Nafsiyati yah kya chiz hai to aap sabse pahle isi chiz ko samajh len tab jakar aapko aage ka mazmoon samajh ne mein bahut hi aasani ho jayegi jaisa ki Aapne Dekha Hoga ke aadami din bhar Apne karobar mein masroof rehta hai use fursat Nahin milti Hai idhar se udhar bhag daud mein lagaa rehta hai insaan pressure mein rehata hai tension mein rehata hai zehni uljhan mein rehata hai aur use sukoon Nahin milta Hai aapane Dekha Hoga ke bahut se log zehni sukoon ke liye medicine istemal karte lekin aaram Nahi milta to inhi chizo Yani depression tanav uljhan tension be sukooni wagairah isi ko nafsiyati bimari kahate Hain aur yahi nafsiyati bimari Ka hal aur ilaaj namaz hai namaz padhne se ye sari bimariyan khatm ho jaati hain
Insan ko gam aur qalaq se nijat dene main namaz bahut muassar hai jab insan zindagi ke Masha Gill aur mushkilat se kinara Kash hokar pure Khushu aur Shan e bandagi ke sath namaz main apne Rab ke huzur khada hota hai to Uske Dil mein sukoon aur itmenaan paida hota hai zindagi ki bhaari zimmedariyon aur mushkilat ka peda Karda aasabi tanav aur izterab khatm ho jata hai Nabi sallallahu alaihi wasllam ko jab bhi koi Gam ya mushkil pesh aati aap namaz padhte hazrat huzaifa radi Allahu anhu ki riwayat hai ke rasool e Akram sallallahu alaihi wasllam ko jab bhi koi mushkil pesh aati namaz padhte jab namazon ke awqat shuru hote To rasool Akram sallallahu alaihi
wasallam hazrat Bilal radi Allahu anhu se farmate aye Bilal radi Allahu anhu namaz ke zarie hamen rahat pahunchao in dono ahadees se maloom hota hai ke Dil mein sukoon aur itmenaan paida Karne mai namaz ki kis qadar ahmiyat hai aur qalaq aur izterab se shifayab hone ke liye namaz bada aham aur muassar ilaaj hai Allah tala ne hamen hukm Diya hai ki jab mushkilat gher len aur gamon Ka bhojh badh jaaye to namaz se madad lo (tarjuma) aur sabr aur namaz se madad chaho dauran e namaz insan ka Apne Rab se Jo raabta qaaim hota hai wah ismein gair mamuli ruhani qumawat paida kar deta hai aur yah quwwat insan ke badan aur uski zaat main aham tabdiliyan paida Karne mein badi moassar hoti hai basa awqat yah ruhani taqat jism e insani main asar Andaz hokar aasabi tanav dur kar deti Hai Uske zuof aur imraz ka izala kar deti hai baaz attaba ne zikr kiya hai ke baaz marizon ko haj aur ibadat ki Bina par bahut tezi se Shifa hui namaz insan ke andar Jo ruhani taqat paida karti hai wah is per asar Andaz hokar use Pur umeed banaa deti Hai azm ko qavi karti hai himmat baland karti hai aur ismein aisi be panah salahiyaten paida Karti Hai ki us insan mein ilm o hikmat aur marifat qubool karne ki bahut ahliyat paida ho jaati Hai aur vah insan Azeem-us-Shaan shuja aane karname anjam dene ke laiaq ho jata hai namaz us ehsas e gunah Ka bhi behtreen ilaaj hai jiski wajah se insan mein qalaq aur izterab paida hota Hai Jo bahut se nafseyati bimariyon ka sabab banta hai kyunki namaz gunahon ko dho deti Hai aur khataon ke mail kuchail se nafs ko pak kar deti hai dil mein Allah tala ki taraf se magfirat aur Raza ki ummid paida kar deti hai rasool e Akram sallallahu alaihi wasallam sahaba e kiraam ko taleem dete the ke zarurat Puri hone ke liye aur mushkilat ko HAL karne ke liye namaz se madad len Jaise namaz e hajat namaz e istisqa wagairah isi Tarah mukhtalif hairaan kun umoor mein se Kisi ek ko muntakhab karne ke liye namaz e istekhara padhen khulasa kalam ye hai ke namaz ke bahut zyada aur bade fayde Hain namaz Dil mein sukoon aur itmenaan paida karti hai insan ko ehsas e gunah se rihaiDilaati Hai khauf aur izteraab khatm karti hai aur be panah ruhani qumawat paida karti hai jis se jismani aur nafseyati Imraz se shifayab hone mein madad milti Hai namaz insan mein zindagi aur sar garmi paida karti hai aur azeem qudrat v salahiyat se ham kinar Karti Hai jiski Bina per insan bade bade kam sar anjam de sakta hai namaz Dil ko munawwar Karke use is qabil banati hai ki Faizan e rabbani qubool kar sake garz rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ke muqarrar Karda farmuda aur khud Karda tariqa se Ada ki gai namaz insan ke andar bahut si nafsiyati aur Tamiri quwwaten paida Karti Hai asabi tanav zehni kashmKhash aur taklif de wehmon se shifa deti hai aur yah tajurba Hai ke ehsas e khud shikastgi ehsas e mehrumi ehsas e tanhai jaisi tamam mohlak bimariyon ka behtarin ilaaj NAMAZ HAI
Post a Comment