qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

dhan daulat paisa money sab hai magar namaz nahi padhta sakht gunahgaar hai

qayaamat ke noor se mehroomi

Assalamu alaikum deen e Islam main namaz ki bahut ziyada ahmiyat hai aur ye ek aisi farz ibadat hai jo din main 5 Martaba sar anjam di jaati hai aur kisi surat main ise qaaim kiye bagair chaarah nahi kyonke yahi woh ibadat hai  jiska hisab roz e mehshar main sab se pehle hoga namaz alamat e iman hai namaz deen ka sutoon hai namaz huzoor ki aankhon ki thandak hai namaz Allah ke huzoor sab se mehboob feil(amal) hai namaz Allah ke han ye  itna mehboob amal hai ke jo bhi is par gaamzan ho jata hai woh Allah ka mehboob banda ban jata hai  

Aur jo namaz ki pabandi nahi karta hai uske liye sakht waeed hai aur saza hai niche padhiye Tafseel 

qayaamat ke noor se mehroomi

rasool e paak sallallahu alahi wasallam ne irshad farmaya jo musalman namaz ki pabandi na kare to qayaamat ke din na uske liye koi noor hoga na bakhshish ki sanad hogi na nijaat ka zaria hoga balki aise shakhs ka hashr qayaamat ke din qaarun, firaun, haamaan aur ubai bin khalf ke saath hoga,

 (mishakaat shareef)

qaarun bani israeel ka ek ameer wa kabeer aadmi tha aur sayyidina hazrat moosa alihissalam ka kazan tha hazrat moosa alaihissalam ne usko zakat ada karne ke liye kaha usne inkar kar diya doosre alfaaz mein khuda ke hukm se inkaar kar diya kyonki zakat ke liye hazrat moosa alaihissalaam ne Allah ke hukm se use kaha tha uske inkar par Allah taala ne uske maal wa daulat ke hamrah usko bhi zameen mein dhansa diya aur woh qayaamat tak zameen mein dhansta rahega

firaun ek kafir baadshah tha jisne khudai ka daawa kiya tha aur jiski khudai ka daawa khatm karne ke liye Allah ne apne paigambar hazrat moosa alaihissalaam ko maboos farmaya tha,

ubai bin khalf mushrikeen makka mein se islam ka shadeed sakht dushman tha,

allama ibne hajar makki aur abdurrahman aur shekh ahmad apni apni kitaabon mein farmate hain ki be namaazi ka qayaamat ke din inke saath hashr kiya jaega yani be namaziyon ka hashr Qaroon firaun haman ubai bin khalf inke sath hoga kyonki in charon ne khuda ki azmat ka inkaar kiya aur be namazi bhi khuda ki azmat ka inkar karta hai aksar namaz chhodne ki ek wajah yeh bhi hai ki hukoomat aur saltanat mil jati hai to uske dimag mein firauniyat paida ho jaati hai apne aapko doosron se bar tar aur aala khayal karne lagta hai aur saltanat ke kamon mein yoon munhamik ho jaata hai ki namaz padhne ka use ahsas tak nahin hota

firaun bhi saltanat pa kar khuda ko bhool betha tha is liye saltanat ka karobar chalane wala be namazi firaun ke saath jaega,

aksar dekhane mein aaya aur mushahide ki baat hai ki jis shakhs ke paas maal wa daulat ho woh namaz se gaafil ho jaata hai maal wa daulat ki wajah se namaz chhodne waale ka hashr qaroon ke saath hoga

namaaz chhodne ki ek wajah yeh bhi hai ki insan wizaarat yani mulaazimat aur masaahibat ki koshish karta hai uski wajah se namaz mein susti karta hai mulaazimat ko bar qaraar rakhne ke liye namaz ko chhodne wala shakhs qayaamat mein haamaan ke saath hoga,

aur tijaarat mein mashgool reh kar namaz chhodne waale ka hashr ubai bin khalf ke saath hoga,

Allah ki panah 

Jo aadmi namaz nahi padhta to unka hashr jiske sath hoga aap ne padha to hamen chahiye ke namaz har haal main padhen aur koshish Karen ke namaz qaza na ho kyonki namaz har musalmaan aaqil baalig par farz hai aur jo farz chhodta hai tark karta hai bila uzr e sharai woh sakht gunahgaar hai !


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.