Ham muharram kaise manayen
Assalamu alaikum
Muharram ki 10 tarikh woh azimuth shan tarikh hai jisko aashura kehte hain badi ahmiyat ki hamil hai yeh tarikh apne pehlu main kai ek azeem waqiat liye huye hai ke isi din hazrat nooh alaihissalam ek azeem tufan ke baad zameen par tashreef laye isi mubarak tarikh ko hazrat musa alaihissalam ki qaum ne fiaun ke zulm o sitam se nijat pai isi tarikh ko juma ke din qayamat aane wali hai aur san 61 hijri main muharram ki isi tarikh main juma ke din hazrat imam husain radiAllahu anhu ne karbala ki tapti hui zameen par deen haq ki hifazat ki khatir tamam a,azza aqarba rufqa aur khud ko bhi raah e khuda main qurban karke ahle islam ke liye sabr o tahammul aur tasleem o raza ka mukammal dars aur shariat ke ahkam ki pabandi aur sunnat RasoolAllal sallallahu alaihi wasallam ki itteba ka zabardast amli suboot pesh kiya hai
[ads id="ads1"]
Aashura ke din musalman kya karen ?
Muharram ki 9 tarikh aur 10 tarikh ko roza rakhen ke muharram ki 9 aur 10 tarikh ke roze ki badi fazilat aai hai khususan 10 muharram yani aashura ka roza is main saal bhar ke roza ka sawab hai aur guzishta ek saal ke gunahon ki muaafi hai
Hadees Shareef
Hazrat abdullah bin abbas radiAllahu anhu se riwayat hai ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne khud bhi aashura ka roza rakha aur saari ummat ko is din roza rakhne ka hukm diya (hadees)
Aashura ke din nafil namaz ziyada se ziyada ada kare aashura ke din jo shakhs gusl karke 2 rakat namaz ada kare aur is tarah padhe ke pehli aur dusri rakat main Alhamdu shareef ke baad 10 martaba qulhuAllahu ahad puri surah padhe jab 2 rakat mukammal ho jayen to salam pherne ke baad 1 baar ayatul kursi aur 9 baar darood e ibrahimi padhen iski barkat yeh hogi inshaAllah umar main barkat aur zindagi main falah wa kamyabi hogi sadqah wa khairat karen aur khususan hazrat imam husain aur tamam shohdaye karbala ki arwah ko isal e sawab karen isi tarah 10 muharram yani aashura ke din deeni mehfil sajayen quran khawani ka ahtemam karen wa deegar nek kaam karen
[ads id="ads2"]
Hazrat imam husain radiAllahu anhu ki rooh paak ko isale sawab karen
Ashura ke din zohar se pehle 4 rakat namaz nafil 2-2 rakat karke ada kare aur har dono rakat main alhamdu ke baad 15-15 baar surah ikhlas padhe aur namaz mukammal ho jaye to iska sawab hazrat imam husain radiAllahu anhu ki rooh paak ko iska sawab isaal kare
Aashura ka din aur dua e aashura
Aashura ke din tamam musalmano ko chahiye ke woh dua e aashura zaroor padhen aur kisi dusre se bhi padhwakar sun sakte hain aashura ki dua ke bare main badi fazilat aai hai ke jo dua e aashura padhega aashura ke din to inshaAllah ek saal tak maut nahi aayegi aur agar is saal maut hai to padhne ki taufeeq nahi hogi
Beherhal aashura ke din roza rakhen sadqah wa khairat karen isal e sawab karen sabeel pilayen zikr azkar karen deeni muhafil ka ineqad karen quran khwani karen aur musalmano ko aashura ke din khurafat se bachna chahiye aur gair islami rasm o riwaj ko muaashre se door karna chahiye aur khilaf e shara umoor se bachen aur islami taur tareeqe par apni zindagi guzaren ke islami taur tareeqe se zindagi guzarna yahi taleem hazrat imam husain ki hai
Post a Comment