qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

yeh Quran Logon ke liye Bayan aur Hidayat aur parhez garon ke liye nasihat hai


 Quran Majeed

Quran Bayan wa hidayat Aur nasihat Hai

Quran Sharif ke bare mein Allah Tala Ne Irshad farmaya Ke yeh woh muqaddas Kitab Hai Ki Har chiz ka Roshan Bayan Aur musalmanon Ke Liye Rehmat aur parhez garon ke liye nasihat hai 
Chunanche Irshad farmaya ke
(Tarjuma) yeh Quran Logon ke liye Bayan aur Hidayat aur parhez garon ke liye nasihat hai 
(Para 4 Surah all Imran aayat 138)

 aur dusri Jagah Hai (Tarjuma) aur aye paigamber Humne yeh Kitab Aap Par nazil ki jo Har chiz ka Roshan Bayan aur Hidayat wa rehmat Aur musalmanon Ke Liye khushkhabri sunane Wali Hai 
(Para 14 surah Nehal ayat 89)

Quran Majeed bahut se bade ausaaf ka Jaame Hai un ausaaf mein se Chand Ye Hain Jo aapne uper tarjume  main padha abhi inke Alawa senkro dusre ausaaf wa alqab Hain jinko Khuda wand alam ne Quran Majid Mein baar baar zikr farmaya hai aur Huzur sallallahu Alaihi wasllam ne apni Hadeeson main bhi Bayan farmaya hai

Quran Majeed Shifa hai

Quran Majid ruhani Aur jismani donon bimariyon Ke Liye Shifa Hai motala Kijiye Farman e Ilahi Hai Ke 
(Tarjuma) aye Logon Tumhare paas Tumhare Rab ki taraf se nasihat aai aur Dilon Ki sehat aur Hidayat aur Rehmat Iman Walon ke liye ( para11 Surah Yunus Ayat 57 )

aur ek Jagah hai (tarjuma) aur Hum Quran Mein Se utarte Hain woh chiz Jo Iman Walon ke liye Shifa aur Rehmat hai aur is se zalimo ko nuqsan hi badhta Hai (Para 15 Bani Israel Ayat 80)

Quran Majeed Dilon Ki bimariyon yani gumrahiyon aur bure aqaaid wa khayalat Jo Rooh par Asar Andaaz hote hain unke alawa jismani Tarah Tarah Ki bimariyon ke liye Bhi behtarin nuskha e shifa Hai balke 14 Sau Baras ka tajurba hai ke Baz woh bimariyan Jin ka ilaaj duniya bhar ke doctoron aur Hakimon Ke Paas Nahin Hai Jaise Jadu Tona aur Shaitani Asraat Ke Duniya ka koi doctor aur Hakim in bimariyon ka ilaaj nahin kar sakta Magar Quran Majeed ki aayatanon aur suraton se in marzon ka ilaaj Is qadar jald aur behtarin tariqe per ho jata hai ki phir Kabhi yeh imraaz Sar Nahin Utha Sakte 

Quran ko sirf Pak log chhuen 

Quran Majeed Itni muqaddas aur Pakiza kitab hai ke Allah Tala Ne hukm farmaya hai Ke Quran Majeed ko sirf wohi log chhuen jo paak hon isiliye Jin per gusl farz Ho yani Jumb Aur haiz o nifas wali aurat aur Bila wazu wale per Quran Majid ko Hath Lagana aur chhuna haram Hai han bila wazu wala aadmi Quran Majeed Ko zabani padh sakta hai Chhu Nahin Sakta aur Jumb wa haiz o nifas wali Aurat to zabani bhi Quran Ki Tilawat nahin kar sakti aur Na chhu sakti hai Allah Tala ka Farman Hai Ke (tarjuma) beshak yeh Izzat wala Quran hai mehfooz navishta Mein ise Na chhuen Magar Pak log (para 27 surah  waqia Aaya 79)

Zaroori hidayat

is se Yeh masala Maloom Hua ke aajkal  madaris Arabiya aur Musalman tajiron ke ishteharon aur calendar Mein Quran Majid ki aayaton Ko chhapne Ka Jo riwaj Pad Gaya Hai yeh bahut hi galat Tariqa hai jo khilaf e shariyat hai Kyunki yeh ishteharat Aam tor se diwaron per chaspa kiye Jaate Hain aur bahut jald fat fata kar idhar udhar Pak wa na pak Jaghon Mein Gir kar udte firte Hain  is se Quran azeem ki badi be adbi Hua  Karti Hai phir log aam taur per bila wazu in ishteharon aur calendaron ko chhute Rehte Hain Jo jaaiz nahin hai isliye Madarsa Arabia ke olama wa arakeen  ki bahut badi zimmedari hai ki woh Khud bhi iska Khayal rakhen Aur dusron Ko Bhi is galat riwaj se Mana Karte Rahen ki bila wazu Quran majeed Ki Kisi bhi aayat ko chhuna haram hai !

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.