qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Shaadi se pehle ladke aur ladki ka ek dusre ko dekhna kaisa hai

Shaadi se pehle ladke aur ladki ka ek dusre ko dekhna kaisa hai 

doston be jod aur be dhangi shaadi ki ek wajah yeh bhi hai ki shaadi se qabl  shaadi se pehle ladka ladki ek dusre ko dekh Nahin pate halanke Deen e Islam mein is baat ki waazeh ijazat di gai hai ki jab Shaadi ki baat chale to ladka ladki ek dusre ko dekh len take bad mein Kisi qism ki koi bad-nazmi paida Na ho hazrat jabir Radi Allahu tala anhu ho farmate Hain ke rasool Allah sallallahu alaihi wasllam ne irshad farmaya ke "tum main se Jo shakhs Kisi aurat ko nikah Ka paigam de to usko chahie ke agar mumkin ho to us aurat ko ek nazar dekh le" isi Tarah ek aur hadees mein hai ke hazrat mugeerah bin Sheba farmate Hain ke Maine ek aurat se mangni Ka irada Kiya "huzur Nabi Kareem sallallahu alaihi wasllam ne irshad farmaya Tumne use Dekha Hai kyunki do ajnabiyon mein mohabbat paida ki jayegi unko ba ham ek nazar dekh lena chahie" aur ek hadees mein hai ke "huzoor sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki tum main se jab koi Kisi aurat ko nikah ka paigam de To agar mumkin ho to us se woh kuchh dekh le Jo uske liye nikah Ka baais ho" ek riwayat mein yeh alfaaz is Tarah se Hain "jab Allah tala Kisi aadmi ke Dil mein Kisi aurat ko paigam nikah dene ke mutaliq koi baat Dal de to fir is baat mein koi harj Nahin ki woh use dekh le"(ibne Maja) 

isi Tarah ek aur hadis mein Abu huraira radi Allahu tala anhu farmate Hain ki main rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir tha ke ek shakhs hazir hua aur arz Kiya "Maine ek ansari aurat se nikah Kiya Hai" "huzoor paak sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Tumne use dekh liya hai us shakhs ne arz kiya ki Nahin farmaya ke  jao Dekh lo kyunki ansar ki auraton mein Kuchh hota Hai yani ansari auraton ki aankhen chhoti hoti Hain" 

kehne ka maqsad yeh tha ke baad mein kahin aankhon ka nuqs bahmi ranjish Ka baais Na ban jaaye 

uper Jo hadees mubaraka pesh ki gain Uske mutaliq allama noodi rehmatullah farmate Hain ke jis aurat se nikah Ka irada ho use dekhne mein koi harj Nahin Hai yahi imam Malik rehmatullah alaih imam Abu hanifa rehmatullah alaih aur imam Ahmad rehmatullah alaih aur digar tamam ulama ka maslak hai shaadi se pahle ladki ko agar mumkin ho to ek nazar dekh lena chahie iske mutaliq aur ahadise mubaraka padhen 1) shaadi se pahle shareek-e-hayat ko dekh lena munasib hai ki us se rishta e nikah ki paaidari ka saman hota hai (tirmizi shareef) 

2) hazrat Jabir Radi Allah tala anhu se riwayat hai ki rasool Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jo shakhs Kisi aurat ko nikah Ka paigam de usko chahie ki agar mumkin ho to us aurat ko ek nazar dekh le (miskaat Sharif) 

3) jab tum mein se koi shaadi ka paigam de aur woh uske sarapa se woh kuchh dekh sake jis se uski taraf melan badhe To woh aisa kar sakta hai (musnad Ahmad) 

4) ek aur hadees paak mein aap sallallahu alaihi wasllam ka farman hai ki jab tum mein se koi shakhs Kisi aurat ko nikah Ka paigam de to  hatta ul imkan use dekh le ke Aaya usmein koi aisi chiz hai jo usko us aurat se nikah ki ragbat dilane wali ho (Abu daood) 

5) jab tum mein se koi shakhs Kisi aurat ko nikah Ka paigam bheje to phir us aurat ko dekhne mein koi gunah Nahin ba sharte ke woh Shaadi Ka irada rakhta ho aur zaruri Nahin ke us aurat ko bhi maloom ho ke mujhe Dekha ja raha hai yani chhup kar bhi dekha ja sakta hai (Ahmed) 

hamare pyare Nabi hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne shaadi ke bandhan mein bandhne ke liye fitri  zarurat ke tehat mard aurat donon ko Shaadi se pehle ek dusre ko dekhne ki Targib Di Hai Taa ham Shaadi se qabl pehle tanhai mein ek dusre se milne se mana farmaya gaya hai aap sallallahu alaihi wasllam ka irshad girami hai ke "hargiz hargiz koi mard Kisi aurat se tanhai mein Na mile ke us Surat ne unke sath teesra Shaitan hota hai" (tirmizi) aur imam ghazali rehmatullah alaih ne farmaya Hai ke aurat ke Ikhlaq wa ausaaf aur Jamal ke mutaliq ek dekhne wale aur sacche insan se dariyaft karna chahie Jo zahir wa batin se baa khabar ho aur jo na to khud uski taraf mail ho ke tarif mein mubaliga Kare aur na hi us se hasad karta ho ki koi Kami Kare (ahya ul uloom) 

dekhne ka hukm sirf mard tak mehdud Nahin Hai balki yeh isi Tarah aurat ke haq mein bhi sabit hai isliye ladki bhi Apne mangetar ko ek nazar dekh sakti hai aur yeh jaaiz Hai kyunki aurat ko bhi mard se woh kuchh achcha lagta hai jo kuchh mard ko aurat se achcha lagta hai 

hazrat Umar Farooq razi Allah tala anhu ka farman hai apni betiyon ki shaadi badsurat mard se mat karo kyunki auraton ko bhi mardon se woh kuchh achcha lagta hai jo kuchh mardon ko auraton se achcha lagta hai (fiqah al sunna) 

Khulasa yeh hai ke agar shadi Ka irada hai to ladka aur ladki ek dusre ko dekh sakte hain "lekin" yahan par ye baat Apne zehen main achhi Tarah se basa Len ke 

aise ahkam ko buniyad banakar yeh bhi jaaiz Nahin ki mangetar aapas mein tanhai mein mulaqaten shuru kar den is silsile mein aap sallallahu alaihi wasallam ki ye hadees yad rehni chahie ke "aurat se tanhai mein Kabhi na Milo kyunki aisi Surat mein teesra Shaitan hota hai" jo ke donon ko wargala sakta hai aur insan Kisi bade gunah ka murtakib ho sakta hai ! 


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.