BREAKING NEWS
ADVERTISEMENT

imaan ki qadar karo


imaan ki qadar karo 

assalamu alaikum Allah tala ka lakh lakh shukr hai ke hamen Allah ne insan banaya aur nabi sallallahu alaihi wasallam ka ummati banaya aur iman jo ke bahut badi nemat hai se nawaza iman hi woh daulat hai jiski wajah se ek momin ko jannat milegi aur rab ka deedar naseeb hoga lihaza hamen iman ki hifzat aur uski qadar karna chahiye 
doston Allah quran main irshad farmata hai -be shak woh log jo imaan laye aur achchhe amal kiye woh log tamam makhlooqat main behtar hain -
iman ka lugvi mani aman dena panah dena -iman bhi dozakh ke azab se aman aur panah deta hai 
shariat main iman kehte hain har us chiz ko dil se manna jo huzur sallallahu alaihi wasallam Allah tala ki taraf se lekar aaye 
ye iman wala agar apne iman ka khayal karte huye achchhe amal kare to tamam makhlooqat se aala v afzal hai ke inhi ke liye jannat hai inhi ke liye didar e ilahi hai inhi ke liye hamleen arsh farishte duaen karte hain inhi ke liye marne par aasman v zameen rote hain aur izzat bhi iman walon ke hi liye hai jaisa ke quran main Allah farmata hai ke izzaten Allah aur uske rasool  sallallahu alaihi wasallam aur mominin ke liye hain 
isi iman ke zariye bandah jannat ka mustahiq ban jata hai nabi sallahu alaihi wasallam ne farmaya -jab tak tum iman na lao us waqt tak jannat main nahi ja sakte -isi iman ki wajah se momin ki shan khana kaba se bhi ziyada hai tafseer durre manshur main hai ke hazrat abdullah bin abbas radiAllahu anhu khana kaba ki taraf mutawajjah ho kar farmaya -aye khana e kaba ke be shak Allah rabbul izzat ne tujhe bahut izzat v sharafat o azmat di hai lekin momin ki izzat tujh se ziyada hai subhanAllah Allah ne hamen iman ki nemat ata farmaya hai to hamen is par Allah ka shukr ada kana chahiye balke shukr ada karna ham par wajib hai 
alamat e iman yani iman ki nishaniya  aaiye mukhtasar iman ki kya kya nishaniya hain  jante chalen 
1) apne nabi hazrat muhammad mustafa sallahu alaihi wasallam se har chiz se badh kar mohabbat karna jaisa ke hadees shareef main aata hai ke  nabi sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke tum main se koi shakhs us waqt tak kamil momin nahi ho sakta jab tak main mohammad sallallahu alaihi wasallam usko uske walid aur uski aulad aur tamam logon se badh kar mehboob na ho jaun  (bukhari shareef)
2) jiski zaban aur hath se dusre musalman mehfooz rahen hadees shareef main aata hai ke musalman woh hai jiski zaban aur hath se dusre musalman mehfooz rahen (bukhari )
3)momin ke dil main Allah ka khauf hota hai jaisa ke huzur sallallahu alaihi wasallam irshad farmate hain ke Allah tala se momin hi darta hai  (kanzul.amman)
4) dusre musalman ke liye wohi pasand karna jo apne liye pasand karta hai jaisa ke hadees shareef main aata hai tum main se koi shakhs us waqt tak kamil iman wala nahi ho sakta jab tak dusre bhai ke liye woh pasand na kare jo apne liye pasand karta hai (bukhari shareef)
5) momin ba haya hota hai be sharam nahi hota jaisa ke huzur  sallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya haya iman ki shakhon main se ek shakh hai ( bhukhari shareef )
6) momin sabr wala hota hai be sabra nahin jaisa ke huzur ne farmaya sabr nisf iman hai ( kanzul-umman )
7) ansari sahaba se mohabbat karna jaise ke huzur sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya iman ki alamat ansari sahaba se mohabbat karna hai ( bukhari shareef ) 
8) kufr aur kafiron ko na pasand karna jaisa ke nabi sallallahu alaihi wasallam ka irshad hai jo kufr main jana na pasand karta ho  (muttafiq alah)
9) raste se takleef deh chiz ko door karna jaisa ke huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke adna iman raste se takleef deh chiz ko door karna hai (muttafiq alaih )
10) momin kisi par lanat karne wala nahi hota jaisa ke huzur sallallahu alaihi wasallam ka irshad mubarak hai momin ki ye shan nahi ke woh kisi par lanat kare ( tirmizi shareef )
11)momin jhoota nahi hota rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam se puchha gaya ke kya momin jhoota ho sakta hai to aap ne farmaya nahi ( mishkat shareef )
12) momin gareebi halat main bhi Allah tala ki raah main kharch karta hai huzur sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke iman ki alamat gareebi ki halat main bhi Allah tala ki raah main kharch karna hai ( kanzul-umman )
13) momin sirf Allah ki raza ke liye kisi momin se mohabbat karta hai dunyavi garz maqsood nahi hoti jaisa ke hadees shareef main hai ke jo sirf Allah ke liye mohabbat kare (kanzul-umman) 
14) jo kisi se sirf Allah ki raza ke liye bugz rakhe ke Allah tala ka na farman hai hadees shareef hai ke aur us shakhs ka iman kamil hai jo sirf Allah ki raza ke liye bugz rakhe (kanzulumman)
15) jo sirf Allah tala ki raza ke liye kisi ko kuchh de koi duniyavi garz matloob na ho aur reya kari ke taur bhi na ho jaisa ke hadees shareef main hai aur jo sirf Allah tala ki raza ke liye kisi ko kuchh de (kanzul-umman)
Dawat e fikr to har kalmah padhne wala musalman in alamat par gaur kare aur dekhe ke kya ye alamat ham main pai jati hain ya nahi agar jawab nafi main hai to koshish karen ke in alamat ka jame ho
guzarish main apne tamam musalman bhaiyon se ye arz karta hoon ke iman bahut badi nemat hai apne iman ki qadar bhi karen aur iski hifazat bhi karen 

Post a Comment
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT