60 hazar durood ka sawab sirf 6 baar padh kar hasil kijiye
doston durood Sharif ka sawab aur uski fazilat kutub e ahadees mein bahut aai hai aur jo darood Sharif ka wird karta hai continue padhta hai to darood Sharif ki itni barkat hai ki Allah tala uski barkat se padhne wale ke har kam mein aasani farmata hai aur uska kaam pura ho jata hai jo bhi Murad Hoti Hai Allah use Puri farmata hai aur jo bhi ek bar darood Sharif padhta hai Allah tala us per rehmat farmata hai Uske darjat baland farmata hai aur uske gunah Mita deta hai
isi Tarah se 1 durood Sharif Jo 60 hazar durood ka sawab ke naam se mashhur hai aap bhi use padhen aur koshish karen usko Amal mein laane ki take ham ek martaba darood Sharif padhen aur hamen Allah tala 60 hazar martba darood padhne ka sawab ata farmaye aur woh durood shareef kaun si hai aaiye jante hain us se pahle uski jo fazeelat hai woh bhi aap padh len hazrat sultan Mehmood gaznavi rehmatullah Alaih ki khidmat mein ek shakhs hazir hua aur arz ki ke main arsa e daraz se huzur sarwar e alam sallallahu alaihi wasallam ki ziyarat ka ishteyaq rakhta tha aur khwahish thi ke Kabhi khwab mein ziyarat ho aur Dil ke tamam dard sunaon tamam raat maine aankhen band Rakhi is ummid per ke mumkin Hai deedar ho
Qaza e ilahi se mujhe saadat Mili ke guzishta shab didar habib e khuda sallallahu alaihi wasallam se musharraf hua hun us rukhsar e jahan Ara ko Dekha Jo chaudhwin Ki Raat aur laylatul qadr ki rooh ki manind tha huzoor ko masroor Paker main ne arz Kiya ya rasool Allah sallallahu alaihi wasallam mein hazaron dirham ka maqrooz hoon hun uski adayegi se aajiz hun darta hun agar maut a jaaye to wohh qarz meri gardan per Hoga huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya mehmood ke pass jao woh tumhara qarz utar dega main ne arz ki woh kab aetemad karte hain unke liye koi nishani de dijiye aapne farmaya use jakar kaho aye Mehmood tum Raat ke awwal hissa mein 30 hazar bar darood padhte ho aur phir bedar hokar Raat ke aakhri hisse mein 30 hazar bar padhte ho is nishani ke batane se woh tumhara qarz utar dega Mehmood gaznavi ne jab yeh paigam suna to Rone laga aur tasdeeq karte hue us Ka qarz utaar Diya aur hazar dirham aur pesh Kiya
Arkan e daulat mutajjib hue ke is shakhs ne ek muhal Amar sunaya hai lekin aapne uski tasdeeq kardi halanke ham Aapki khidmat mein hazir hote Hain aapne Kabhi itni miqdar mein darood Sharif Nahin padha aur na hi koi Raat mein itni bar darood Sharif padh sakta hai
sultan Mehmood ne farmaya tum sach kehte ho lekin main ne ulama se suna hai ki jo shaks yeh darood Sharif
ko ek bar padhta hai to Goya woh hazar bar darood Sharif padhta hai main awwal shab main is darood Sharif ko teen bar padh leta Hun aur aakhir shab main bhi teen bar padh leta Hun is Tarah se Mera gumaan tha ke Goya main ne Raat ko 60 hazar bar darood Sharif padha jab is shakhs ne huzoor sallallahu alaihi wasallam Ka paigam pahunchaya hai mujhe is darood Sharif ki tasdeeq ho gai aur ulama ka farman bhi Sahi sabit hua subhanAllah
Post a Comment