sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum log raste mein baithne se baaz nahin Reh Sakte to baitho lekin raste ka haq dete raho 

sahaba radiAllahu anhu ne arz kiya ya rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam rasta ka haq kya hai to irshad farmaya ke 

1) nichi nigah rakhna 

2) Kisi ko iza (takleef) Na dena 

3) logon ke  salam ka jawab dena

4) logon ko acchi baaton ka hukm dena 5) buri baton se mana karna

(Bukhari shareef)

Hadees shareef se hasil hone wale fayde

allama qastalani ne farmaya ke huzoor sallallahu Alaihi wasallam ka yeh hukm ke "tum log raston per baithne se bacho" yeh hukm wajubi nahin tha balke istejabi tha kyunki agar yeh hukum wajubi hota To sahaba Uske jawab main Hargis Hargis Kabhi yeh nahi kehte ke hamare liye to raston per baithne se chara hi nahin hai na huzoor sallallahu Alaihi wasallam ye  farmate ke achchha tum log baitho to raston Ka haq dete raho (hashiya Bukhari Sharif s920 jild 2)

Hadees shareef ki Jo panch baten uper likhi gain unko huzoor sallallahu alaihi wasallam ne rasta ka haq qarar diya hai aur momin per az Rue shariat Har haq Wale Ka haq Ada karna wajid hai lihaza jo log raston par baithen un par wajib hai ki panchon baton per Amal Karen 

bila zaroorat raston per baithna agarche rasta ke huqooq Ada karne ki Surat mein haram aur gunah To Nahin magar chunke yeh koi acchi aadat bhi Nahin Hai lihaza hatta ul wasa musalmanon ko isse parhez hi karna chahie

Khususan is zamane mein jabke  bepardagi balki oriyani wa birhangi fashion ban chuki hai sadkon aur raston per logon ka baithna bahut se mafasid ka pesh khema hai lehaza is se khas taur par parhez karna chahie

Hadees shareef main raston ke 5 huqooq Jo bataye hain unki mukhtasar  tafseel 

1) nigahon ko niche rakhna chunke raston per auraten aur mard bhi guzrenge isliye baithne walon per az rue shariat wajib hai ke na gair mehram auraton per nazar dalen Na logon ke un oyoob ko dekhen jinko rasta chalne wale logon se chhupana chahte Hain maslan kodhi ya safed daag wale ya langde loole ko ghoor ghoor kar bar bar na dekhen ke is se un logon Ki Dil azari hogi 

2) Kisi ko iza (takleef) na dena yani raston per is tarah na baitha Karen ki rasta tang ho jaaye aur guzarne walon ko iza takleef pahunche Yunhi rasta chalne walon ka mazaq na udaen rasta chalne walon Ki tehqeer aur AIB joi na Karen Safar karne walon ki jasoosi na Karen ke kaun kaun Kahan kahan jata  hai aur kyon jata Hai garz raston per baithne wale Apne Kisi qaul (baat) fel (kam) se guzarne walon ko taklif aur iza na pahunchayen 

3) Har guzarne wale ke salam ka jawab dete rahen 

4) rasta chalne walon ko acchi acchi baten batate Rahen maslan aage rasta mein koi khatra ho ya rasta mein koi rukavat ho to is se rasta chalne walon ko aagah Karte rahen rasta bhul ne walon ya na waqifon ko rasta batate rahen aur rasta chalne Ke Sharai adab logon ko batate aur sikhate rahen 

5) khilaf e shariat aur buri baton se logon ko mana karte rahe taki rasta chalne wale Safar mein koi khilaf e shariat kam na karne paayen

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.