ilm har haal main hasil karo
ilm har haal main hasil karo
assalamu alaikum : ilm : yani janna malumat jankari ilm ek aisi chiz hai jo musalmano ko iske bare main ye hukm diya gaya hai ke ilm deen ka sikhna har musalman mard aur aurat par farz hai (farz e kifaya) ilm hi se qaum taraqqi karti hai kamyabi hasil karti hai ilm hi se aqal roshan hoti hai sochne ki salahiyat paida hoti hai elm hi se sach aur jhoot main faraq jan sakte hain haram v halal ki tameez kar sakte hain haq v batil ko pehchan sakte hain aur shaitan ke makro fareb se bach sakte hain ilm ki ahmiyat aur uski barkat ko is waqia se samajhiye
hadees shareef main hai ke baad namaz asar shayateen samandar par jama hote hain iblees ka takht bichhta hai shayateen ki karguzariyan pesh hoti hain koi kehta hai maine itni sharaben pilai koi kehta hai maine itne zina karaye sabki baten sunta raha phir kisi ne kaha aaj maine falan talib e ilm ko padhne se rok diya ye sunte hi iblees takht par uchhal pada aur usko gale laga kar kaha tune kaam kiya hai tune kaam kiya hai dusre shayateen ye kaifiyat dekh kar jal gaye ke unhon ne itne bade bade kaam kiye unko kuchh na kaha aur usko itni shabashi di ke gale laga liya iblees bola tumhain nahi maloom jo kuchh tune kiya sab kuchh isi ka sadqah hai agar ilm hota to woh gunah na karte batao woh kaunsi jagah hai jahan sabse bada aabid rehta hai magar woh aalim na ho aur wahan ek aalim bhi rehta ho shayateen ne ek maqam ka naam liya subah ko suraj nikalne se pehle shayateen ko liye huye iblees us maqam par pahuncha shayateen to makhfi rahe aur iblees insan ki shakal ban kar raste par khada ho gaya aabid sahab tahajjud ki namaz ke baad namaz fajar ke waste masjid ki taraf tashreef laye raste main iblees khada hi tha alaik salaik ke baad iblees bola hazrat mujhe ek masala puchhna hai aabid sahab ne farmaya jalad puchho mujhe namaz ko jana hai iblees ne apni jeb se ek chhoti shishi nikal kar puchha Allah tala qadir hai ke in aasmano aur zameen ko is chhoti si shishi main dakhil karde aabid sahab ne soch kar kaha kahan aasman o zameen aur kahan ye chhoti si shishi mumkin nahi iblees bola bas yahi puchhna tha tashreef le jaiye phir shayateen se kaha dekho maine isko gumrah kar diya usko Allah ki qudrat hi par imaan nahi ibadat kis kaam ki tulu e aafatab ke qareeb aalim sahab jaldi karte huye tashreef laye iblees ne alaik salaik ke baad kaha hazrat mujhe ek masala puchhna hai unhon ne farmaya jaldi puchho namaz ka waqt kam hai usne wohi sawal kiya aalim sahab ne farmaya maluoon to iblees maloom hota hai are woh qadir hai ke shishi to bahut badi hai ek sui ke nake ke andar agar chahe karoron aasman o zameen dakhil kar de beshak Allah har chiz par qadir hai aalim sahab ke tashreef le jane ke baad shayateen se iblees bola dekha ye ilm hi ki barkat hai
to doston agar hamen aadha pet khana khana pade magar har haal main ilm hasil karo kyonke ilm hi se duniya main taraqqi kar sakte hain haq v batil ko pehchan sakte hain aur aakhirat main bhalai pa sakte hain .