Ham dusron ko kya de sakte hain - 6
is kadi ki pichhli kadhi mein aapne waqt ke bare mein padha hoga Ki ham apna qimti waqt nikal kar dusron ko den to yeh unke liye madad hogi ab is series ki is Kadi mein ke ham daulat se bhi dusron ki madad kar sakte hain aaiye tafseel se padhte Hain
daulat
jis Tarah hamen ikhteyar Hai Ki ham ne apna waqt kaise guzarna hai aise hi hamen yah ikhteyar bhi Hai Ki ham ne apni daulat kaise kharch karni hai ham log ziyadatar apni khwahish aur zarurat ke darmiyaan bahut ziyada pareshan Hain agar ham nai car chahte Hain naye kapde chahte hain ya koi naya TV chahte Hain To pehle khud se puchen ke kya yeh chizen mere liye zaroori Hain ? dusra sawal khud se puchen ke agar main yeh chizen Na kharidu To kya Mera guzara ho sakta hai ?
ham logon ne khwahish aur zarurat ke darmiyaan koi farq rawaa Nahin rakha jis Bina par har khwahish ke husool ki wajah se hamare muashre mein logon ke maqrooz hone ki Sharah mein teji se izaafa ho raha hai bahut se log diwaliya hain aur aksar log diwaliya hone ke qareeb Hain credit card ne bhi logon ko qarz ke bojh tale daba rakha Hai din ba din sood badhta ja raha hai aise maqrooz logon Ki halat bahut buri Hai woh ruhani karb aur pareshaniyon mein mubtila hain qarz se un logon ne sirf apni khwahishat ke liye gair zaruri ekhrajat kiye hain
yah chiz unke liye ab bahut takleef deh Hai aise log apne aap ko aala society main numaya karna chahte the lekin qarz ki fehrist unhen sabse upar le gai ab yeh log apna qarz utarne ke liye mushkil se mushkil kaam karte hain na chahte hue bhi overtime lagate Hain ab woh ziyada se ziyada paisa hasil Kar Ke qarz se pichha chhudana chahte Hain agar hamare pas buniyadi zaruraton ko pura karne ke liye raqam Hai To us se hamari zindagi behtar aur aasani se guzregi zehen per koi dabaw Nahin hoga muqarrara ahdaf target bhi baa aasani hasil kiye ja sakte hain kuchh logon ne apni Zindagi Ka maqsad sirf daulat aur jaidad banana hi rakha hota Hai aise logon ko bahut se masail Ka samna karna padta hai kuchh log bahut hi daulatmand hone ke bawjood ghareloo pareshaniyon mein ghire hote Hain karodpati log bhi qarz ki bimariyon mein mubtila hote hain kuchh logon ke pas wafir daulat hoti hai lekin Woh ek ek minute ke liye sachchi mohabbat ko taraste Hain
Woh bacchon Ki mohabbat ko taraste Hain acchi sehat ke liye taraste hain zehni sukoon Ke liye taraste Hain aise log jab diyanad Dari se apni daulat aur jaayedad ke bare mein sochte hain to Amuman unhen mayusi Hoti Hai kyunki woh ala tareen insaano ki fehrist mein Nahin aate
yad rakhen jab ek shaks muaashi aasoodgi hasil Kar le To phir daulat ko apni Tarjihat se Nikal de yahi Amal use itminaan ki niyamat se behrahyaab karega
kya daulat buri chiz Hai ?
Nahin ! daulat na hi buri chiz hai aur na hi acchi chiz hai Pani Aur aag Ki Tarah daulat gair janib daar hai hamen zinda rehne ke liye Pani ki zarurat hai lekin Pani hamen dubokar halak bhi kar sakta hai aag hamen garmi deti Hai lekin aag hamen jala bhi sakti hai aise hi daulat bhi Hai jab daulat ko apni buniyadi zaruriyat khandan ke tahaffuz aur dusre logon ke tahaffuz ke liye istemal Karte Hain To yeh acchi hai agar daulat ko gair sehat Mandana maqasid aur gair zaruri kamon ke liye istemal kiya jaaye to yeh buri hai daulat tawanai Ki hi ek shakal Hai jab ham daulat Ki tawanai ko dusron ke liye istemal Karte Hain To yah tawanai hamari Jaanib laut ti Hai tab uski shakal mukhtalif Hoti Hai jab ham usko dusron ki madad ke liye istemal Nahin Karte to usmein ek jamood paida ho jata Hai jiski wajah se masail janam lete hain ab yeh khud hamari Marzi hai ke hamen uska istemal kaise karna hai isliye jab hamen zarurat aur khwahish mein farq maloom ho jaega to is farq ka Jaanna hamare andar makhlooq e khuda Ki bhalai ke liye kharch karne ke jazbat mein izaafe Ka baais banega
beharhal ham daulat ko achhi jagah aur achhe kamon main kharch karen aur ham dusron ki madad daulat ke zarie se bhi kar sakte hain
jari
Post a Comment