qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Tahajjud namaz ki fazilat aur tahajjud namaz ka tariqa

Tahajjud namaz ki fazilat aur tahajjud namaz ka tariqa 

assalamu alaikum..

Tahajjud ki namaz ji han aaj main tahajjud ki namaz ka zikr karne wala hoon aur ye batane wala hoon ke namaz e tahajjud ki fazilat aur barkat kya hai aur tahajjud ki namaz kab padhi jati hai aur kitni rakaten hain 

namaz tahajjud ki fazilat quran kareem main mutaddid jagah par tahajjud padhne walon ka tazkirah farmaya gaya hai ek maqam par is tarah hai ...tarjuma...shab main unke pehlu bistaron se alag ho jate hain narazgi ke khauf aur rehmat ki tama main apne rab ki ibadat karte hain aur hamari di hui daulat se hamari raah main kharch karte hain to aankhon ko thandak pahunchane wali nematen jo unke waste poshida rakhi gain hain unka kisi nafs ko ilm nahi hatta ke farishte bhi unse la ilm hain (p21 s sajdah)

hadees shareef  huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya aye abu huraira tum chahte ho ke halat e hayat aur mamat main qabr main qabr se uthte waqt qayamat ke din tum par Allah tala ki rehmat ho to raat main uth kar apne rab ko razi karne ke liye namaz padho 

hadees shareef  huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya raat ki namaz ikhteyar karo ke yeh tum se pehle nek bandon ka tareeqa hai aur qurb e ilahi ke husool ka zariya hai gunah maaf hone ka sabab aur badan ki bimariyan door hone ke liye mojab hai aur gunahon se rokne wala hai !

iske ilawa aur bhi quran o hadees main tahajjud ki namaz aur tahajjud ki namaz padhne walon ki fazilat bayan ki gai hai.

Tahajjud ki namaz kab padhi jati hai namaz tahajjud padhne ke liye raat ke pichhle peher bedar hona chahiye kyonke yeh namaz raat ke kuchh hisse main sone ke baad padhi jati hai kyonke tahajjud ka masnoon waqt yahi hai ke isha ki namaz padh kar aadmi so jaye aur phir aadhi raat ke waqt bedar hokar namaz tahajjud padhe kyonke huzur sallallahu alaihi wasallam ka yahi tariqa e kaar tha ke aap kabhi nisf raat ke kuchh der baad ya kabhi raat ke pichhle peher uthte uth kar Allah tala ki tareef bayan karte miswak karte phir wazu karte aur baad  namaz e tahajjud main mashgool ho jate lihaza hamen bhi aisa karna chahiye .!

Tahajjud ki namaz ki kitni rakaten hain tahajjud ki namaz main 2 rakat se lekar 12 rakat hain 

main yahan par namaz tahajjud ka tareeqa ::hamari namaz :: kitab main jo tareeqa likha hai wohi likh raha hoon

farz isha padhne ke kuchh der so rahe phir shab main tulue subah se pehle jis waqt aankh khule agarche raat ke 9 baje ya jadon main 7:45 baje isha padh kar so rahe aur saat sawa saat baje aankh khule wahi waqt tahajjud ka hai wazu karke kam az kam 2 rakat padhle tahajjud ho gaya aur sunnat 8 rakat hain aur mamul e mashaikh 12 !

qirat ke talluq se yeh hai ke surah fatiha ke baad jo bhi surah yaad hon use padh sakte hain 

maine mukhtasar lekin jame taur par tahajjud ki namaz ke bare main likha aap apni raye ka izhar comment box main zaroor de sakte hain.


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.