Khana Khane-Se Pehle Hath Dhona: Sunnat Aur Zaroorat
Assalamu Alaikum,
Khana har insan ki bunyadi zaroorat hai. Insan agar kuch din tak khana na khaye to zindagi mushkil ho sakti hai. Magar khana-khane se-pehle hath dhona ek ahem aur zaroori aadat hai jise Nazarandaz nahi karna chahiye. Is aadat ke beshumar faide hain aur isse laaparwahi karne ke nuqsan bhi hain. Aaiye jaante hain ke khana-khane se-pehle hath dhona kyun zaroori hai.
Khana Insan Ki Zaroorat Hai
Insan ki zindagi ke liye khana behad ahem hai. Har shakhs khana khata hai chahe woh kisi bhi mazhab ya aqeeday ka ho. Kafir, Yahoodi, Isai, aur Janwar bhi khana khate hain. Lekin ek Musalman ke liye ye zaroori hai ke woh khana sunnat-e-Mustafa alaihissalatu wassalam ke mutabiq khaye. khana-khane se-pehle hath dhona Nabi Kareem alaihissalatu wassalam ki ek piyari sunnat hai.
Hadees Shareef Mein Rehnumai
Hazrat Anas-bin-Malik Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Huzur Akram alaihissalatu wassalam ne farmaya:
"Jo shakhs chahta hai ke uske ghar mein Allah Ta'ala khair barhaye, to jab khana hazir kiya jaye tab wazu kare aur jab khana uthaya jaye tab bhi wazu kare (yani hath munh dhoye)." (Ibn-e-Maja)
Science Aur Hath Dhone Ki Ahmiyat
Jadeed science bhi is baat ko tasleem karti hai ke insani aadat mein be-shumar cheezon ko haath lagana shamil hai, jinmein kai gandi cheezen bhi hoti hain jo jaraseem se bhari hoti hain. Jab hum bina hath dhoye khana khate hain to ye jaraseem hamare pet mein chale jate hain jo mukhtalif bimariyan paida kar sakte hain.
Nabi Kareem alaihissalatu wassalam ne 1400 saal pehle hi yeh hidayat de di thi ke khana-khane se-pehle aur baad mein hath dhona chahiye. Aaj science bhi is baat ko tasleem kar rahi hai.
Khulasa (Nateeja):
khana-khane se-pehle hath dhona sirf safai ka aik aham hissa nahi balki yeh sunnat-e-Nabwi bhi hai. Is se na sirf bimariyon se bacha ja sakta hai balki Allah Ta'ala ki rehmat bhi hasil hoti hai. Humein chahiye ke hum is sunnat par amal karen aur apni zindagi mein isse aam karein. Allah Ta'ala humein amal ki taufeeq ata farmaye. Ameen.
Post a Comment