qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Zakat farz Hai maldar Sahib e nisab per har saal na dene par sakht gunahgar


Zakat farz Hai maldar Sahib e nisab per har saal

Zakat 

doston zakat Islam ka teesra rukn hai aur zakat san 2 hijri ko rakat farz hui namaz Ki Tarah uski farziyat bhi qatai hai iski farziyat ka munkir bhi kafir hai aur farz hone ke bad Ada na karne wala fasiq wa gunahgar hoga 

masala har aaqil wa balig Azad musalman mard ho ya aurat jab hajate asliyah se zaaid nishab ka Malik ho jaaye aur us per sal guzar jaaye to zakat Ada karna us per farz ho jaati Hai 

Wajoob e zakat ki hikmet 

Allah tala ne Quran mein irshad farmaya Hai "tarjuma" (zere aasman jo bhi zameen par chalne wala hai uska rizq maula tala ne apne zimma e karam par liya hai) har qism ke janwaron ko rizq mil raha hai aur aksar hamare mushahida mein hai ki pathar mein kide ko bhi rizq milta Hai 

insanon ke rizq ka is Tarah intezam farmaya ke unmen do giroh banaa diye ek giroh maldaron Ka aur dusra giroh fuqra wa masakeen ka Maldaron ko to Maal ata farma kar rizq ata farmaya aur fuqra wa masakeen ka haq maldaron ke Mal mein rakh kar fuqra Aur masakeen ke rizq Ka intezaam farmadiya ye uski mashiyyat Hai Jaise chahe intezaam farmaye woh Malik wa khaliq Hai uska har kam adal o insaaf par mabni Hai woh Kisi per zarra barabar zulm nahin karta 

Zakat ki fazeelat

ab zakat ki kya fazilat Hai woh bhi padhte chalen zakat ki fazeelat aur uske fawaid zakat ke lugvi maani badhna Hai ya paak Hona aur zakat Ada karne se Mal badhta aur barkat hoti hai aur baqaya Mal paak ho jata hai Quran pak mein Hai jiska mafhun yah hai ki "Rahe khuda mein kharch karne se ek ke badla mein 700 guna ka sawab milega aur jiske liye Allah tala chahega dugna farmadega 

zakat Ada Karne main jahan sawab hai wahin dunyavi faide bhi bahut Hain faide kya Hain woh bhi mukhtasar mulahiza farmayen 

pehla fayda zakat Ada karne se apni qaum ke Na daar muflis aur garib rishta daron ki imdad wa iyanat ho jaati Hai Aur woh aasani se apna pet Paal sakte hain jisse maldar Ki izzat o aabroo mehfooz rahegi koi tana Na dega ke falan Ka rishta dar bhukha mar raha hai aur woh Aish o ishrat mein zindagi guzar raha hai

Fayda number do maldar musalman jab fuqra wa masakeen ko sadqa wa zakat dega woh uske liye duaaen karenge aur usko musalmanon ki gaibana duaaen hasil hongi aur unki duaon ki barkat se usse musibaten tal jaengi 

Faida number 3 jis Mal se zakat Ada ho jaaye woh chhori dake jalne aur zaae hone se mehfooz ho jata hai 

fayda number 4 jab zakat Ada karta rahega to bukhl Ki bimari se mehfooz ho jaega aur maula Karim ke karam se uska shumar skhiyon mein hoga 

zakat Na Dene Ki burai 

Quran pak mein Hai jiska mafhun yeh hai "jo log duniya mein Sona chandi aur khazana jama karte hain aur rahe khuda mein kharch karne se gurez karte hain kal qayamat ko us sone chandi ke Patre banakar jahannam mein garm Karke uske sath uski peshaniyon pehluon Aur pushron ko daga jaega" (Al iyazu billa)

hadees Pak mein Hai jis Mal se zakat Ada na ki jayegi woh Mal ganje saanp ki shakal mein namudaar hokar usko dang marega ganja sanp bahut zehreela saanp hota Hai

doston zakat farz hai aur jo zakat Ada karta Hai uski badi fazilat bhi hai aur bahut se fayde bhi hain aur Jin par zakat farz hone ke bawjood woh zakat Ada Nahin Karte Hain To unke liye waeeden bhi Hain aur un Mal daron ko sochana chahie ki Jin par zakat farz hai aur woh zakat ada Nahin karte to unke liye to maqan ibrat hai ke in Mal daron ke liye Jo Apne Mal se zakat ada Nahin Karte aur zakat ko bojh samajhte hain aur fuqra wa masakeen ka haq ada Nahin Karte aur rahe khuda mein mal kharch Nahin Karte aur Mal Ka shukr Ada Nahin karte kya unhen qabr ki wehshat aur tangi yad Nahin aur kal qayamat ke din tamam makhlooq ke samne ruswa hone ka khatra Nahin Allah tala tamam maldaron ko sadqa aw  zakat ki taufeeq ata farmae !


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.