qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

mahe ramzan aur usmen ibadaat ki fazilat

Mahe Ramzan aur usmein ibadaat ki fazilat

Ramzan ul Mubarak ka Muqaddas Maheena

Islami saal ka 9va mahina Ramzan ul Mubarak hai jiske roze farz hain aur Ramzan mein nek aamal ka sawab badha diya jata hai. Nafil ka sawab farz ke barabar aur farz ka sawab 70 farzon ke barabar ataa kiya jata hai. Is mahine ka pehla ashra rehmat hai, dusra ashra magfirat hai, aur teesra ashra jahannam se aazadi ka hai.
Mahe Ramzan aur uski ibadaat ki fazilaton ke baare mein kasrat se hadeesen aayi hain.

Ramzan aur ibadaat ki fazilat

Hazrat Abu Hurairah radiAllahu anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya: "Jo imaan ki wajah se aur sawab ke liye Ramzan ka roza rakhega, uske agle gunaah bakhsh diye jayenge. Aur jo imaan ki wajah se aur sawab ke liye Ramzan ki raton mein qayam karega, uske agle gunaah bakhsh diye jayenge. Aur jo imaan ki wajah se aur sawab ke liye Shab-e-Qadr mein qayam karega, uske agle gunaah bakhsh diye jayenge." (Bukhari aur Muslim)

Roza: Nek Amal ka Behtareen Ajr

Nabi Akram sallallahu-alaihi-wasallam ne irshad farmaya: "Ibn-e-Adam ka har nek amal das guna se saat sau guna tak badha diya jata hai. Allah taala ne farmaya: magar roza, kyunke rozedar apni khwahishat aur khane ko sirf mere liye tark karta hai. Aur rozedar ke liye do khushiyan hain: ek khushi use iftar ke waqt ataa hoti hai aur doosri apne Rab se mulaqaat ke waqt hogi. Aur rozedar ke munh ki boo Allah taala ko mushk se zyada pasand hai. Aur roza dhaal hai, jab tum mein se koi roza rakhe to na gandi baat kahe aur na shor kare. Aur agar koi gali de to us se itna keh de ke main roze se hoon." (Bukhari aur Tirmizi)

Rozedar ki Qabr se Uthnay ki Halat

Hazrat Abdullah bin Abbas radiAllahu anhu se mervi hai ke Allah ke Rasool sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya: "Jab rozedar apni qabron se niklenge to unke munh se mushk ki khushboo ki laptein aayengi. Jannat ka ek dastarkhwan unke samne rakha jayega jisse woh khayenge aur woh sab Arsh ke saaye mein honge." (Lataif ul Ma’arif)

Roza aur Quran ki Shafa’at

Hazrat Abdullah bin Umar radiAllahu anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya: "Roza aur Quran banda ke liye (Qayamat ke din) shafa’at karenge. Roza kahega: ‘Aye Rab! Maine ise din mein khane aur khwahishon se rok diya, meri shafa’at iske haq mein qubool farma.’ Quran kahega: ‘Aye Rab! Maine ise raat mein sone se baaz rakha, meri shafa’at iske haq mein qubool kar.’ Dono ki shafa’aten iske haq mein qubool hongi." (Musnad Ahmad)

Roza aur Dozakh ki Aag se Bachao

Hazrat Abu Saeed Khudri radiAllahu anhu se riwayat hai ke Huzoor sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya: "Jo banda Allah ki raah mein ek din roza rakhe, Allah taala uske munh ko Dozakh se sattar baras ki raah door farma dega." (Sunan Nisai) Allah Rabbul Izzat ki bargaah mein dua hai ke hamari zindagiyon mein yeh mubarak mahina baar-baar laaye aur iska ahtram karke duniya aur aakhirat mein sarfarazi hasil karne ki taufeeq bakshe. Aameen.
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.