qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Ramzan mein kaun se aamaal kasrat se kiye jaen

 

### Ramzan mein kaun se aamaal kasrat se kiye jaen  

#### **Barkat Wala Mahina**  
Ramzan Sharif Islami saal ka 9va mahina hai aur Ramzan Sharif ke roze farz hain. Duniya ke sare musalman is mahine main roza rakha karte hain, raat ko 20 rakat taraweeh ki namaz ada karte hain.  

Ramzan Sharif yeh aisa Mubarak mahina hai jismein barkat aam hoti hai, rahmaten nazil hoti hain, nekiyon ka sawab kai guna badha diya jata hai, lagzishen maaf ki jaati hain, duaen qubool ki jaati hain, Jannat ke darwaze khol diye jaate hain, aur Jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain.  

Mustafa jaane rehmat ﷺ farmate hain:  
**“Tumhare pass Ramzan ka Mubarak mahina aaya. Allah ne tum par iske roze farz kiye hain. Is mahine mein aasman ke darwaze khol diye jaate hain, Jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain, aur shareer jin aur shayateen qaid kar diye jaate hain. Is mah Mubarak mein Allah taala ki taraf se ek aisi ba barkat raat hai jo hazar mahinon se afzal aur behtar hai, yani Shab-e-Qadr. To jo iske sawab se mahroom raha woh haqeeqat mein mehroom raha.”** *(Sunan Nisai)*  
Ramzan Mein Kaun Se Aamaal Kasrat Se Kiye Jaen**  
Hazrat Salman Farsi RadiAllahu anhu se rivayat hai ke Rasool e Khuda ﷺ ne Shaban ke aakhir mein khutba irshad farmaya (ismein Ramzan ke fazail ko byan farmaya):  
“Is mahine mein chaar baton ki kasrat karo:  
- Do batein woh jinse tumhara Rab razi ho.  
- Do batein woh jin ki tumhen har waqt zaroorat hai.  
Jin do se tumhara Rab razi ho woh **Kalma-e-Shahadat** aur **Astaghfar** hai.  
Jin do ki tumhe har waqt zaroorat hai woh yeh hai ke tum Allah taala se **Jannat** mango aur **Dozakh** se uski panaah mango.”** *(Attar Ghib wattarhid)*  
Pasandida Aamaal ki Taraf Tawajjuh 
Is Hadees Mubarak mein Aaqa e Do Jahan ﷺ ne apni ummat ko Ramzan Mubarak mein kiye jaane wale pasandida tareen aamaal ki taraf mutawaja farmaya:  
- Kalma-e-Shahadat:  
  Allah taala ki tauhid aur Rasul Maqbool ﷺ ki risalat ka iqrar.  
- Istaghfar:  
  Apne gunahon ki bakhshish aur magfirat ke liye Allah taala ki bargah mein ilteja karna.  
  - Inse Allah taala razi hota hai.  
Baqi Jannat ki talab aur Jahannam se Allah taala ki panaah mangna yeh har insan ki apni zaroorat hai.  
Naseehat
Lihaza Ramzan Shareef main roze rakhne ke saath saath:  
- Zikr-o-Azkar.  
- Tauba aur Astaghfar.  
- Ibadat main mashgool rahen!  
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.