qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

AULIYA E KIRAM MUSHKIL KUSHA AUR MADADGAR HAIN



AULIYA E KIRAM MUSHKIL KUSHA AUR MADADGAR HAIN



assalamu alaikum kuchh bad,aqeedah logon ka ye aqeedah batila hai ke  huzur gaus e paak radiAllahu anhu ko madadgar nahi kehna chahiye kisi ko mushkil kusha ya madadgar kehna ya samajhna bad,tareen gunah aur shirk hai Allah tala ke siwa koi gaus e aazam nahi hai -
jabke quran paak main irshadate rabbani is baat par shahid o aadil hai ke auliya e kiram Allah tala ke hukm se makhlooq e khuda ki madad farmate hain Allah farmata hai -tumhara madadgar sirf Allah hai aur uska rasool hai aur woh imaan wale hain jo namaz qaim rakhte hain aur zakat ada karte hain aur (Allah ke samne aajzi se) jhukne wale hain -(surah maidah) is aayat e tayyaba main Allah tala aur rasool e akram sallallahu alaihi wasallam ke baad imaan walon ko bhi madadgar kaha gaya hai jo namaz qaim rakhne wale zakat ada karne wale aur bargah e rabbul,izzat main aajzi v inkesari ke sath jhukne wale hain ye auliya e kiram ki sifat hai to goya quran paak ne auliya e kiram ko bhi madadgar kaha hai zahir hai madadgar wohi hota hai jo madad kar sakta hai aur jis se madad mangi ja sakti hai dusre maqam par Allah farmata hai -pas beshak Allah tala aur jibrail aur nek momin madadgar hain -(surah tehreem) in aayat e quraniya se ye haqiqat azhar minash,shams hoti hai ke Allah tala jin logon se bhalai behtari aur achchhai ka irada farmata hai unhain logon ka mushkil kusha aur hajat rawa bana deta hai bhala ambiya e kiram v mursaleen e ezam ke baad auliya se badh kar aur kaun hai jis ke sath Allah tala bhalai ka irada farma sakta hai to maloom hua ke bandgan e khuda aur muqarraban e bargah e ilahi hajat rawa aur mushkil kusha hain aur unse madad mangi ja sakti hai 
 
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.