Eid Milad-un-Nabi: Wiladat-e-Mustafa ka Eid Ka Din
Bismillahir-Rahmanir-Raheem
Assalamu Alaikum Doston,
12 Rabi-ul-Awwal Shareef hamare Aaqa Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wiladat ka din hai. Yeh din hamare liye Eid ka din hai kyunki hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aamad par khushiyan manate hain. Magar kuch logon ko "Eid" ka lafz se chidh hoti hai. Aaiye dekhein ke yeh hamare liye Eid ka din kyon hai aur hum Eid Milad-un-Nabi kyon manate hain.
Eid Milad ka Saboot Quran Se
Allah Ta'ala ne Quran Majeed mein irshad farmaya hai:
"Aur Jab Hazrat Esa Alaihissalam ne kaha: Aye Allah hamare Parwardigar, ham par aasman se ek khawan nazil farma taki woh (khawan ke aane ka din) hamare aglon aur pichhlon ke liye Eid ho."
(Al-Quran)
is se maloom hua ke agar ek khawan ke nazil hone ka din Eid ho sakta hai to sabse azeem nemat, yani Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wiladat ka din Eid ka din kyun na hoga?
Wiladat-e-Mustafa Par Khushi Manana Sunnat Hai
Aaqa-e-Do Jahan Sallallahu Alaihi Wasallam ki wiladat ka din hum Sunni Musalman ke liye Eid ka din hai. Hum is din ko poore jazbe aur mohabbat ke sath manate hain, kyunki yeh Allah ki sabse badi nemat hai. Jab huzoor ki wiladat hui to kainat ka zarra zarra jhoom utha, magar shaitan laeen ghamzada tha.
Hum Sunni Musalman huzoor ki wiladat par khushiyan manate hain aur shaitan ke hawari is par jalan mehsoos karte hain.
Ahadees Mubarak Se Eid Milad Ka Saboot
Hazrat Tariq bin Shihab RaziAllahu Anhu farmate hain ke ek Yahudi ne Hazrat Umar Farooq RaziAllahu Anhu se kaha:
"Aapki kitab Quran mein ek aayat hai agar woh hum par nazil hoti to hum us din ko Eid manate."
Farooq-e-Azam RaziAllahu Anhu ne farmaya: "Kaunsi aayat?"
Usne kaha: "Alyaum Akmaltu Lakum Deenakum"
Farooq-e-Azam RaziAllahu Anhu ne farmaya: "Main us din aur us maqam ko janta hoon, woh maqam Arafat aur woh din Juma tha."
(Bukhari Shareef)
Jis din Quran ki ek aayat nazil hui woh farooq-e-azam ke nazdeek Eid ka din hai to jis din Sahib-e-Quran tashreef laaye woh bhi yaqeenan Eid ka din hai.
Eid Milad-un-Nabi Manane Ka Maqsad
Hum Eid Milad is liye manate hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wiladat Mubarak ka din hamare liye sabse azeem din hai. Is din ka humein intezar rehta hai aur hum apne Aaqa ke tazkaray se apni mohabbat ka izhar karte hain.
Khatima:
Eid Milad-un-Nabi ka din har Musalman ke liye ek naya jazba aur muhabbat ka izhar hai. Hum is din ko poore shauq aur jazbe ke sath manate hain, kyunki yeh hamare dilon mein huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki mohabbat aur unki taalimaat ko taza karne ka sabse acha zariya hai.
Allah Ta'ala hamein huzoor ki wiladat mubarak ko shariat ke dayre mein rehkar manane ki taufeeq ata farmaye. Ameen.
Post a Comment