qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

ma kana yani Jo kuchh ho chuka hai wama ya kun yani Jo kuchh aainda hone wala hai sab kuchh huzur ke ilm mein hai


Allah ki ata se huzoor jo kuchh ho chuka aur jo kuchh hone wala hai sab jante Hain

Assalamu alaikum

Hamara aqeeda Hai ki huzoor Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam Allah ki ata se jo kuchh ho chuka aur jo kuchh hone wala hai sab jante Hain

 hamara dawa Hai ki "ma kana" yani Jo kuchh ho chuka hai "wama ya kun" yani Jo kuchh aainda hone wala hai sab kuchh huzur ke ilm mein hai aur yeh haqeeqat dalail se sabit hai lijiye 1 saada aur Aam feham daleel padhiye hamari ibteda hazrat aadam alaihissalam se hui Aur Is duniya ki inteha yeh hai ki qayamat aa Jane ke baad dozakhi dozakh main jannati jannat mein chale jaenge ab is ibteda aur inteha ko samne rakhkar do Hadees padhiye

huzoor sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya khuda ne hazrat aadam alaihissalam ko paida farmaya to usi waqt hazrat aadam se farmaya (tarjuma) "jao aur un farishton se salam kaho aur Gaur se suno ki woh kis chiz se tumhen jawab dete Hain" chunanche aadam alaihissalam Gaye aapane farishton se Assalamu alaikum Kaha to farishton ne jawab Diya Assalamu alaikum wa rahmatullah yani wa rahmatullah Ka izafa Kar Diya (Bukhari shareef s468j1)

 yeh Hadees padh  lene ke bad ab dusri hadis padiye  huzoor sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Jo shakhs sab jannatiyon ke bad jannat mein dakhil Hoga aur jahannam se nikalne walon mein jo sab ke bad jahannam se niklega us aadami ko main jaanta hun" huzur sallallahu Alaihi wasallam ne is sabse baad jahannam se nikalne wale aadami ka qissa bhi tafseel se sunaya hai aur farmaya Hadees ka tarjuma padhen 

jab jannati jannat mein aur dozakhi dozakh mein dakhil ho jaenge to Allah tala farmaega jiske Dil mein Rai barabar bhi Iman hai use jahannam se nikal do chunanche farishte tamam gunahgaar momino ko jahannam se nikal lenge aur ek aadami jannat Aur jahannam ke darmiyaan roka Jayega jiska munh dozakh ki taraf hoga to woh aadami Allah se arz karega ke ilahi Mera munh dozakh ki taraf se pher dal mujhe dozakh ki hawa aur uski garmi ne jala Diya Hai khuda farmaega aye bande agar main tumhari ye Arz qubool kar lun To kuchh aur to Na mangega woh arz karega Nahin ya Allah aur kuchh hargiz  na magunga chunanche Allah tala uska munh dozakh ki taraf se pher dega phir jab uska munh jannat ki taraf ho jaega to use jannat ki bahar aur uski raunaq nazar aane lagegi phir woh kuchh der chup rehne ke bad arz karega ilahi mujhe jannat ke darwaza tak pahuncha de khuda farmaega abhi to Tumne Wada kiya tha ki main aur kuch na mangunga phir aur darkhast kaisi woh arz karega ilahi mujhe apni Rehmat se mehroom Na Rakh khuda farmaega achcha phir aur kuchh to Na mangega Nahin ya Allah aur kuchh bhi hargiz na mangunga phir aur darkhast kaisi woh arz karega ilahi mujhe apni Rehmat se Mehroom Na rakh khuda farmaega achcha phir aur kuchh to Na mange ga nahin ya Allah aur kuchh bhi hargiz na mangunga chunanche khuda use jannat ke darwaze tak pahuncha dega ab Jo woh darwaze per pahunch kar jannat ke andruni manazir dekhega aur jannat ke Aish aur aaram use nazar aaenge to phir bol uthega ke ilahi mujhe jannat ke andar dakhil farma khuda farmaega bande phir Tumne apna ahad toda woh arz karega ilahi mujhe apni Rehmat se Mehroom na Rakh chunanche Allah tala Apne fazlo karam se farmaega ja jannat mein maine tujhe duniya aur uske barabar ata farmayi woh Banda Is qadar azeem ata ka sunkar kahega aye Rab rabbul alameen hokar mujh garib se Tu mazaq karta Hai

 hazrat ibn Masood Jo is Hadees ke Ravi hain ye Hadees rivayat karte hue is mauqe per pahunchkar Hans pade aur farmaya logon mujh se kyon Nahin puchhte ki is mauqe per main hansa kyun logon ne pucha achcha To aap bataiye aap is mauqe per kyon hanse ibn Masood farmane lage ye Hadees sunte hue Maine Dekha ke is mauqe per huzur bhi Hans pade the aur humne huzur se dariyaft Kiya ya rasool Allah aap is mauqe per kyon hanse ibn Masood ne farmaya ki jab woh Banda kahega ke ilahi mujh garib se tu mazaq karta Hai To khuda bhi Hans padega (mishkat shareef)

to doston aapane Apne aaqa sallallahu alaihi wasallam  ke  ilm paak aur aapki nazar ko ke duniya ke is sire hazrat e  aadam ki khalqat shareefa par bhi aapki nazar hai aur aap us waqt Jo baten hui uska Sara qissa suna rahe hain aur duniya ke is sire Yani dukhool e jannat Aur dukhool e naar per bhi aapki nazar hai aur aap sabse aakhri jannati ke mutaliq farma rahe hain ke  use main aaj bhi jaanta hun aur phir Jo kuchh us aakhri jannati ke sath hone wala hai aaj hi tafseel se sab kuchh suna rahe hain to Jis Mehboob ki nazar duniya ke is sire per bhi ho aur us sire per bhi To khud hi insaaf kar lo ke us mehboob paak ki nazar se darmiyaan ki koi chiz kaise gaaib reh sakti hai 

Maloom hua huzur sallallahu alaihi wasallam Jo kuchh ho chuka aur Jo kuchh Hoga sab jante Hain Allah tala ki ataa se !

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.