Wazu ka pura aur mukammal bayan
Quran majeed mein wazu ke bare mein bayan Kiya Gaya hai "tarjuma" (aye imaan walon jab tum namaz Ka irada karo aur (wazu Na ho) to Apne munh aur kohniyon tak hathon ko dhow aur Saron ka masah karo aur Takhnon tak paon dhow (surah maida aayat 6 para 6)
is aayate karima se maloom hua ke chehra dhona hahon ko kohniyon tak dhona sar ka masah karna aur Takhnon tak donon paon dhona wazu mein farz Hai kulli karna aur naak mein Pani chadhana sunnat hai
wazu ka tariqa
sabse pehle bismillah alhamdulillah padhen ulama farmate Hain ki wazu se pehle in kalmat ko padhne se jab tak wazu rahega farishte Uske naamae Amal main nekiyan likhte rahenge ab donon hathon ko dholen hathon ko dhone ke bad kulli Karen kulli karne mein yeh ahtiyat Karen ke Danton mein chhaliya wagaira fansi hui ho to use nikal den acchi Tarah kulli Karen ke pure munh mein koi hissa khushk Na reh jaaye miswak bhi Karen miswak karna sunnat hai Uske bad naak mein Pani chadhaya jaaye naak ki naram haddi tak pani chadhaya jaaye Uske bad chhungli ungli se sidhi taraf Ka Nathna phir ulti taraf Ka Nathna saaf Kiya Jaye is Tareeqe se teen martaba naak main Pani chadhaya jaaye yeh sunnat hai ab chehra dhona hai chehre ki tarif yeh hai ki balon ki jad yani peshani jahan Amuman Baal jamna shuru hote Hain wahan se lekar thudi tak aur ek kan ki lav se dusre Kan ki lav tak ka ilaqa wazu main dhona farz hai tariqa yeh hai ki hathon se chehre per Pani is Tarah dala jaaye ke Pani pure chehre per beh jaye ab yeh khayal rakhen ke chehre ki saidon per jahan jagah sukhi reh gai hai wahan ek chullu Pani hathon mein lekar daen aur baen taraf Dal Diya jaaye taki bal barabar bhi jagah sukhi Na rahe is tariqe se chehra dhona ek martaba dhona kehlayega jab tak pura chehra Nahin dhulega us waqt tak yeh dhulne mein shumar Na Hoga
Jin hazrat ki mashAllah dadhi hai to woh khas ehtemam Karen ke dadhi mein Pani Dal kar uska khilal Karen Ta ke andar tak chehre ki jad tak pani beh jaaye ya sunnat hai
ab donon hathon ko kohniyon samet dhona hai sabse pehle aap hath mein Pani lekar donon hathon per chupad len taki donon hath Gile aur tar ho jaen Uske bad nal ke niche se donon hath guzaren pehle sidha hath phir ulta hath yeh amal 3 martaba Karen hathon ko kohniyon tak Nahin balke kohniyon samet dhoen ke bal barabar bhi jagah sukhi Na rahe ab sar ka masah karna hai
hazrat imam Azam Abu hanifa alaihirrahma ke nazdeek chothai sar ka masah karna farz hai yani hath gila Kar ke sar per pher Diya jaaye to Masha ho jaega lekin sunnat tariqa yeh hai ki hathon ko Gila kiya jaaye Gila karne ke bad donon hathon ki chhoti ungli Uske barabar phir Uske barabar wali ungli yani teen ungliyan aapas mein sath milakar donon hathon ki ungliyon ko jahan se bal jamte Hain wahan se lekar pichhe le jaen Uske bad hatheliyan aapki Gili hain yeh Gili hatheliyan pichhe se aage laen taki hatheliyon mein jo tari hai woh balon mein lag jaaye Uske bad donon ungliyan angutha aur uske sath wali ungli donon kanon ke andar Dal kar ghumayen Uske bad hathon ki pusht Gili reh gaius se gardan ke piche masah Karen is Tarah pure sar ka masah ho Gaya pure sar Ka masah sarkar e do alam sallallahu alaihi wasllam ki sunnat hai
ab donon pairon ko kakhnon samet dhona hai pair dhote waqt ungliyon Ka khilal Karen hath ki chhoti ungli ko Gila Karke digar ungliyon mein ghumayen phir dusre pair mein bhi is Tarah Karen pehle sidha paon dhoen phir ulta pair ko nal ke niche se guzaren taki koi jagah bhi bal barabar sukhi na reh jaaye
Wazu karne ke bad aasman ki taraf Dekh Kar shahadat ki ungli uthakar kalma e shahadat padhen
doston yeh mukmmal wazu Ka tariqa bataya Gaya aur uski mukhtsar fazilat mujhe ummid hai ki aap ki maloomat mein izafa hua hoga !
Post a Comment