qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

hunar mand aur fankar log aam logon ki nisbat behtar tariqe se dusre logon ki madad kar sakte hain

Ham dusron ko kya de sakte hain -7

Is series Ki pichli kadi mein aapne daulat ke bare mein padha Hoga Ki ham dusron ko kuchh de sakte hain to ek daulat bhi Hai Jo ham dusron ko dekar un per kharch Kar ke unki madad kar sakte hain ab is silsile ko aage badhate hue ki ham dusron ko kya de sakte hain to ismein ek yeh bhi hai ki ham apna Hunar aur fun kar unki madad kar sakte hain to aaiae tafsil se hunar aur fun ke bare mein bhi padhte Hain

Hunar wa fun

hunar mand aur fankar log aam logon ki nisbat behtar tariqe se dusre logon ki madad kar sakte hain hunar mand aur karigar log aam logon ki nisbat ziyada hassas aur nafees hote hain isiliye yeh Apne hunar aur fun main darjaa e Kamal ko pahunch jaate Hain 

agar aapke pass koi fun hai aur aap yeh hunar ya fun Kisi ko infiradi ya ijtimai taur per sikha sakte hain to is Tarah aap gair Honar mand logon ko fankar aur karigar banaa sakte hain 
hunar aur fun ek bahut bada tohfa hai jo ham Kisi ko sikha Kar Kisi Ki zindagi ko aasan banaa sakte hain yeh bhi kanoon e fitrat hai ki jo Honar ham dusron ko sikhate Hain uska inam hamen zarur milta Hai ham jis qadar apna hunar Aur fun dusron ko sikhaenge usi qadar ziyada izzat wa ahteram aur muaashre mein maqan milega Honar aur fun jadeed taqazon ke mutabiq Hona chahie aur jadeed taqazon ke mutabik har kisi ko Honar aur fun hasil karna chahie ham shayad sochte ho ki hamare pass koi Honar aur fun Nahin Hai jab Ke aisi baat Nahin Hai kyunki har shakhs kuchh Na kuchh zarur karta hai jisse woh apni rozi kamata hai maslan agar aap koi account ka kam jante Hain To aap Kisi falahi idare vagaira ko Apni khidmat hafte mein hi ek do ghante pesh kar sakte hain 
aap apne mohalle mein dusron ke darmiyaan achchhe talluqat qayam karane mein aham kirdar Ada kar sakte hain 
agar aap mein leadership ki Salahiyaten Hain To aap Kisi falahi idaare  ka member ban sakte hain 
agar aap Kisi bhi hawale se koi Honar rakhte hon to aapke pass zindagi mein beshumar muwaqe Hain ki aap raza kaarana taur per logon ki madad kar sakte hain 
dar asal jab ham Kisi Ke liye kuchh Karte Hain To fitrat Ka qanoon harkat mein a jata hai aur hamare fayde ke liye khud BA khud kuchh hone lagta hai 
Aaiye kuchh aise kaam ke bare main Jaan Len ke ham unko Seekh sakte hain ya Woh hamen aate hon to unmain behtaree paida kar sakte hain 
1) ham apni community mein Apne talluqat ko ziyada mazboot bana sakte hain Uske alava likhna bolna ya taqreer karna Sikh kar Apne Mafi uz zameer ko behtar taur per byan kar sakte hain aur isi Honar ko ham dusron ko bhi sikha sakte hain 
2) ham Apne andar ehsas e zimmedari ko badha sakte hain Apne Raviyye ko ziyada mazboot kar sakte hain 
3) ham Apne hasil mutala aur jo kuchh humne sikha hota hai ko apni zindagi per lagu kar sakte hain 
4) ham Apne Raqam aur paise ko istemal karne ka hunar Sikh sakte ha 
5) ham apni zindagi mein nazm o zabt qayam karke bahut waqt bacha sakte hain aur us waqt ko falahi kamon ke liye istemal kar sakte hain 
agar ham chahte Hain ki dusron se behtar Aur mukhtalif hon To fir hamen apni salahiyaton ko musbat andaaz mein istemal karna hoga Apne hunar aur jismani salahiyaton ko azeem kamon ke liye istemal karna hoga ham jis qadar sikhenge Aur dusron ko sikhayenge usi qadar hamari zaat Ki nasho numa ziyada hogi 
behar haal ham dusron ko hunarmand banakar unki madad kar sakte hain 
Jari
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.