Ham garibon ke Aaqa pe behad darood
Duniya Main garibon ka koi pursan e haal Nahin garibon ki HamDardi aur Unki zaruraton ki takmil ke Nare to bahut Sare Logon aur bahut sari tanzimon ne lagae lekin koi aisa Nizam jis mein gurbat ka ilaaj Ho Kisi Ne Aaj Tak pesh nahin kiya Tarikhe insaaniyat mein aaqa e Kareem Sallallahu Alaihi wasallam Tanha woh shakhsiyat Hain jinhone gurbat ke khatme ke liye ek Mukammal nizam pesh farmaya aur aaqa e Karim Sallallahu Alaihi wasallam Har us fard ko uthane ke liye tashreef laye Jo muashre Mein be wuqat o be qimat tha aur tarikh Gawah Hai Ki aapne Aisa Inquilab barpa Kiya Ke azmat wa rifat per sarmayadaron ka qabza Na Raha balke Garib kamzor aur be haisiyat log bhi azmato rifat ke minar pahunch gaye
Garibon ke sath husne sulook karo
Aaj shadi Biyah ke mauke per ya Kisi bhi Khushi Ke mauke per garibon ki shirkat bahut Sare sarmayadaron ki peshani per Daag Laga jaati hai isliye wo garibon ko apni shaadi byaah ki mehfilon aur Khushi Ke Hungamon Se Dur hi rakhte hain lekin rahamate Alam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne garibon Ka Maqam aur Unse husne suluk Ka Aisa Nizam aur sath hi Sath khud Apna Aisa amal pesh kiya ke Qayamat Tak Duniya Ka Koi Bhi qad aawar shakhs bhi pesh nahin kar sakta
Garibon ki madad karo aur unhain khush rakho
duniya ki ek se ek badi shakhsiyaton ko dekho aur sath hi Sath Duniya Ke sabse Bade sabse azeem tarikh Insaniyat ke sabse Bade mohsin aur huzoor rahamate Alam Sallallahu Alaihi wasallam ko Dekho Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sab Kuchh hone ke bawjud garibon ke sath Rehna Aur unhi Ke Sath hashr ko Pasand farmaya huzur sallallahu alaihi wasallam Ne ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa ko yeh nasihat farmai
Aye ayesha kabhi bhi muhtaj wa zaruratmand Ko mayus Na Karna khwah Tum Khajur ki guthli hi Kyon Na de shko mazeed yeh ke garibon muhtaj on Se Mohabbat Kiya Karo aur Unse qurbat Hasil kiya karo beshak Iske sile Main Allah Tala Roz e Qayamat Tumhe Apne qurb se Nawazega (tirmizi Sharif)
Aaqa Kareem Sallallahu Alaihi wasllam ka Ek Aur irshade Mubarak Hazrat Imam Muslim alaihir rahmah se riyayat kardah is hadees pak main maujood hai bahut se paragandah baal Aise Hain jinhen Log haqeer Samajh Kar Apne darwaze se Dhakka de dete hain lekin Agar woh Kisi kam ke liye qasam uthaen to Allah Tala Unki qasam zarur puri farma de isi Nizam ka ek hissa Sadqa fitr Hai huzur Sallallahu Alaihi wasllam Ne Sadqa fitr ke zariye garibon ko Eid ki Khushi ata farmaye sabse bada Darbar Mere Parwar Digar Allah Tala Ka Ghar Hai yani Masjid hai apne is Darbar ke liye Allah Tala Ne Aisa Nizam murattab farmaya ke Agar Garib jaldi Pahunch Gaya to woh saf awwal ka haqdaar hai aur bade se bade sarmayadar ko Uske Piche Uske qadmon main bethna Padega
Garibon ke sath acha bartao karo
ISI Tarah aap Islami Nizam ki gehraiyon per gaur karen to Andaaza Hoga Ki Islam garibon ke sath Kis qadar husne sulook ki talqeen farmata hai bade bade deen daar gareeb logon ka salam bhi qubool nahi karte unse milna aur musafa karna to bahut door ki baat hai aliyazo billah
jinko Huzoor Sallallahu alaihi wasallam Ne Pyar Diya aur Hame unse Pyar Karne ka hukm Diya Magar Afsos Humne unhen haqeer samajh liya aur muhabbat se mehrumi ka mustahiq gardana
Allah Tala Ham Sabko garibon ka hamdard aur Unse Mohabbat Karne Wala banae aur ham sab se woh kam Le Jo uske aur uske Mehboob Sallallahu alaihi wasallam Ki Marzi Ke Mutabiq Ho
Ham garibon ke aaqa pe behad Durood
Ham faqiron ki sarwat Pe Lakhon Salam
Post a Comment