qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

QARZ E HASNA KI FAZEELAT


QARZ E HASNA KI FAZEELAT

ASSALAMU ALAIKUM 
deen islam hamen musalmano ki kairkhahi ka hukm deta hai ek dusre se hamdardi ka paigam deta hai 
aur is baat ki taraf hamari rehnumai karta hai ke agar kabhi koi musalman kisi pareshani v musibat 
ka shikar ho jaye to us se munh modne ke bajaye pareshani se nikalne main uski madad ki chahiye aur
agar mali taur par kisi ko aazmaish ka samna ho to tohfe ki surat main ya qarz hasna dekar use is se bahar 
nikalna chahiye aur qurban jayen jab ham kisi ki madad karenge is to is nek kaam par hamen be shumar 
ajr o sawab ki basharat di gai hai hadees shareef padhiye aur madad help karne ka jazba apne andar
paida kijiye.

hazrat anas bin malik radiallahu anhu se riwayat hai farmate hain ke rasool kareem sallallahu alaihi wasallam 
ne irshad farmaya jis raat mujhe meraj hui maine jannat ke darwaze par ye likha hua dekha 
SADQE KA SAWAB 10 GUNA AUR QARZ KA 18 GUNA HAI maine jibrail alaihis salam se daryaft kiya ke kya sabab hai
ke qarz ka darja sadqe se badh gaya unhon ne kaha ke sail ke paas mal hota hai aur phir bhi woh sawal karta hai
jabke qarz lene wala hajat ki bina par hi qarz leta hai (sunan ibn maja s389 h 2431)

aapne hadees mubark ka tarjuma padha ke ek dusre ki madad karna aur kisi hajat mand ko qarz e hasna dene
ka kitna bada sawab hai to hamen ek dusre ki madad karni chahiye.

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.