qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Woh kaun se sahabi Hain jinke imaan laane ke liye Nabi sallallahu Alaihi wasallam ne dua ki

Woh kaun se sahabi Hain jinke imaan laane ke liye Nabi sallallahu Alaihi wasallam ne dua ki

Ji han aaiye un Khush naseeb sahabi ke bare mein jante Hain Ke jinke islam main dakhil hone ke  Sari kainat ke rasool Allah Ke Habib sallallahu alaihi wasallam ne dua farmai Woh hazrat umar farooq Radi Allahu anhu hain 

Nabi Akram sallallahu Alaihi wasallam ke Baqi tamam sahaba mureed the Jab Ke hazrat Farooq Azam Murad the huzur rahmate alam sallallahu alaihi wasallam ne dua farmai dua ke alfaz Kuchh is Tarah the

Nabi sallallahu alaihi wasallam ne hazrat umar ke liye dua farmai

Aye Allah to Umar bin khattab ya amru bin hisham ke zariye Islam ko izzat wa sar bulandi aur quwwat wa galba ata farma (tirmizi shareef)

Aur ek riwayat mein hai hazrat Abdullah IBN Abbas radiallahu anhu se riwayat hai ki huzur Nabi Akram sallallahu Alaihi wasllam ne dua farmai "Aye Allah Umar ibn khattab ke zariye Islam ko izzat ata farma (Hakim v tibrani)

Aur ek riwayat mein hai ki Jab hazrat Umar Radi Allahu anhu imaan laye to jibrail alaihissalam nazil hue aur Kaha aye Mohammed sallallahu alaihi wasallam tehqiq ahle aasman ne hazrat Umar Radi Allahu anhu ke Islam laane per Khushi manai hai aur Mubarak baadiyan di Hain (ibne Maja)

Huzoor rehmat e alam sallallahu alaihi wasallam ki dua ke agle hi din hazrat Umar bin khattab Islam ki daulat se malamal ho Gaye

Hazrat umar ke imaan lane ka waqia

Ek din pure quraish Ke bade bade sardaron ne mil jul kar yeh faisla kiya ke kisi Tarah huzur Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasllam hi Ka khatma Kar Diya jaaye hazrat Umar Radi Allahu anhu apni bahaduri mein mashhur wa yakta aur Islam ke muqabla Ke liye un sab mein bahadur the talwar niyam se nikalte laat wa uzza aur bade bade buton Ki qasam khate Aur farmate Hain ki aaj talwar niyam mein Na dalenge jab tak ke (maaz Allah) Mohammad Nabi sallallahu Alaihi wasallam ka sar badan se Juda Na kar den yeh keh kar uthe aur Sarkar ruhi fida ke qayam gaah ki taraf badhe raste mein ittefakan hazrat Naeem bin Abdullah mil Gaye unke tevar dekhkar poochha khair To Hai na nangi talwar liye aaj Kahan chale bole aaj Mohammed Arabi sallallahu alaihi wasallam Ka faisla karne jata hun unhone Kaha pehle Apne Ghar Ki to khabar lo khud tumhare behnoi saeed  aur behan Fatima bhi Islam la chuke hain aur daam e mohabbat mohammadi sallallahu Alaihi sallam mein girftar ho chuke hain yeh sunte hi hazrat Umar Josh mein Aaye Aur pehle behan hi ke ghar ka rasta liya juhi darwaze per pahunche andar se kuchh padhne ki awaaz kaan mein aai aap Radi Allahu ki behan hazrat Fatima Radi Allahu anhu us waqt tilawat Quran mein mashgool thi yahi awaaz thi Jo hazrat Umar ne suni darwaza khatkhataya behnoi Aaye darwaza khola unse pehla sawal yahi kiya ke kya tum musalman ho gaye ho woh bechare chup Reh Gaye tevar badle hue hain nangi talwar hath mein Hai gazab mein aakar bar bar yahi sawal aakhir unhen maarna shuru Kiya behan aai unki bhi khabar li yahan tak ki unka badan bhi lahu luhan ho Gaya pit rahi hain khoon beh raha hai talwar sar per Hai magar Allah re isteqamat wa  himmat Josh mein aakar farmaati Hain Umar chahe maro chahe chodo qatl karna hai kar dalo ham to ek Allah Ke bande aur rasool arbi sallallahu alahi wasallam ke farma bardar ban chuke "Islam ab dil se nahin nikal Sakta" is isteqlal wa isteqamat ka asar hazrat Umar Ke dil per aisa pada Ke Dil Bhar aaya aur be ikhteyar farmaya aakhir mujhe bhi To batao ke Islam main kya hai maine darwaze per Suna ki tum kuchh padh rahi thi mujhe bhi sunao mujhe bhi dikhao behan yeh sunkar Quran Kareem ke woh ajza Jo hazrat Umar Ke dar se chhupa Diye the phir nikalkar lain aur samne Rakh diye uthakar Dekha To yah Surah thi 

