IBADAT KYA HAI
ASSALAMU ALAIKUM HAM AHLE SUNNAT V JAMAT MAIN QABRON KI ZIYART AUR HAZRI JAIZ V MUSTAHAB HAI AUR HAM MOMIN MUSALMAN ALLAH KE
MAQBOOL BANDON KI BARGAH MAIN HAZRI DETE HAIN KUCHH LOG JO DUSHMAN E AULIYA HAIN WOH SHIRK VBID,AT KA FATWA LAGATE HAIN
AUR YAHAN TAK UNKI ZUBAN BAHAR NIKALTI HAI KE QABR PUJWA KA ILZAM TAK LAGATE HAIN TO AAYIYE IS POST KO GAUR SE PADHIYE IS MAIN
YAHI BATAYA GAYA HAI KE IBADAT KYA HAI TAZEEM KYA HAI
lugat arab main ibadat ka mani hai usko aap roman urdu main padhiye ( aajzi aur ita,at ka aakhri darjah)
aur shariyat islamiyah main ibaadat ka itlaq us aajzi v ita,at par hota hai jo kisi hasti ko ILAH tasawwar
kar ke us ke liye ikhteyar ki jaye aur zahir hai ke kisi hasti ko jab ILAH yani khuda tasawwar kar ke uski
ita,at ki jayegi ya uske samne aajzi ka izhar kiya jayega to wohi ita,at v aajzi aakhri darje ki hogi
lehaza natija ye nikla ke gair ILAH ki ita,at aur uski tazeem par ibadat ka itlaq nahi hoga jaisa ke islam main
maa baap ustaz buzurgan e deen aur ambiya e kiram ke adab v ehteram ka hukm diya gaya hai aur aise hi maqam muqaddasa
aur Allah ke bandon ki nishaniyon ki tazeem v takreem ki taleem di gai hai jaisa ke Allah tala ka irshad hai
quran aur jo Allah ki nishaniyon ki tazeem kare to ye dilon ke taqwa ki wajah se hai (surah haj )
aur quran majeed main hazrat ibrahim alaihis salam se mansoob pat,thar maqam e ibrahim aur hazrat hajrah radiAllahu anha se
mansoob pahadiyon safa v marwa ko Allah tala ne apni nishaniyan qarar diya hai aur maqam e ibrahim ko jaae namaz banane ka khususi
hukm dekar wajibul tazeem aur mutabarrak qarar diya hai
IBADAT E KHUDA AUR TAZEEM E IBADULLAH main farq ki ek misal sajdah bhi hai farishton ne Allah ko ILAH jankar sajdah kiya to
ibaadat e khuda qarar paya aur jab hazrat aadam alaihis salam ko khalifatullah jan kar sajdah kiya to ye sajdah tazeem aadam
alaihis salam qarar paya
isi tarah namaz main bargah e rab tala main do zanu baithna Allah tala ki ibadat hai aur isi surat main hazrat jibrail alaihis salam
ka jab woh insani surat main bargah e nabvi sallallahu alaihi wasallam main hazir huye ,baithna (mishkat kitabul iman)
aur isi tarah mureed shagird aur aulad ka shaikh ustaz ya waldain ke samne do zanu baithna ibadat nahi balke mehaz adab v tazeem hai
lihaza sabit hua ke kisi hasti ko ILAH samajh kar uske sath adab v ita,at ka jo mamla bhi hoga us par ibadat ka itlaq hoga
aur agar kisi hasti ke bare main ILAH hone ka aqeedah nahi hoga to uski tazeem v takreem aur ita,at par ibadat ka itlaq nahi hoga
lihaza musalmano ka roza e rasool sallallahu alaihi wasallam ya auliya e kiram ki quboor par khade ho kar ya do zanu baith kar
salam arz karna ya fateha khawani karna mehaz adab v tazeem hai aur qat,an ibadat e quboor nahi kyonke koi musalman bhi
Allah tala ke siwa kisi hasti ko ILAH yani khuda nahi manta
Post a Comment