allama Safuri rahmatullahi Alaihi ne nuzhatul majalis main Likha Hai ke shaitaan se 4 kufr sadir huye jinki wajah se Woh kafir aur maloon hua number 1 us maloon ne Khuda tala ki muqaddas zaat ko zulm ki taraf Mansoob Kiya aur Kaha
main Aadam se behtar hun kyunki mujhe tune aag se banaya hai aur aadam ko mitti se
maqsad maloon Ka ye tha ke main behtar hoon aur behtar ko adna ke aage jhukne Ka hukm de raha hai Goya usne khuda ki taraf zulm ki nisbat ki aur ye kufr hai
aur dusra yeh ek barguzida Nabi ko banazre hiqarat dekha aur Nabi ko hiqarat se dekhna kufr hai
teesra us ne ijma ki mukhalifat ki yaani sare farishton ka ijma sajda karne per ho Gaya magar usne is ijma ki mukhalifat ki aur akda Raha aur ijma ki mukhalifat bhi kufr hai
Chautha nass ke hote huye usne apna falsafa chhanta aur Kaha ke main aag se hun aur aag mitti se behtar hai nass ke muqable main apna falsafa lana bhi kufr hai (nuzhatul majalis s34j2)
Shaitan ki in baton se hamen bachna chahie aur khudawand Karim ki muqaddas v munazzah zaat ki taraf Kabhi koi Na rawa lafz mansoob nahin karna chahiye baaz jahil aur zalim log baat karte hue asna e kalam main ye lafz bhi keh jaate Hain "zulm khuda" Ka
Astagfirullah
aisa lafz hargiz Nahi kehna Chahiye ke isi nisbat e qabiha se Shaitan maloon v mardood hua
yeh bahut badi jahalat hai ki kehne Wale ko kuchh pata nahin ki main kya Bak raha hun har shakhs ko is kufriya kalma se bachna Chahiye aur Allah tala ke har kam ko mabni bar hikmat samajh Kar is amr Ka iqrar karna chahiye ke khuda tala ne Jo farmaya aur Kiya theek aur ain hikmat hai
Shaitan ki dusri kufriya harkat se bhi har musalman ko bachna Chahiye kyonke Allah ke Nabi ki adna tauheen v tehqeer se bhi aadmi kafir ho jata hai aur imaan jata rehta hai
Shaitan se badh Kar kaun Allah ko ek manne wala aur uski ibadat Karne wala Hoga lekin sirf Allah ke Nabi ki tehqeer Karne aur unhain mitti Ka Bana hua kehne se kafir ho Gaya
Uski Umar Bhar ki tohid aur ibadat kaam Nahi aai lihaza har musalman ko Allah ke Nabi ki Dil o Jaan se tazeem Karni chahiye aur koi aisa lafz jis se Nabi ki tehqeer Ka pehlu bhi nikalta ho maslan Woh bhi hamare Jaise hi bashar the khate the pite the aur bhulte the wagairah is qism ke jumle Jo aam logon ke liye istemal hote Hain Nahi kehne Chahiye ke isi tarz e kalam se Shaitan mara Gaya
Shaitan ki teesri harkat farishton ki sari jamaat ke khilaf chalna uske liye mohlak sabit hui Sare farishte hazrat aadam Alaihis salam ke aage jhuke hue the aur yeh tanha ek taraf akda hua khada tha halanke haq ijma ki taraf tha ab bhi khuda ke fazl o karam se ahle sunnat v jamat hi ki kasrat Hai hamen is kasrat mein sharik rehna Chahiye aur is badi jamaat ko chhodkar alag na Hona chahiye
huzoor sallallahu Alaihi wasallam ka irshad bhi hai "badi jamat ke piche Lago"
Shaitan ki chauthi kufriya harkat se bhi bachna Chahiye aur woh ye ke khuda ke sareeh hukm ke samne woh apni mantiq chalane laga aur apna falsafa pesh Karne laga hamen is harkat se bachna Chahiye khuda tala ka hukm hai namaz padho roza rakho zakat do to bas har musalman is hukm ke aage sar kham karde sar jhukade na yeh ke apna falsafa chhantne lage ke namaz kyon padhen pehle iska falsafa samajh main Aaye phir padhenge roza rakhne ka kya fayda zakat dene ki kya zarurat is qism ki laa yani baton se Shaitan ko Khush kar ke apne imaan se hath na dho Lene chahiye balke farishton ki Tarah fauran apna sar taslim kham kar dena chahiye
Post a Comment