Kam khori yani khana kam khana hazaron bimariyon se nijat Dilata Hai aur yahi Islam Ki talimat Hain Ke pet Ka ek hissa khane ke liye ek pani ke liye aur ek sans ke liye rakho yani ek hissa khana Khao ek hissa Pani pio Aur ek hissa sans ke liye chodo lekin hota ulta hai ki ham kehte Hain Ki Sara pet khane se bharo Pani Apni jagah khud banaa lega
Shaikh saadi rehmatullah alaih ne gulistaan mein Likha Hai Ki Kisi ilaqe Ke badshah ne huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam Ki bargah mein ek Hakeem Sahab ko bheja ki aapke sahaba Aapke janisar gulam jab bimar hon to unka ilaaj Mualja Karen lekin ek Arsa tak madina Munawwara mein Raha aur koi bhi bimar Uske pas Na Gaya aakhir wapas jaane Ki ijazat talab karne ke sath sawal Kiya Ki wajah kya Hai yahan Ke log bimar kyon Nahin hote To usko bataya Gaya ke yeh log Apne Nabi sallallahu alaihi wasllam ki taleem par Amal karte hue us waqt khana khate Hain jab unko khoob bhook lagti hai aur us waqt chhod dete Hain jab abhi bhook Baki rehti hai
ziyada khane ka nuqsan yeh bhi hai ki Dil ke jitne bhi imraz marz Hain yani ke tamam bimariyan Dil Ki ziyada khana khane ki hi wajah se hoti Hain ziyada khana khane Ki paidawar Hain Dil Ki tamam bimariyan aur sabse badi baat To yeh hai hi ziyada khana khane se Jo hamari Dil Ki ragen (wall) band hote Hain ziyada khane se motapa badhta hai blood pressure (BP) ke Imraz janam Lete Hain aur makhbutul hawasi (pagal)Ke daure padte Hain agar in tamam bimariyon ka ilaj is ek sunnat yani ke kam khane per Amal karne se ho jaaye to aur kya chahie
Goya is se zahir bhi savarta hai aur batin main bhi nooraniyat paida hoti hai
Chand Sher padhen Jin main sehat aur tandrusti ke bare main hain aur Jo bahut hi khoobsurat Andaz mein likhe gaye hain aap bhi in shero ko padhiye
jahan tak kaam chalta ho giza"khurak"se wahan tak chahie bachna dawa se
agar tujh ko lage jaade mein Sardi
to istemal kar andon ki zardi
Jo ho mehsoos maade mein girani
Tu pi le sonf ya adrak Ka Pani
agar khoon kam hai aur balgam ziyada to kha gajar chane shalgam ziyada
Jigar ke bal pe hai insan jita
agar zoaf Jigar Hai kha papita
thakan se hon agar uzlaat dheele
to fauran dudh garma garam pee le
Jo taqat mein Kami hoti ho mehsus
to misri Ki Dali Multan ki choose
Ziyada agar dimagi hai tera Kaam
To khale shehad ke hamrah badam
agar ho qalb"Dil" mein garmi ka ehsaas murabba amla kha aur Anan naas
Jo dukhta ho gala nazle ke mare
To kar namkin pani ke garare
Dosto in sheron main bimariyon Ka ilaj khoobsurat Andaz mein bata diya gaya hai !
Post achhi lage to comment main zaroor batayen
Post a Comment