Ishqe Mustafa sallallahu alaihi wasallam
Aaqa sallallahu alaihi wasllam ka ishq hamare imaan ka hissa hai uske bagair imaan mukammal ho hi Nahin Sakta lakh ibadat karle agar huzoor Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ki mohabbat Dil mein Nahin to Kisi ibadat ka koi fayda nahin
log kehte Hain ab jab shariat aana band ho gai to huzur sallallahu alaihi wasllam ki bhi zarurat Nahin rahi sirf Quran padho aur Amal karo !
aankh ho light Na ho To aankh Nahin dekh sakti ISI Tarah Noor mohammadi Ka Noor Dil mein Na ho To Quran kya samajh aaega
Kisi kagaz per se roshnai utha len To kagaz khali rahega
ilm ka noor Man mein Nahin aata kyunki noor e Mohammed sallallahu alaihi wasllam Man mein Nahin hota
yeh donon ek dusre ke liye zaruri hain
Shaitan bahut bada ibadat guzar tha usne duniya ke chappe chappe per ibadat ki 6 karod saal tak Rab ko sajda Kiya FIR Allah ne uska imtihan liya magar imtihan toheed ka nahin tha balke tazeem e rasool sallallahu alaihi wasllam Ka imtihan tha woh to bahut Allah ki ibadat karta tha Rab ko khoob sajda Kiya karta tha magar jab Allah ne imtihan liya to ye ke mujhe sajda Tu karta hai magar main jisko sajda karne ka kehta hun karta hai ya nahin usne inkar Kiya aur kehne laga ki yeh to mitti se bane Hain mein aag se mein mitti ko kyon sajda Karun shaitan ye samajhta tha ki aag mitti se Afzal Hai jabke Allah ne aag ke samne peshani jhukane walon ke bajae mitti per peshani rakhne walon ko Pasand farmaya aur apne murdon ko bhi aag ke hawale karne ke bajaye mitti ke hawale karne ke tarike ko Pasand farmaya
Hazrat aadam alaihissalam ki takhliq ka Allah ne yun zikr farmaya hai ke
( inni khaliqun basharan min teen fakaoo lahu sajedeen)
ISI baat ko lekar do group ban Gaye malaika ke ek group ne kaha ki jo Rab kehta Hai woh karo yani sajda karo dusre group ne kaha ki jo rab kehta Hai woh kaho yani bashar Kaho Allah ne surah mominoon mein is group ka zikr yun farmaya hai ke
(faqalal malaul.lazina kafaru min qaumihi mahaza illa bashara ureedu ayyatafaddala alaikum)
Rab ye batana Chahta Hai ki kuchh logon ne kya Kaha magar batane se pahle farmaya ki sun lo kehne wale kaun Hain kafir aur yah kufr Ka asar Hai ki unke munh se Allah ke rasul ke liye bashar niklega kyunki unko khatra tha ki kahin Nabi ki fazeelat zahir Na ho jaaye kafir bhi Nabi ki fazeelat kam karna chahte the aur aajkal ka ek group bhi yahi koshish karne mein laga hua hai ki kahin Nabi ki fazilat zahir Na ho jaaye isiliye Nabi ko sirf bashar kehne se baaz nahin aate ab Jo bhi Nabi ke bare mein aise jumle kahe samajh Lena ke Nabi ko Afzal Nahin manta aur yeh ke woh kis giroah se hai aur uska leader kaun hai kehte Hain Amal karo Amal karo sirf Amal Kiya karenge Amal to woh bhi karte Hain Jo Allah ko Nahi mante social work ke naam per karodon kharch karte hain daulat kaam nahi aayegi balke ishqe Mohammed sallallahu alaihi wasllam chahie
Qabr mein Amal Nahin ishq poochha jaega agar Nabi ki chahat hogi to qabr mein chutkara milega
Amal ko bhari karne ki zarurat hai Sawab badh Jayega log Apne Mal ko bhari karne ke liye milawat karte hain isi Tarah ham bhi Apne Amal mein agar ishqe Mohammed sallallahu alaihi wsallam Mila lenge to wazan badh Jayega
sahaba e ikram ka jo kharch karna baad walon ke sone ka pahad sadqa karne se Afzal isiliye hua kyunke unke Amal mein ishq e Mohammed sallallahu alaihi wasallam shamil tha warna ibadat To ham bhi karte Hain magar waisa ishq nahin hai isliye waisa sawab bhi Nahin Hai
Ek Hadees mein Hai ki qayamat ke din huzur Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ko hazrat aadam Alaihissalam aakar bataenge ke aap sallallahu alaihi wasallam Ka ummati jahannam mein ja raha hai aap sallallahu alaihi wasallam ne farishton se farmaya ke iska naama e aamal mere samne Tolo jab Nama e Aamal wazan Kiya jane laga to aap sallallahu alaihi wasallam ne ek parchi Tarazu per Dali nekiyon ka wazan badh Gaya poochhne per bataya ki Nabi ki mohabbat ne wazan badha Diya
hazrat aadam alaihissalam aur Shaitan ke kisse se maloom hota hai ki sirf Nabi ki mohabbat na hone ki wajah se 6 karod sal ki ibadat radd ho gayi jannat se nikal Diya Gaya to Jo pehle jannat mein aata jata tha Woh nikal Diya Gaya to jo abhi jannat mein Gaya hi nahin woh agar Nabi ki mohabbat Dil mein Nahin rakhega to jannat mein dakhil kaise ho sakta hai !
Post a Comment