tarjuma "aasman wa zameen mein Jo kuchh Hai Allah Ki paki byan karta Hai wahi izzat wa hikmat wala hai" padhte padhte Jab is aayat per pahunche ke tarjuma "Allah aur uske rasool per Iman lao" be sakhta bol uthe ke main gawahi deta hun ki Allah Ke siwa koi mabood Nahin Aur main gawahi deta hoon ke hazrat Muhammad sallallahu Alaihi wasallam Allah Ke bande aur rasool Hain kalma padhkar uthe aur Sarkar Ke darbar ki taraf badhe Huzur Akramsallallahu alaihi wasallam un dinon arqam ke makan mein the dushman Charo taraf tak mein lage hue the isliye darwaza band tha hazrat Umar darwaza per pahunche dastkat di yeh khabar aastana nubuwwat per pahunch chuki thi Ke aaj Umar is irada se nikle Hain isliye jo sahaba ghar mein huzoor Akram sallallahu Alaihi sallam ke pass the ghabra gaye lekin hazrat amir Hamza ne himmat ki aur farmya kuchh parvah Nahin darwaza khol do agar sar jhukane ke liye Aaye Hain rehmat ka daman khula hai aur agar sarkashi maqsood Hai To unhi ki talwar hogi Aur unhin Ka sar darwaza khula hazrat Umar andar dakhil huye 

Hazrat Umar juhi Sarkar do alam sallallahu Alaihi sallam Ke samne pahunche huzoor sallallahu Alaihi wasllam ne irshad farmaya "Umar hamse kab tak Juda rahoge" mohabbat bhare andaaz main is jumle ka Ada Hona tha ki hazrat Umar kanp gaye aur pukar uthe * ash hadu Allailaha illallahu wa ashhadu Anna muhammadan Abduhu wa rasuluhu" huzoor sallallahu Alaihi wasallam ne buland awaaz mein farmaya "Allah Hu Akbar" sath hi sab sahaba ne is zor se Nara e takbeer bland kiya ke Makka muazzama ki pahadiyan goonj uthin

To yeh tha hazrat Umar ke bare mein mukhtasar byan ki huzoor sallallahu Alaihi wasallam ne hazrat Umar Ke Islam laane Ke liye dua farmai aur huzoor sallallahu sallam ne hazrat Umar Ke liye dua farmai thi aur agle hi din hazrat umar ne kalma padhkar islam main dakhil ho gaye 

is se ek baat Aur bhi maloom hoti  hai ki agar koi shakhs razi Khushi bina kisi dabao ke Islam qabool karna chahta hai to woh Islam ke jankar yani Kisi mufti Sahab ya aalim sahab ya maulana sahab ke pass haazir ho aur apna maqsad bayan Kare aur kalma padh kar islam main dakhil ho sakta hai

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.