Buzurgon ka Ehtram aur unke Huqooq
Islam humein chhoton par shafqat aur badon ka ehtram sikhata hai. Ye hamara deeni aur muashrati farz hai ke hum buzurgon ki izzat karein, unka khayal rakhein, aur unke tajurbe aur ilm se faida uthaayein. Buzurgon ki khidmat aur ehtram se Allah ki raza hasil hoti hai aur aakhirat mein kamiabi milti hai.
Buzurgon ke baare mein chand aham baatein
1. Umar raseeda afraad ki izzat karna:
Unki badi umar ka khayal rakhein aur samjhein ke unho ne apni zindagi mein nekiyan zyada ki hain aur humse behtareen hain.
2. Duaon ki ahmiyat:
Safed bal walon ki dua Allah ke nazdeek maqbool hoti hai. Unse duaen lena aur dua karwana apni aadat banayein.
3. Waliden ke sathiyon aur rishtedaron ki izzat:
Waliden ke doston aur azizon ki izzat karein, unki khairiyat maloom karein aur waliden ke baare mein unki achhi baatein sunen.
4. Kal ke liye aaj ki khidmat:
Aaj agar hum buzurgon ki izzat aur khidmat kareinge to kal jab hum burhape ko pahuchein to log bhi humara khayal rakheinge.
5. Buzurgon ko sahulat faraham karna:
- Sawari par chadhne aur utarne mein unki madad karein.
- Bus ya gaadi mein jagah bana kar unhein baithne ka moka deina.
6. Tajurbe se faida uthana:
Unke ilm aur tajurbe se mashwara lena barkat aur kamiabi ka zariya hai.
7. Tahammul aur bardasht:
Umar raseeda afraad apni kamzori ki wajah se bachon ki tarah ho jaate hain. Unki nagawar baatein bardasht karein aur unhein izzat dein.
8. Ehtram mein narmi aur akhlaq:
Unse mazaq ya taana na karein, balke naram lehje mein guftagu karein aur unke jazbat ka khayal rakhein.
9. Muashrati aur deeni huqooq ki adaigi:
Umar raseeda afraad, kamzoron aur maazooron ke huqooq ada karna hamare deeni aur akhlaqi farz mein shamil hai.
khulaasa
Buzurgon ka ehtram unki umar, ilm, tajurbe aur kamzori ki wajah se zaroori hai. Unse duaen lena, unki khidmat karna aur unke mashwaron se faida uthana sirf deeni farz nahi, balki hamari apni zindagi ke liye bhi rehmat ka zariya hai.
Ikhtitamiya
Buzurgon ki izzat aur khidmat karna hamara farz hai. Aaj agar hum unka khayal rakheinge to kal log hamara bhi khayal rakheinge. Jo boya jata hai, wahi kata jata hai. Is liye badon ke ehtram aur khidmat ko apni zindagi ka hissa banayein.
Post a Comment