Angrezi naya saal aur musalman
Assalamu alaikum aiye sabse pehle ye jante Hain ke yeh angrezi Jo naya sal Hai Jo January se shuru hota hai aur December mahine mein khatam hota Hai to yeh sal kis qaum se nisbat rakhta hai aur haqeeqat mein yeh calender sal kiska hai
Is ko janne se pehle ye jaan Len ke naye Saal main hota kya hai
Naye sal ke jashn mein kya hota Hai
31 December ki raat ko duniya bhar ke Azad khayal log hotel park shopping Mall night club aur restaurant mein jama hote hain nach gane ki mehfil sajai jaati Hai sharab wa shabab ke daur chalte Hain night clubon mein be huda dance aur fehesh kapdon mein nach gane ka ehtemam hota hai jaam se jaam chhal kaye jaate Hain naujawan ladke ladkiyan milkar ek dusre ke sath ayyashi wa zina kaari karte hain jaise hi Raat Ke 12:00 bajte Hain cake kat te Hain aatish bazi Kar Ke naye sal Ka welcome aur khair muqaddam Kiya jata Hai baaz log is qadar pagla jaate Hain Ki naye sal Ka jashn manane ke liye sadkon per DJ baja kar nachte hain na khud sote Hain na pass pados walon ko aaram karne dete Hain
Sochne wali baat yah hai ki yah naya sal Hai kiska
Is waqt Puri duniya mein alag alag calendar raaij hain musalmanon ka hijri calendar hinduon ka bikrami calender aur isaaiyon ka Esvi calender duniya mein raaij hai Islami saal ka aagaz Muharram aur ikhtetam zil,haj par hota Hai
Esvi calender January ta December per Mushtamil hai Esvi calendar ke mutabiq 31 December aur 1 January ki darmiyani raat ko naye saal Ka jashn manaya jata hai yahan ye baat zehen main rakhen ke ye Jo Naya saal Ka aagaz aur jashn manaya ja Raha Hai to ye saal aur jashn hamara Nahin balke unka Apne calender Ke mutabiq Hai jiski buniyad per woh January mein saal Ka aagaz karte hain aur December mein saal Ka ikhtetam karte Hain
Yaha ek kahawat Yaad aati hai (begani shadi main Abdullah deewana) matlab yeh hai ke hamara to Naya saal Nahi hai magar hamari halat ye hai ke dusre ke naye Saal main jashn mana rahe Hain naache chale ja rahe hain
Ye baat Yaad rakhen ke musalmanon ka naya saal na January se shuru hota hai aur na hi December per khatm hota Hai ab issai qaum Apne calendar ke mutabiq naache gaye kuchh bhi Karen lekin musalman jaisi qaum aakhir is khurafat mein kyon mulawwas hoti ja rahi hai
Kya islam ka daman itna tang hai ke unka apna calender Nahin Hai
aisa hargiz Nahin Hai hamara calender duniya ka behtarin calender mana jata Hai magar fir bhi isaaiyon Ki Dekha dekhi musalmanon mein bhi naye saal Ka be sabri se intezar Kiya jata hai apni tehzeeb aur apni riwayat ko kamtar wa haqeer jaankar isaai tehzeeb wa iqdar ko Apne gale Ka haar aur mathe ka jhumar banaya jata hai
Waza main tum ho nasara to tamaddun main hunood
yeh musalman Hain jinhen dekhkar Sharmaen Yahood
Khulasa baat yeh Hai Ki ab maloom ho Gaya ke January taa December yeh saal hamara Nahi hai to musalman kyon begani shadi main wali kahawat ko Apne uper laad rahe hain hamen suchna chahie ki hamara Islami naya saal January se nahin shuru hota bal ke Muharram se shuru hota Hai aur jab Muharram Aaye To musalmanon ko bhi Khushi manana chahie naye saal ki ek dusre ko Mubarak baad dena chahie matlab yah hai hai ki musalmanon ko chahie ki woh apna naya saal manae January se nahin bal Ke Muharram ul haram se
Post a Comment