qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

salam ka jawab dena wajib hai What is the wrongdoing if someone doesN'T reply to assalamualaikum?


Aapas mein salaam kehne ko badhawa farog do

Salam

Islam ki sabse buniyadi ikhlaqi taleem mulaqat ke waqt salam kehna hai yeh salamati Aman aur masarrat ka paigam hai Jo ek musalman dusre musalman ko mulaqat ke waqt deta hai lihaza  Apne Walden aulad Aziz aur aqarib aur digar musalman bhaiyon ko milte waqt salam kehna chahie kyunki aisa karne se mohabbat mein izafa hota Hai 

Salam ka zikr quran mein

ahle imaan ko salam kehna zaroori Hai balke salaam kehne se musalmani Ka izhaar hota Hai Quran e majeed mein salam kehne ki is tarah takeed ki gai hai "aur jab tumko koi dua de to (jawab mein) tum usse behtar (kalme) se (use)dua do ya unhi lafzon se dua do beshak khuda Har chiz ka hisab Lene wala hai (surah nisa)

Salam ka sunnat tariqa 

salam Karne ka sunnat tariqa yeh hai ki jab Kisi musalman bhai se mulaqat ho to khanda peshani se use Assalamu alaikum kahen aur jawab mein dusra musalman walekum assalam kahe huzoor sallallahu Alaihi vasllam Ka yahi tariqa tha ke jab Kisi se milte to use Assalamu alaikum kehte aur agar koi aap sallallahu Alaihi wasallam ko salam kehta to aap sallallahu alaihi wasallam jawab mein walekum Assalam wa rahmatullahi wa barakatuh farmate  Assalamu alaikum ka matlab yeh hai ki aap Allah tala ki salamati aur panah  mein aa jaen yani Har dukh dard ranj wa  Gam fikr pareshani aur tamam aafat wa masaib se bache raho 

[ads id="ads1"]

lafz salam Allah tala ke naamon mein se hai jiske mani Aman salamati Dene Wale Ke Hain To matlab yeh hua ki ham mulaqat ke waqt ek dusre ki salamati Ki dua Karte Hain 

huzoor sallallahu Alaihi sallam ke bad aapke sahaba aur unke bad aaj tak aane Wale buzurgane deen aur ulama ne Apne Apne halqe mein salam Karne ka amli taur per tarbiyat Dene Ka tariqa qayam kar rakha hai lihaza walden ko chahiye ke apni aulad ko sabse pehle salam kehne ki tarbiyat den

Salam ke jawab ka mukammal tariqa

Jab koi assalamualaikum kahe To Uske jawab main sirf walekum salam per iktefa karenge To Kam nekiyon ka ajr  milega aur agar uske sath wa rehmatullah wa barakatuh ka izaafa karenge to ziyada nekiyon ka ajr sawab milega isliye yeh Rah jaati nekiyan hain unse mehroom Nahin rehna chahiye aksar buzurgane deen aur Sofiya Ka tarz e Amal hai ki jab koi unhen Assalamu alaikum kehta Hai to woh jawab main walekum Assalam wa rehmatullahi wa barakatuh bhi kehte hain lihaza Har shakhs ko is per Amal karna chahiye

Aapas mein salaam kehne ko badhawa farog do

musalman ka farz hai ke salam ko farog de aur ziyada se ziyada salam Karne Ki aadat daale Huzur sallallahu alaihi wasallam ka irshad hai ki main tumhen aisi tadbeer batata hun ke jisko ikhteyar Karne se tumhare darmiyaan dosti Aur mohabbat badh jayegi lihaza aapas mein kasrat se ek dusre ko salam Karne Ki aadat Bana lo (Muslim Sharif) 

is se maloom hua ke huzoor sallallahu Alaihi wasallam ke farman ke mutabiq dusron ko salam kehne ki targeeb deni chahiye

[ads id="ads2"]

Salam karna sunnat aur jawab dena wajib hai

Hadees Sharif main hai Sarkar do aalam sallallahu alaihi wasallam ne farmaya  ke jab koi shakhs apne bhai se mile to use salam Kare phir un donon ke darmiyaan darakht ya deewar ya pat,thar haail (beech main aajaye) ho jaaye aur phir mulaqat ho to phir salam Kare (abu daoo) 

aur agar koi shakhs salam Ka jawab Nahin deta hai to woh gunahgaar hai kyunki salam ka jawab fauran dena wajid hai bila uzr (wajah) takheer der ki to gunahgaar Hoga aur yeh gunah phir jawab Dene se dafa Na Hoga bal ke tauba Karni hogi (durre mukhtar)

Jab koi shakhs salam ka jawab nahi Deta Hai to Goya usne wajib ko tark kiya wajib chhoda aur wajib ka tark karna chhodna gunah hai 

agar post Pasand aaye to comment box main apni raae ka izhar zaroor karen

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.