Musafa wa muaanqa Karne se mutalliq masail
Sabse pehle yeh samjhen ki musafa kise kehte Hain aur muaanqa kya hota hai
Musafa ek aadmi dusre aadmi se donon hath milaye ise musafa kehte hain
Muaanqa ek aadmi dusre aadmi se gale mile ise muaanqa kehte hain
Ab aaiye tafseel se padhen
Musafa Ka tariqa
mas.ala musafa yeh hai ki ek shakhs apni hatheli dusre ki hatheli se milaye faqat ungliyon ke chhune ka naam musafa Nahin hai sunnat yeh hai ki donon hathon se musafa kiya jaaye aur donon ke hathon ke darmiyaan kapda wagairah koi chij haail Na ho (radd ul mohtar)
Muaanqa karna jaiz hai
mas.ala muaanqa Karna yani gale milna bhi jaaiz hai ke khauf fitna aur andesha shohwat Na ho jisse gale mile woh sirf tehband ya sirf pajama pahne hue Na ho bal ke kurta ya uchkan bhi pehne ho ya Chadar odhe ho yani kapda haail ho (zelei)
doston aapne yeh dekha Hoga aur aapke Amal mein bhi Hoga ke jab sal mein do martaba Khushi Ka tyohar aata hai yani ke Eid ka tyohar aur Bakra Eid ka tyohar sab log ekattha hokar namaz padhte hain aur jab namaz se farig hote hain namaz ke baad dua hoti hai aur salato salam bhi padha jata hai aur jab Apne Apne gharon ke liye log eid-gah se ya masjid se bahar aate Hain to usse pehle sabhi log aapas mein ek dusre se gale milte Hain aur mubarakbad dete Hain to Eid aur Bakra Eid ki namaz ke baad gale milna yeh bhi Jaiz hai mas.ala Bad namaz Eidain musalmanon mein Muaanqa ka riwaj hai aur yeh bhi izhar e Khushi Ka ek tariqa hai yeh muaanqa bhi jaaiz hai
Aur iske sath sath iske bare mein bhi jante chalen aur woh yeh hai ki
buzurgon ki dast wa qadam bosi (haath paaon choomna)karna kaisa hai
mas'ala Bosa Lena agar ba shohwat ho to naajaiz hai aur agar ikram aur tazeem ke liye ho to ho sakta hai peshani par bosa bhi inhi sharait ke sath jaiz hai
Aur aapne Dekha Hoga ke bahut se logon ki ek aadat yeh bhi hoti hai ki jab woh Kisi ko salam karte hain aur salam karne aur musafa ke baad woh apna hath khud choom liya karte Hain to iske bare main mas'ala yeh hai ki musafa karne ke bad khud apna hath choom lena aisa karna makrooh hai (zelei)
Mas'ala aalim e deen aur aadil badshah ke hath ko basa dena jaaiz hai balke unke qadam chumna bhi jaaiz hai balke agar Kisi ne aalim e deen se khwahish zahir ki ke aap apna hath ya qadam mujhe dijiye ke mein us main bosa dun Tu Uske kehne ke mutabiq Woh aalim e deen apna hath paon bosa ke liye uske taraf badha sakta hai (dur mukhtar) hadees Sharif bhi padhte chale Abu dawood ne zaare radi Allahu tala anhu se riwayat ki ke jab qabeela Abdul qais huzoor sallallahu alaihi wasallam ki khidmat mein Aaya tha yeh bhi us wafd mein the yeh kehte Hain ki jab ham madine mein pahunche apni manzil se jaldi jaldi Sarkar e Azam sallallahu alaihi wasllam ki khidmat mein hazir hote aur sarkar e Azam sallallahu alaihi wasallam ke hath aur paon Mubarak choomte (Abu dawud Sharif)
mas'ala doston aapne ek yeh baat bhi dekhi hogi ki kuchh logon ki aadat hoti hai ki jab woh mulaqat karte hain to us waqt aage ko kaafi jhuk Jaya karte Hain to mulaqat ke waqt jhukna mana hai (alam giri)
ab Kitna jhukna mana hai to Uske bare mein jante Hain ki yani ke itna jhuka ke had ruku tak ho jaaye mana hai yani ki jo ham namaz mein jo ruku karte hain agar utna jhuk jaaye aadmi mulaqat ke waqt aisa jhukna mana hai
mas'ala ~aalam e deen Walden ustad aur nek shakhs ki tazeem ke liye khada ho jana jaaiz hai
Mujhe ummid hai aap ki maloomat mein is tehreer ko padh kar kafi izafa hua hoga agar Pasand Aaye to comment box mein apni Rai zarur den
Post a Comment