qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

eid milad un nabi ko quran ki roshni main janiye aur samajhiye haq ki talash hai to


Milad E Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam quran ki roshni main

Beshak tumhare pass tashreef Laye Tum main Se woh Rasool Jin per Tumhara mashaqqat (mushkil) Mein padhna Giran (takleef deh) Hai Tumhari bhalai Ke Nahayat chahne wale musalmanon per Kamal Meherban (para 11 Surah taubah)

SubhanAllah abhi aapne Jis aayat e mubaraka Ka Tarjuma Padha Allah Tala ne apne Habib aur Hamare Pyare aaqa Sallallahu Alaihi wasllam ka Milad Sharif Irshad farmaya ke aap Sallallahu Alaihi wasllam ki tashreef Awri ka zikr farmaya aur aap Sallallahu Alaihi wasllam ke Fazaail wa khususiyat zikr farmaya chunanche uper jo aayate mubaraka ka jo Tarjuma hai us se Maloom Hua ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka Milad padhna Sunnat e  ilahiya hai aur Quran Mein mukhtalif mukhtalif jagah par ambiya Kiram ka bhi zikr hua Ke unhone Bhi Nabi aakhiruz.zaman Sallallahu alahi wasallam ka Milad Sharif padha lihaza Milad Sharif padhna Sunnat e ambiya bhi hai !

Beshak Allah ka Bada Ahsan Hua musalmanon per ke unmen unhi mein se ek Rasool bheja Jo un par uski aayaten padhta hai aur unhen Paak karta hai aur unhen Kitab wa hikmet (Quran O Sunnat )sikhata Hai (para 4 Surah Aale Imran)

To is aayat se Ba khubi wazeh ho Gaya ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasllam ki tashreef Awri Tamam Nematon se Afzal o aala hai Jaisa ke lafz manna Se wazeh hua ke Quran Mein Kisi Aur nemat per Manna Irshad na hua Kyunki Tamam nematen Fanaa ho jaane wali Hain Magar Imaan Baqi aur Hamare aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Jane imaan hain Tamam Nematon ko nemat banane wale Hamare Pyare aaqa Sallallahu Alaihi wasllam hi Hain To Jab Hamare Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Tala ki Itni Shandar Bemisal nemat Hain To is Nemat ka shukr Kyon kar na ada kiya jaye chunanche Musalman Apne  Allah Tala ki is Afzal o aala nemat ka shukr Ada karte hain aur is nemat ke husool ke din ko aqeedat o ehteram se manate Hain jashne wiladat e Nabi Sallallahu alahi wasallam Karke Apne quloob ko Roshan Karte aur Iman ko taza karte hain  !

isa Bin Mariyam Ne arz ki aye Allah aye Rab Hamare Ham per Aasman Se ek  Khwan utaar ke woh (din) Hamare liye Eid Ho Hamare agle Pichh Lon Ki Aur Teri taraf se (Teri Rehmat Ki) nishaniyan aur Hamen Rizq De aur tu sabse Behtar Rozi dene Wala Hai (Para 7 surah al.maida) 

Subhan Allah is aayat se Maloom Hua ki Allah Tala ki nemat ke nuzool ka din musalmanon ke liye Eid Ka Din Hota Hai Aur bila shako shubah Hamare Nabi Kareem Sallallahu alahi wasallam ki wiladat Ba sadat Maida (khwan) Se Badi aur Azeem nemat Hain chunanche Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wiladat Ba sadat ko Eid milad un Nabi Kehna aur jashne Eid milad un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Manana jaiz balke Allah Tala ke shukr Ki adaigi Hai lihaza Maloom Hua ke Jis Din ya Jis tarikh Mein Allah Tala ki koi Khaas nemat bandon ko Mili Ho us Din ya us tarikh ko Eid banaa lena aur Hamesha us Din ya us tarikh ko Ibadat Ka ehtemam Karna Khushiyan Manana Sunnat e ambiya Hai lihaza Eid milad un Nabi Sallallahu Alaihi wasllam manana sabit hua yaum e Milad un Nabi Manana Nemat ka shukar hai aur is se Allah Tala Raazi Hota Hai !

Tum farmao Kisne haram ki Allah Ki (Halal Karda) woh zeenat Jo usne  Apne bandon ke liye Nikali aur Pak rizq ~Tum Farmao ke woh (nemat) Iman Walon Ke Liye hai Duniya Mein Aur Qayamat Mein To khas unhi (musalmanon) ki hai Ham Yun Hi mufassal aayaten bayan Karte Hain ilm Walon ke liye (para 8 Sur Araf)

Is aayat se Maloom Hua ki Jin Dinon ko Allah Tala ke pyaron se koi khas nisbat Ho Jaaye woh Allah Ke Din Ban Jaate Hain Jaise shab e meraj yaum e milad un Nabi Sallallahu alahi wasallam Maida ke nuzool ka Din manna wassalwa ke nuzool ka din vagaira lihaza Aisi tarikhen Aur Din Allah Ki nishaniyan Hain Magar unke liye Jo Sabir Hain aur Shakir Hain 

To  upar jo aayat ka tarjuma hai usmein un khas Dinon Ka tazkira Karne  ka Farma ya Gaya yani UN Dinon Tarikhon Ko Yad Rakho aur us Din Ibadat ka Khas ehtemam karo Allah ka shukr Ada karo chunanche yahoodi Ashura ke din Roza rakhte the Kyunki us Din unhen firauon se nijat Mili Thi lihaza Maloom Hua ki buzurgane deen Ki Yadgaren Manana un tarikhon Mein Ibadat karna Sunnat e ambiya hai lihaza agar Sabse Badi Nemat ke nuzool ke din yani yaum e wiladat un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khushi manai Jaaye to kyon kar najaiz ho sakta hai lihaza sabit Hua Ki Mehfil e Milad wagaira Sab jaaiz Hai Uska Inkar aur use Naajayaz kehna Quran Se Nawaqfiyat hai !

Aur na kaho use Jo Tumhari zabane Jhoot Bayan Karti Hain ye halal hai aur ye haram hai ke Allah par jhoot bandho be shak jo Allah par jhoot bandhte hain unka bhala na hoga (para14 surah nehal)

Is aayat se Maloom Hua Ki Rab Ki Har chiz Halal Hai Siva UN cheezon Ke Jise Allah wa Rasool Ne haram farma Diya lihaza Maloom Hua ke bagair daleel kisi chiz ko haram keh Dena Allah per Jhooth hai lihaza Jo Mehfil e Milad wa Digar airaas Ko bagair Suboot haram Kehte Hain woh Jhuthe Hain yeh Tamam chizen Halal Hain Kyunki unhen Allah wa Rasool Ne Haram na farmaya Kyunki Halal woh Jise Allah wa Rasool Halal farma den aur haram woh Jise Allah wa Rasool haram farmaen aur jis se Khamoshi hai woh maaf Hai Chunanche jab Mehfil e Milad Sharif ko haram Nahin farmaya Gaya to woh bila  shak o shuba Halal wa Jaaiz hai  jo ise Najaiz Kahe woh Allah per Jhooth bandhne ka murtakib hai !


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.