qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

sunni ladke ka nikah wahabiya ladki ke sath karna kaisa ?

Sunni ladke ka nikah salafi (wahabi) se karna kaisa ?

Assalamualaikum 

Aap ne uper Title main padh hi liya hoga ke mera is post ka topic kya hai 

Ji haan hamen is baat ka ilm hona bahut zaroori hai hai ke kya sunni ladke ka nikah wahabi salafi deobandi ladki se ho sakta hai ya nahi aur kyon nahi ho sakta iski wajah kya hai yeh bhi janna zaroori hai aur isi tarah se kisi sunni ladki ka nikah kisi salafi wahabi deobandi se ho sakta hai ya nahi aur yahi cheez batane wala hoon main aaj ki is post main ab aaiye asal baat ki taraf !


Sunni ladke ka nikah kisi salafi wahabi deobandi ladki se ho sakta hai ?

Sunni ladke ka nikah salafi wahabi ladki se hargiz nahi ho sakta hai agar kisi ne shadi kar liya to yeh shadi shadi nahi aur aulad bhi halal nahi kehlayegi .


[ads id="ads1"]

Nikah na hone ki wajah kya hai ?

Sunni ladke ka nikah deobandi wahabi salafi se na hone ki wajah yeh hai ke deobandi aur ahlehadees apne kufriyat qataiya jaisa ke unki ktabon main hai  (hifzul iman safa 8 tehzirunnas safa 3,14,128,) aur braheen qatia ki bunyad par ba mutabiq fatawa(hisamul haramain) yeh wahabi salfi deobandi kafir aur murtad hain aur murtada ka nikah kisi sunni ladke se hargiz nahi ho sakta jaisa ke alamgiri ma’a khaniya main hai (tarjuma) murtad ka nikah murtada muslimah aur kafirah asliyah kisi se jaiz nahi aur aise hi murtada ka nikah kisi se jaiz nahi aisa hi mabsoot main hai (fatawa alamgiri ma’a khaniya j 1 s 282)

Lihaza kisi salafi wahabi deobandi ladki ka nikah kisi sunni ladke se nahi ho sakta


[ads id="ads2"]

Sunni ladka wahabi deobandi ladki se kab shadi kar sakta hai aur nikah karna kab jaiz hoga ?

Agar woh deobandi wahabi ahlehadees salafi ke aqid batila se tauba kar le aur apne deobandi

ahlehadees ke peshwaon ko kafir murtad kahe aur sunni sahih ul aqeedah hone ka iqrar kare to uske baad ek zamana daraz tak use chhod den (kam se kam 3 4 mahina) aur uske ahwal par gehri nazar rakhe aur jab pura yaqeen ho jaye ke waqai woh sunni sahih ul aqeedah ho gai hai aur niyaz fatiha wagairah karti hai aur deobandiyon ya ahlehadeeson se bilkul meljol nahi rakhti aur sab gumrah firqon se nafrat karti hai tab uska nikah sunni ladke se jaiz hoga .!

Isi tarah kisi sunni ladki ka nikah bhi kisi deobandi ahlehadees se bilkul bhi jaiz nahi hai .

Wallahu tala aalam 


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.