Jannat Ke khane kaise honge ?
sawal
kya jannat mein duniyavi khanon Ki Tarah bhi khane honge ya khali fal aur meve honge
Jawab
Allah tala ka irshad hai "tarjuma" (aur aap basharat suna dijiye UN logon ko Jo Iman laae aur unhone Nek Aamal kiye ke unke liye aise bagat Hain jinke niche nehren jari Hain jab unhen (bhagat) ke kisi fal Ka rizq Diya jaega To woh kahenge ke yeh to vahi hai jo hamen pehle mila tha aur unko suratan milte julte fal diye jaenge) "Surah baqra"
aur dusri jagah Allah irshad farmata hai (aur tumhare liye is (jannat) mein har woh chiz Hai jise tumhara ji chahe aur tumhare liye usmein har woh chiz hai jo tum talab karo) "Surah hamim sajdah" aur ek jagah irshad farmata Hai tarjuma (aur vahan har woh chiz hogi jise unke Dil chahen aur aankhen lazzat payen) "Surah zukhruf"
aur ek jagah hai "aur unmen fal aur khajooren aur anar Hain " (Surah Rahman)
in ayat mubarakan mein falon ka bhi zikr hai yeh bhi zikr hai ke ahle jannat ko Man Pasand chizen milengi jis chiz Ki woh khwahish karenge unhen mil jayegi zahir Hai woh Kisi bhi chiz Ki khwahish kar sakte hain aur har tayyab wa Tahir aur halal chiz unhen dastiyab hogi bapi Raha yeh sawal ke woh fal aur khane kis Tarah ke honge ?
to Quran ne farmaya Ke duniya ke falon ke mushaba honge take tabiyat unki taraf maail ho unsiyat ho lekin jannati falon mewon aur taam ki Jo lazzat hogi duniya mein ham uska taswwur bhi nahin kar sakte aur iska ek mafhoom ye bhi ho sakta hai ke Ahle jannat ko jo fal bar bar diye jaenge Woh suratan to pehle falon ke mushaba honge lekin har bar zaaiqa naya Hoga lazzat nai hogi
Jannat ke taluk se ek aur sawal bhi padhte chalen daulat mand ki jannat se duri
sawal
kya amir tarin daulatmand Sarmayadar 500 baras tak jannat se dur kar diye jaenge ?
Jawab mulla Ali qari ne mishkat sharah mishkat aur allama sarfuddin Husain rehmatullah alaih ne apni sharah mein ek hadees mubaraka Ki tashreeh karte hue likha hai ki fuqra muhajireen sahaba kiram Radi Allahu tala anhum umra (maldar) se 500 sal pehle jannat mein jaenge yeh sahaba kiram ki nisbat se un fuqra aur ahle Iman ka zikr hai jo mukammal taur per shariyat per amil hon Aur har qism ke fisq o fujoor se mehfooz hon zahir Hai jiska parcha e imtehan jitna Taweel Hoga uska jawab aur hisab kitab bhi utna hi tafseeli Hoga chunke fuqra mominin ke pass zarurat se zaaid daulat hi nahin lihaza us per jawab dahi ki zimmedari bhi nahin Uske bar aks jin ahle sarwat ko Allah tala ne wafir daulat di Hai unhen is daulat Ki aamad o kharch ka tafseeli hisab bhi dena Hoga yeh Amar zehen mein rahe ke yeh un ahle sarwat ka zikr hai Jo apni daulat shariyat ke mutabiq jama aur kharch Karte Hain aur jo log is mamle mein Sharai ehkam ko nazar andaaz karte hain unka hisab kitab nahayat dushwaar hoga
Post a Comment