qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

fazilat soorah baqrah

  

Jis Ghar Main Soorah Baqra Padhi Jati Hai

Assalamu Alaikum,
Quran Kareem Allah Ta'ala ka nazil kiya hua aakhri aur abdi paigam hai. Is par amal karne se hi hum urooj aur irteqa ki manzilen tay kar sakte hain. Isse doori zillat aur ruswai ka sabab ban sakti hai. 

Quran Ki Ahmiyat

Huzoor Nabi kareem alaihissalatu wassalam ne farmaya:
"Yaqinan Allah Ta'ala is kitaab ke zariye bohoton ko buland farmata hai aur is se dusre bohot se logon ko neeche gira deta hai." (Sahih Muslim 1/272)
Jo log is kitaab par imaan laate aur amal karte hain unko bulandi milti hai, aur jo isse doori ikhtiyar karte hain unko zaleel kiya jata hai. Humein chahiye ke hum Quran ki tilawat ko apni zindagi ka hisa banayein kyunki yahi Quran fehmi aur qurb-e-Khuda ka zariya hai.

Quran Ki Shafa'at

Huzoor Nabi kareem alaihissalatu wassalam ne farmaya
"Quran padho, kyunki yeh qayamat ke din apne parhne wale ka sifarishi ban kar aayega." (Mirqat Sharh Mishkat 2/588)
Ek aur riwayat mein hai:
"Roza aur Quran banday ke liye shafa'at karenge. Roza kahega, 'Aye mere Rabb, maine isko din mein khane aur peene se roke rakha tha, meri shafa'at qubool farma,' aur Quran kahega, 'Aye mere Parwardigar, maine isko raat mein sone nahi diya,' chunanche dono ki shafa'at qubool ki jayegi." (Targhib wa Tarhib 3/170)

Surah Fatiha Ki Fazilat

Surah Fatiha Quran ki sabse pehli surah hai aur iski fazilat be-shumar hai.
1.
Huzoor Nabi kareem alaihissalatu wassalam ne farmaya
   "Jo shaks sone ke liye bistar par jaye aur Alhamdulillah aur Qul Huwa Allahu Ahad padhe, usko maut ke alawa har cheez se aman mil jata hai."
2. Ek riwayat mein hai:
   "Jo shakh,s ghar mein Surah Fatiha aur Ayatul Kursi padhe, us din uske ghar walon ko kisi bhi jin ya insan ki nazar nahi lagegi."

Surah Baqrah Ki Fazilat

Surah Baqrah ke fazail bhi bohot zyada hain.
1. Hazrat Abu-Huraira Radi-Allahu-Anhu se riwayat hai,
Huzoor Nabi kareem alaihissalatu wassalam ne farmaya
   "Tum apne gharon ko qabristan na banao. Jis ghar mein Surah Baqarah padhi jati hai, wahan se shaitan bhaag jata hai." (Muslim 1/265)
2. Ek aur riwayat mein farmaya:
   "Tum apne gharon mein Surah Baqarah padha karo, kyunki shaitan us ghar mein dakhil nahi hota jismein yeh padhi jati hai." (Kanzul Ummal 1/140)

Ayatul Kursi Ki Fazilat

Ayatul Kursi Quran ki ek azeem aayat hai jo Allah ki hifazat ka zariya banti hai.
1.
Huzoor Nabi kareem alaihissalatu wassalam ne farmaya
   "Jo shakh,s farz namaz ke baad Ayatul Kursi padhta hai, dusri namaz tak Allah ki hifazat mein rehta hai." (Kanzul Ummal 1/121)
2. Ek shakhs ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam se shikayat ki ke ghar ke andar cheezon mein barkat nahi hai. Huzoor ne farmaya:
   "Kya tum Ayatul Kursi nahi padhte? Jis khane aur salan mein tum Ayatul Kursi padhoge, Allah usme barkat dega." (Durre Mansoor 1/323)

Khulasa

Bas akhir mein yahi kahunga ke Quran padhein, is par amal karein aur iske fazail wa barkat se faida hasil karein. Isse duniya aur aakhi,rat mein kamyabi nasib hogi. Allah Ta'ala humein Quran par amal ki taufeeq ata farmaye. Ameen.


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.