qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

namazon main jab imam qirat kare to muqtadiyon ke liye zaroori hai ke woh khamosh rahen aur imam ke pichhe surah fateha wagairah kuchh bhi na padhen

 

imam qirat kare to muqtadi khamosh rahen 

panch waqt ki namaz farz hai aur namaz ki jamat wajib hai 

jamat wajib hai bila uzr sharai ek waqt ki bhi jamat chhodne wala sakht gunagar aur fasiq hai jamat ke sath namaz padhna tanha padhne se 27 darje ziyada fazilat rakhta hai quran majeed main Allah tala ka farman hai ke "aur namaz qaim karo aur zakat do aur ruku karne walon ke sath ruku karo" (para 1 surah baqra aayat 43 ) is aayat main namaz aur zakat ki farziyat aur jamat ki targeeb ka byan hai ruku karne walon ke sath ruku karo  iska yahi matlab hai ke jamat ke sath namaz padha karo 

imam qirat kare to muqtadi khamosh rahen 

quran majeed main Allah tala ka farman hai ke "aur jab quran padha jaye to use kan laga kar suno aur khamosh raho ke tum par reham ho" (para 9 surah aaraf ayat 204 )

is ayat mubaraka ka yahi matlab hai ke jab bhi jahan bhi jis hal main bhi quran majeed padha jaye to hazreen par farz hai ke usko gaur se sunen aur bilkul khamosh rahen 

is se chand masail sabit ho gaye jinka dheyan rakhna zaroori hai 

1) namazon main jab imam qirat kare to muqtadiyon ke liye zaroori hai ke woh khamosh rahen aur imam ke pichhe surah fateha wagairah kuchh bhi na padhen 

2) juma wa edain aur nikah ke khutbon aur waiz ki majlison main tilawat e quran majeed ko khamosh ho kar sunna farz hai in waqton main hazreen ka kuchh padhna ya baten karna haram hai 

3) quran khwani ki majlison main main sab logon ka baland aawaz se ek sath quran padhna jaaiz nahi hai kyunke jab ek aadmi baland aawaz se quran padhe to hazreen par wajib ho jata hai ke khamosh reh kar usko bagaur sunen isliye teeja chehlam wagairah quraan khawani ki majlison main zaroori hai ke sab log aahista quran majeed padhen take ek ki qirat dusre ke kan main na pade aur sab log quran padhte rahen 

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.