qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

jab ham muskurahat ke sath Kisi Ki Khushi mein shamil hote hain to na sirf uski balke apni Khushi bhi do baala ho jaati Hai

Ham dusron ko kya de sakte hain -1

duniya mein har shakhs Kisi Na Kisi gam taklif musibat ya mushkil Ka shikar zarur Hai lazmi Nahin ke uski yeh mushkil ya taklif Ka hal sirf aur sirf Mali imdad hi ho zarurat is Amr ki hai ki ham is baat ka khoj lagaen ke ham dusron ke liye kya kar sakte hain aur kis zaaviye se uski madad kar sakte hain ? 

Aiye un musbat raviyon ikhlaqi iqdar aur salahiyaton per ek nazar daalte Hain jis se ham Kisi zarurat mand Ki zindagi main musbat tabdeeli paida kar sakte hain dekhne ko yeh mamuli chizen Hain magar yeh kisi shakhsiyat par kis Tarah asar andaaz hoti hain uska andaza hamen in raviyon ko apnane ke bad hi ho sakta hai

Muskurahat

Aaj duniya muaashi behran mein mubtela hai jangon ke khatrat sar per mandla rahe hain aur Puri duniya mein sehat ke masail badhte ja Rahe Hain isliye har Kisi ko apna zehni tanav kam karne ke liye muskurahaton ki zarurat hai "muskurahat Zindagi Ki alamat Hai" yeh khushiyan Takhleeq Karti aur gam zida logon ki madad Karti hai 

yeh hadon ko khatam Karke mushkil chizon ko aasan kar deti hai jab ham muskurahat ke sath Kisi Ki Khushi mein shamil hote hain to na sirf uski balke apni Khushi bhi do baala ho jaati Hai muskurahaten sehat Ke liye dawai se ziyada mufeed Hain kyunki muskurahat mein sacchai hoti hai jo ki ek taqatwar tonic hai 

science danon ka kehna hai ki jab aap muskurate hain to Aapke dimag mein ek taqatvar chemical "endorphins" paida hota Hai "endorphins" taklif kam karta hai aur aapki Rooh aur Jism ko taqatvar karta hai 

aam logon ko Apne gamon Aur mayusiyon Ki wajah se muskurane ka mauqa hi Nahin milta yeh ek bahut bada almia hai hamen aise logon ko muskurahaten dekar zindagi Ki ummid Dilaani chahie 

almiye aur muskurahat ke darmiyaan bahut hi kam fasla hai ham chhoti si baat per gam zida ho jaate hain lekin agar ham bade se bade nuqsan per bhi muskurana Seekh len To is se hamen zinda rehne mein ziyada madad milegi dusron ke sath Apne dukh dard bantne muskurahaton ka tabadala karne se hosle badhte aur gam door hote hain

Nabi Akram sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya Tera apne bhai ke sath muskurane wale chehre ke sath milna bhi sadqa hai 

hamen chahie ki dusron ko apni muskurahat ka tohfa den har jagah har qism haalat mein log Kisi Na Kisi Tarah Ke masail mein mubtila Hain mushkilat kam karne ke liye ham muskurahat dekar unke andar ummid ki roshni paida kar sakte hain hatta ke muskurahat khauf Aur pareshani ko bhi kam kar deti hai muskurane se gusse ke jazbat aur zehni tanav khatm ho jata hai jo ke insan ko ummid ki roshni dikhata Hai Aur mushkil haalat ko aasani mein tabdeel kar deta hai !

Ham dusron ko kya de sakte hain ki Kadi main ek hamari muskurahat Hai Jo ham dusron ke sath muskurakar pesh aakar de sakte hain aur dusron Ka gam halka Kar sakte hain

jari 

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.