Musibat talne wala biz,zaat Allah tala hi hai
yeh islam ka musalleman aqeedah hai ki musibat talne wala aur bandon ki madad farmane wala biz-zaat Allah tala hi hai main Quran majeed ki kuchh aayaton ka tarjuma pesh Kar Raha hoon unko bagor padhiye
(tarjuma) "aur agar tujhe koi burai pahunchae to Uske Siwa uska koi dur karne wala Nahin aur agar tujhe bhalai pahunchaye to woh sab kuchh kar sakta hai" (paras 7 surah inam aayat 17)
dusri jagah irshad farmata hai "aur jab aadmi ko taklif pahunchti hai hamen pukarta hai lete aur baithe aur khade phir jab ham uski taklif dur kar dete Hain to chal Deta hai Goya kabhi kisi taklif ke pahunchne per hamen pukara hi Na tha"
(Para 11 surah yunus ayat 12)
In dono aayaton se sabit hota hai ki musibaton ko Tal dena sirf Allah tala ke ikhteyar mein hai aur Allah tala ke Siwa koi dusra musibaton ko talne wala Nahin hai
Kya gairullah bhi musibat ko taal sakte hain
abhi aapne jo upar Jin aayaton ka tarjuma padha un ayaton ke siwa quraan Majid ki dusri aisi bhi aayaten hain Jin se sabit hota hai ki yaqinan khuda ke Siwa dusre bhi musibaton ko taal dete Hain quraan Majid mein hai ke "Aye gaib ki khabar batane wale Nabi Allah aapko kafi hai aur yeh jitne musalman aapki pairvi Karne Wale Hain yeh bhi kafi Hain" (Surah anfal aayat 64) yeh ayate karima elaan kar rahi hai ki musibaton ke taalne mein Allah tala Apne Nabi ko kafi hai aur mominin bhi dafa masaib mein rasool ko kafi Hain is aayat ka saaf aur shareeh matlab yahi hai ki momenin bhi musibaton ko dafa Karte Hain
Allah farmata hai Quran majeed mein (tarjuma) "beshak Allah Apne Nabi Ka madadgar hai aur jibrail aur Nek momenin aur uske bad farishte madad per hain" yeh aayat pukar rahi hai ki Allah tala Apne Nabi ki mushkilat ko dafa karne aur masaib ko taal dene mein Apne Nabi Ka madadgar hai aur Nek musalman aur hazrat jibrail alaihissalam aur dusre farishte Nabi ki mushkilat aur sadaid wa masaib ko dafa karne mein Nabi ke madadgar Hain is aayat ka bhi yahi hasil hai ki mominin aur farishte bhi musibaton ko dafa aur mushkilat ko dur Karte Hain aur zahir hai ki musalman aur Malaika ghairullah aur khuda ke gair hain
khulasa e kalam yeh hai ke in sab aayaton ko ek sath nazar mein rakhne ke bad yahi natija nikalta hai ki apni zaati qudrat wa ikhteyar hai musibaton ko taal dena yeh to Allah tala hi ki sifate khaassa hai lekin Allah tala ki Di hui taqaton aur uske izn o hukm se musibaton ko taal dena yeh to Allah tala hi ki sifate khassaa hai lekin Allah tala ki Di hui taqaton aur uske izn o hukm se musibaton ko Tal dena yeh khuda ke khaas bande maslan malaika aur amdiya wa awliya aur shohda vagaira bhi kar sakte hain
isliye khoob samajh lijiye ki jo log ambiya wa awliya aur shohda ko dafa ul Bala aur musibat talne wala mante aur kehte Hain UN logon ki Murad yahi hai ki yeh log Allah tala ki Di hui taqat aur uske izn o hukm se musibaton ko taal dete Hain isliye hargiz hargiz UN logon ko mushrik Nahin kaha ja sakta hai mushrik wahi hoga jo yeh aqeedah rakhe ke Allah tala ki Tarah ambiya awliya bhi apni zaati qudrat wa ikhteyar se musibaton ko taal Diya karte hain yeh aqeedah rakhne wala chunke gair khuda ko khuda ki sifate khaassa mein shrik thehrata hai isliye yeh yaqinan mushrik ho jaega
Zaati qudrat aur ataai qudrat donon ko nazar mein rakhna aur zaati qudrat ko khudawand tala ki sifate khaassa manna aur ataai qudrat ko ghairullah ki sifate khaassa qarar dena lazim wa zaroori hai jis Tarah zaati qudrat ko gairullah ke liye sabit karne wala mushrik hai isi Tarah ataai qudrat ko khuda ki sifat manne wala bhi mushrik hai haqiqi muwahhid aur sachcha musalman wahi hai jo zaati qudrat ko Allah tala ki sifat mane aur aatai qudrat ko ghairullah ki sifat mane jaisa ke ahle sunnat wall jamaat ka aqeedah hai
sabit ho gaya doston ki Allah ki ata se ambiya awliya shohda e kiram Nek bande Allah ke makbul bande bhi musibaton ko taal dete Hain
Post a Comment