Ladka Ya Ladki Dekhne Jaana – Chand Aham Baatein
Shaadi byah zindagi ka ek ahem faisla hai, aur is faisle ki buniyad mein rishta dekhne ki rasm sadion se chali aa rahi hai. Lekin afsos ke, waqt ke saath is saada se kaam ko bhi paicheeda bana diya gaya hai. Bohat se gharane baar baar aane jaane, naye naye logon ko dikhane aur doosron ki pasand ko tarjeeh dene ki wajah se ek doosre ke liye pareshani ka baais ban jaate hain.
Nikah aur rishta zindagi ka aham faisla
Nikah aur rishta zindagi ka ek aham faisla hota hai, is liye is silsile mein sharafat, haya aur samajhdari ka khayal rakhna bahut zaroori hai. Aaj kal rishta dekhne ke naam par kuch aise rawayye aam ho gaye hain jo doosre ghar walon ke liye pareshani aur takleef ka sabab bante hain. Is mazmoon mein isi mauzu par chand aham aur naseehat bhari baatein pesh ki ja rahi hain taa ke rishton ka muamla aasani, izzat aur shar’i hudood ke andar rahe.
Rishta Dekhne Jaane Mein Sadgi Ikhtiyar Kijiye
Pehli dafa shuru mein jab rishte ke liye ladka ya ladki dekhne jaane ke baare mein mera maanna hai ke agar rishtedari ya mohalla pados mein rishta kar rahe hain to dekhne jaane ki zarurat hi nahin hai. Lekin agar nayi jagah rishta kar rahe hain to pehli baar jo dekhne jaayen to do ya teen se zyada na jaayen. Mardon mein baap bhai aur auraton mein maa behen ke alawa na le jaayen to behtar hai. Yani pehli martaba aise zimmedar hazraat jaayen jin ka faisla sab maante hon. Yeh nahin hona chahiye ke abhi hum dekhne ja rahe hain, do chaar din baad hamari beti damaad ya behen behnoi aayenge, tab pasand o na-pasand ka faisla hoga. To meri arz hai ke jab behen behnoi ya beti damaad ko hi pasand karna tha to unhein hi bhej dete, aap bekaar chale aaye.
Baar Baar Pareshan Na Kijiye
Ladki ya ladke walon ko baar baar pareshan na kijiye. Ladki dekhne ke liye khud ladka aur us ke maa baap ko pasand aa jaye to baqi rishtedaron ke pasand aane ki fikr na kijiye. Kyunki saath mein yahi teenon ko rehna hai. Bahu ya damaad ke achhe bure hone se sab se zyada unhi teenon ko farq padta hai, doosron ko nahin.
Ghair Zaroori Logon Ko Saath Na Layein
Baaz to aise be-haya o be-ghairat hote hain ke apne doston ko bhejte hain. Bahut se aise khud-dar o ba-ghairat log hain jinhon ne saaf keh diya hum sirf ghar walon ko beti dikhayenge, baahar walon ko na abhi dikhayenge aur na shaadi ke baad dikhane ki ijazat denge. Hum is ladke se nikah kar rahe hain, mohalle bhar se nahin. Samajh mein aaye to karo warna aap ja sakte hain.
Khatma
In saada magar wazni baton mein woh tamam usool aa gaye hain jo rishta dekhne ke amal ko shareefana aur pura-sukoon bana sakte hain. Ghair zaroori hujoom, baar baar ki farmaaishain aur doosron ki raaye ko asal faisle par haawi karna na sirf be-adbi hai balke rishte ki barkat bhi chheen leta hai. Faisla unhin ko karna chahiye jinhon ne saari zindagi saath nibhaani hai. Agar ghar ke zimmedaar afraad itminaan kar lein to baqi rishtedaaron ki pasand ka intezaar karna mehaz ek fazool rasm hai. Zaroorat is baat ki hai ke hum shariyat aur aqal-e-saleem ke mutabiq parde, waqaar aur saadgi ke saath rishta taye karein aur ek doosre ko ghair zaroori pareshani mein mubtala na karein.
.jpg)
