qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Aye imaan walon Islam mein pure dakhil ho aur Shaitan Ke qadmon per na chalo


aye imaan walon islam main pure pure dakhil ho jao

Assalamu alaikum Quran majeed main Allah farmata hai imaan walon se ke Islam main pure pure dakhil ho jao to aaiye isi aayat ki roshni main samajhte Hain ke Pura pura Islam main dakhil Hona kise kehte hain

Aye imaan walon Islam mein pure dakhil ho aur Shaitan Ke qadmon per na chalo beshak woh tumhara khula dushman hai (Surah Baqra)

Is Aayat e kareema mein ek khas nukte par tawajjah farmayen 

aayat ka pehla hissa hai "aye imaan walon" 

aur dusra hissa Hai "Islam mein pure pure dakhil ho jao" 

awwal hissa mein Allah tala Sahib e Iman se khitab farma Raha Hai jab Ke hissa Dom yaani Ke dusre hisse mein Islam mein pure dakhil hone ka hukm de raha hai ab yahan yeh sawal zehen mein aata Hai Ki Rab ne pehle imaan wala Kaha Uske bad Islam mein dakhil hone Ka hukm Diya imaan wala wahi hota hai jo Islam mein dakhil ho jab tak insan dakhil e Islam Na ho use momin kaha hi nahin ja sakta jab insan dakhil e Islam ho Gaya to do bara Islam mein dakhil hone ka mutalba kis liye ? 

is sawal Ka jawab lafz "kaaffa mein maujood Hai yani Allah tala ahle Iman se Islam mein dakhil hone ka Nahin bal ke pure dakhil hone ka hukm de raha hai nazam quran Ke is husn se maloom hota hai ki dakhil Hona aur hai aur pura pura dakhil Hona aur hai ab dakhil hone aur pure dakhil hone ka matlab ek misal se samjhen Ta ke pura matlab samajh mein aa jaaye 

Pani se bhara hua ek bartan len aur us main koi sikka ya kankar dalen Jaise hi aap us sikke ya kankar ko bartan mein dalenge sikka bartan mein dakhil ho jaega jo bhi dekhega yahi kahega Ke sikka Pani mein dakhil ho chuka Hai magar yeh dakhil Hona bada kamzor aur unsaif hai koi bhi shakhs hath dalkar us sikke ya kankar ko Pani se Nikal kar bahar phenk sakta hai ab is Pani mein sikka Nahin rang Dal den Jaise hi aap rang dalenge ek lamhe mein rang Pani mein dakhil ho jaega magar yeh dakhil Hona is qadar mazboot Hoga Ki ab aap duniya Ki har trick har harba  aazmalen magar rang ko Pani se bahar Nahin nikal sakte 

yahi mutalba humse Hai Ki khud ko islami rang mein is Tarah rang len ke duniya ki koi taqat aapki zindagi se islami rang Na utaar sake banda e momin ki zindagi is aayat ki Misdaq ho Quran e majeed mein Allah farmata hai "humne Allah Ki Reni (rangai) li aur Allah se behtar kiska rang aur ham usi Ki ibadat karte hain" (Surah Baqra) 

hazrat sadrul afazil alaihir'rehma  farmate hain yani jis Tarah rang kapde ke zahir aur batin main nufooz karta Hai isi Tarah deen e ilahi ke etqadate haqqa hu hamare rang wa pe mein Sama Gaye hamara zahir wa batin qalb wa qalib Uske rang mein rang Gaya hamara rang zahiri rang Nahin Jo kuchh fayda Na de balke ye nufoos ko paak karta Hai zahir main uske aasar awzaa wa afaal se namoodar hote Hain 

nasara jab Apne deen mein Kisi ko dakhil Karte ya unke yahan koi baccha paida hota To Pani mein zard rang Dal kar usmein us shakhsh ya bacche ko gota dete aur kehte Ki ab yeh saccha nasrani hua iska is aayat mein radd farmaya Gaya ki ye zahiri rang Kisi kam ka Nahin 

sare rang Hain phike ek khuda Ke rang Ke aage 

rang lo khud ko isi rang mein rang yahi bus saje 

khud ko khudai rang mein rang Lene ko kehte Hain pure tor par dakhil Hona 

bas Allah tala ahle Iman se yahi mutalba farma raha hai ki Islam main is Tarah Dakhil Na hoke koi bhi tumhen nikal kar bahar Kar de balke is Tarah dakhil hoke duniya ki koi taqat tumhen Islam se judaa Na kar sake 

yani Mehez naam Ke musalman Na bano balKe kirdar bhi musalman ho 

aisa Na ho ke naam Islam ka le aur zindagi khilaf e Islam guzare 

name musalmanon sa ho aur life standard  yani Zindagi guzarne Ka tariqa Yahoodo nasara jaisa ho 

agar musalman hokar bhi gair Islami zindagi guzari ja rahi hai to Islam se rishta bahut kamzor Hai 

jaban ne keh bhi diya la ilaha to kya hasil 

dil wa nigah Jo musalman Nahin To kuchh bhi Nahin

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.