nail polish lagakar wazu kiya aur namaz padhi to kya wazu aur namaz ho jayegi ?
Yahan per wazu ka jo Mustahab tareeqa hai woh bhi padhte chalen taake jankari mein Aur izafa ho
To sabse pehle wazu Karne Wale ko chahie ke apne dil mein wazu Ka irada Karke qible ki taraf munh Karke kahin unchi jagah per baithe aur bismillah hirrahmanirrahim padh kar pehle donon hath 3 martaba gatton tak dhoye phir miswak Kare phir teen martaba chullu mein Pani lekar 3 bar kulliyan Kare ke Har bar munh ke andar Har purze per Pani beh jaaye aur rozadar Na ho To gar gara Kare Phir teen chullu se 3 bar naak mein Pani chadhae Ke jahan tak naran hissa hota Hai Har bar us per Pani beh jaaye aur baaen hath se naak saaf Kare phir teen martaba is Tarah chehra dhoe ke mathe per bal jamne ki jagah se lekar thodi Ke niche tak dahine kaan ki lau se baen Kan Ki lau tak sab jagah Pani beh jaaye aur koi jagah bhi Pani behne se Na Reh jaaye phir 3 martaba kohni samait yani kohni se kuchh upar hath dhoe phir ISI Tarah teen martaba Baya hath dhoe phir ek bar pure sar ka masah Kare phir donon paon pehle dahina paon phir baya takhno samait teen teen bar dhoe (hamara Islam)
Yahan tak aapne wazu ka mustahab tariqa padha aur Maine yeh tariqa isliye likha ke agar hamara wazu Sahi hua to namaz bhi Sahi hogi aur agar wazu hi na ho to namaz bhi nahin hogi aur jaisa ke aaj kal yeh fashion ban chuka hai ki ladiss Apne nakhunon mein nail polish lagati Hain To nail polish lagane se wazu Hoga ya nahin hoga to yahi baat mein batane wala hun ki nail polish agar nakhunon mein lagi ho aur phir wazu Karke namaz padh liya aisi Surat mein wazoo aur namaj hogi ya nahin hogi to iska jawab yah Hai Ki nakhunon per nail polish lagi ho to wazu nahin hota kyunki nail polish Ki Teh nakhunon per jam jaati Hai jiske sabab Uske niche Pani Nahin pahunchta kyunki kohniyon se nakhun tak koi jagah zarra barabar bhi dhulne se Reh jayegi to wazu Na Hoga (bahare shariyat)
is halat mein agar namaz padh li to namaz bhi Na hui aur namaz Ka eada zaruri hai kyunki wazu hi na hua to namaz kis Tarah hogi nail polish mein spirit hota hai aur spirit napak hai isliye is se Har aurat ko bachna chahie
yahan per ek masla Aur bhi padhte chalein ke lipstick lagana kaisa hai kyunki aajkal makeup Ka riwaj bad qismati se aam ho Gaya Hai Aur auraten lipstick ko hataye bagair wazu kar leti Hain yahan tak ke lipstick lagi hui ho aur namaj tak padh leti Hain To iske bare mein bhi Jaan len To yeh chizen yani lipstick naa pak Hai To unka Jism per lagana hi jaaiz Nahin namaz mein Jism to kya kapde aur jagah Ka pak Hona bhi zaruri hai aur agar pak Hain To agar yeh chizen chehre Ki rangat aur Hyyat ko badalti Hain To iska istemal makrooh Hai hatta Ke tayammum karne wale ko hukum Diya Gaya Hai Ki woh mitti ko chehre per is Tarah na lagaen ke jisse haiyyat chehra motagayyar ho jaaye agar honton per lipstick lagi ho to usko chhudakar namaz padhe kyunki namaz mein lipstick lagana makrooh hai (fatwa naeemiya s21)
Post a Comment