qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

shohar la pata ho aurat kya kare


shohar la pata ho aur maloom nahi woh zinda hai ya mar gaya to aurat kaya kare ?

aaj main un shoharon ke bare main baat karne wala hoon jo kisi wajah se ghar se chale jate hain aur kafi arsa ho chuka hota hai ghar wapas nahi aate hain idhar uske bivi bachhe kafi pareshan rehte hain kafi talash ke baojood bhi shohar ka pata nahi chalta ke woh kahan hai kis haal main hai woh zinda hai ya uski maut ho chuki hai kuchh khabar hi nahi maloom hoti hai 4-5 saal ka arsa bhi guzar jata hai jab aisi surat ho to uski bivi kya kare aur islam main kya hukm hai aaiye jante hain 
aise hi ek sawal ke jawab main  fatawa faizurrasool main hai 

jis gumshuda mard ki maut wa zindagi ka haal maloom na ho woh mafqud ul khabar (jiski koi khabar ya pata na ho)hai  mafqud ki bivi ke liye mazhab e hanafi main yeh hukm hai ke woh apne shohar ki umar 90 saal hone tak intezar kare aur ibn hemam radiAllahu anhu ka mukhtar yeh hai ke woh apne shohar ki umar 70 saal hone tak intezar kare 

mafqud ki bivi ek surat main nikak kar sakti hai 


magar mafqud(jo aadmi lapata ho) ki aurat ko hazrat imam malik radiAllahu anhu ke mazhab par amal ki rukhsat hai unke mazhab par aurat zila ke sabse bade sunni sahih ul aqidah aalim ke huzoor faskh (mansookh todna) nikah ka dawa kare woh aalim uska dawa sunkar 4 saal ki muddat muqarrar kare agar mafqud (lapata gayab) ki aurat ne kisi aalim ke samne apna dawa pesh na kiya aur bataur khud 4 saal intezar karti rahi to ye iddat hisab main shumar na hogi balke dawa ke baad 4 saal ki muddat darkar hai is muddat main uske shohar ki maut wa zindagi maloom karne ki har mumkin koshish karen jab ye muddat guzar jaye aur uske shohar ki maut wa zindagi na maloom ho sake to woh aurat usi aalim ke huzoor istegasa pesh kare us waqt woh aalim uske shohar par maut ka hukm karega phir aurat iddat wafat guzar kar jis sunni sahih ul aqidah se chahe nikah kar sakti hai is se pehle uska nikah kisi se hargiz hargiz jaiz nahin 
(fatawa faizurrasool safa 287/288)

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.