BREAKING NEWS
ADVERTISEMENT

heart attack kabhi nahi aayega jo Allah ka zikr karta hai


Dil ko zinda rakhne ka nuskha

huzoor sallallahu alaihi wasallam ka irshad Hai ke Jo Allah ka zikr karta hai aur jo nahin karta UN donon ki misal zinda aur murda ki si hai ke zikr karne wala zinda Hai Aur zikr na karne wala murda hai 

Zindagi har shaks ko mahbub hai aur Marne se har shakhs hi ghabrata Hai huzoor sallallahu alaihi wasllam ka irshad hai ki jo Allah ka zikr nahin karta woh zinda bhi murde hi ke hukm mein Hai uski zindagi bhi bekar hai 

baaz ulama ne farmaya hai ki yah Dil ki halat ka byan hai ki jo shakhs Allah ka zikr karta Hai uska Dil zinda rehta Hai aur jo zikr nahin karta uska Dil mar jata hai 


Kisi ne kya khoob kaha hai


 Zindagi zinda dili Ka naam Hai 

murda Dil kya khak jiya karte Hain


huzoor Akram sallallahu alaihi wasllam ka irshad hai ki jannat mein jaane ke baad ahle jannat ko duniya ki Kisi chiz Ka bhi qalaq aur afsos Nahin hoga bajaz us ghadi ke Jo duniya mein Allah ke zikr ke bagair guzar gai ho

jannat mein jaane ke bad jab yah manzar samne Hoga ke ek dafa us paak naam lene ka ajro sawab Kitna ziyada tadad mein hai  ke pahadon ke barabar sawab mil raha hai to us waqt us apni kamai ke nuqsan per jis qadar bhi afsos Hoga woh zahir Hai ..

Aur aise khush naseeb bande bhi hain jinko duniya hi bagair zikrullah ki acchi Nahin maloom hoti 

Hafiz IBN hajar rahmatullah alaihi mumbhat mein Likha Hai ki yahya bin maaz razi rahmatullahi apni munajaat mein kaha karte the 

ya Allah Raat acchi Nahin lagti magar tujh se Raaz o neyaz ke sath 

Aur din achcha maloom Nahin hota magar Teri ibadat ke sath 

Aur duniya acchi Nahin maloom hoti magar tere zikr ke sath 

aur aakhrat bhali Nahin magar Teri mafi ke sath 

aur jannat mein lutf Nahin magar tere didar ke sath.

Hazrat Sirri Saqti farmate hain ke main ne hazrat jar jaani ko Dekha ke sattu faank rahe hain maine puchha ki yah Khushk hi phaank rahe ho kehne lage ke main ne roti chabane Aur fankne Ka jab hisab lagaya to chabane mein itna waqt ziyada kharch hota hai ki usmein aadami 70 martaba subhanAllah keh sakta hai isliye main ne 40 baras se roti khana chhod di hai aur sattu phank kar guzar kar leta hoon

Mansoor bin muammar rahmatullah alaih ke mutalliq likha hai ke 40 baras tak Isha ke bad kisi se baat nahin ki aur Rabi bin haisam ke mutaliq likha hai ke 20 barah tak Jo baat karte usko ek parcha mein likh lete Aur Raat ko Apne Dil se hisab karte ke kitni baat usmein zaruri thin Aur kitni gair zaruri .

Garz ke Hadees Mubarak se waqt ki ahmiyat Ka pata Chala aur Allah walon ki seerat aur Amal se waqt ki qadar Karne Ka sabaq Mila.

Aur Allah ke zikr ka fayda batate hue huzoor Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam irshad farmate Hain ke Jo bhi log Allah ke zikr ke liye jama ho aur unka Maqsud sirf Allah hi ki Raza ho to aasman se ek farishta ninda karta hai ki tum log bakhsh diye gaye aur tumhari buraiyan nekiyon se badal di gain To Jo Allah ka zikr karta hai ekattha ho ke jama ho ke to Allah  tala Khush hota hai Razi hota hai aur zikr Karne walon ko Allah bakhsh deta hai aur itna hi nahin balki unki buraiyon ko nekiyon mein badal deta hai 

Ek Hadees mein Aaya Hai ke jis Majlis mein Allah Ka zikr Na ho huzoor sallallahu alaihi wasallam par durood Na ho us Majlis wale aise hain jaise mare hue gadhe per se uthe hon aur

 ek Hadees mein Aaya Hai ki Majlis ka kaffara ye hai ki Uske ikhtetam par ye dua padh le

 subhanAllah wa bihamdihi subhanakallahumma wa bihamdika wa ash.hadu alla ilaha illa Anta astagfiruka wa atubu ilaika 

ek Hadees mein hai ki Majlison ka haq Ada kiya karo aur woh yeh hai ki Allah ka zikr un main kasrat se karo Musafiron ko rasta batao aur Na jaaiz chiz samne a jaaye to aankhen band karo ya nichi kar lo ke us per nigah na pade

Hazrat Ali Radi Allahu anhu irshad farmate Hain ke Jo shaks yah chahe ki uska sawab bahut badi Tarazu main tule yani sawab bahut ziyada miqdar mein ho usko chahie ki Majlis ke khatm hone per yeh dua padha Kare

 subhana rabbika rabbil izzati Amma yasifun wasalamun alal mursaleen Wal hamdu lillahi rabbil alamin 

Majlis ke khatam per yah wali dua padhne se bahut fayda hota Hai

Aur Allah ka zikr karne mein bahut se fayde Hain nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke main tumhen aise behtreen aamal na bata dun Jo Rab ke nazdeek bahut shuthre aur tumhare darje bahut buland Karne Wale aur tumhare liye Sona chandi khairat karne se behtar ho aur tumhare liye usse bhi behtar ho ki tum dushman se jihad karo aur tum unki gardan maro aur woh tumhen Shahid Karen sahaba e kiraam ne arz kiya han  to aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya woh Amal Allah ka zikr hai

To Allah ke zikr se Iman taza hota Hai Allah Khush hota Hai aur dil zinda hota Hai

 

Post a Comment
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT