Dudh ek khushgawar peene ki chiz hai
Allah tala ne apni qudrat aur hikmet ki nishaniyon ko bayan farmate hue Quran majeed mein dudh ka tazkira in lafzon mein bayan farmaya ke
(tarjuma) aur beshak chaupayon mein tumhare liye ibrat hai ham tumhen pilate Hain us chiz mein se jo unke pet mein hai gobar aur khoon ke bich mein se khalis dudh Jo peene walon ke halaq se baa aasani utar jata hai (Para 14 Surah nehel ayat 66)
Khulasae kalam yeh hai ke dudh ek Khush gawar peene ki chiz Allah tala ne apne bandon ko ata farmai lihaza dudh ko dawa aur giza ke taur per Pina Jaiz hai doctoron aur Hakimon ka azmooda tajurba hai ke dudh nahayat hi sehat bakhsh giza aur bahut si bimariyon ki nahayat hi mufeed dawa hai aur Quran Majid ke isharat bhi isi haqiqat ki taraf hidayat aur rehnumai kar rahe hain aur hadeeson mein sarahatan huzoor Akram sallallahu alaihi wasllam ne dudh ki madah farmai hai
Hikmat bhari baten
Ek padri ne ek alam sahab se kuchh sawal kiye aur Kaha agar aapne iska jawab de Diya aur main mutmaeen ho Gaya to musalman ho jaunga
padri ka pahla sawal
tooba jannat ka darakht hai uski Shakhen tamam jannat ke makanon mein pahunchengi ye kyon kar mumkin hai
Aalim sahab Ka jawab
Suraj ek jagah qaaim hai uski Shuaaen aur uski roshani har jagah pahunch jaati hai yahi haal tooba ka Hoga
padri ka dusra sawal
jannati har nemat khae piyega aur usko peshab pakhana ki hajat Nahin hogi Aalim sahab Ka jawab
baccha Man ke pet mein rehta hai use giza milti hai magar use pakhana ki hajat Nahin Hoti
padri ka teesra sawal
Mamba 1 aur usse 4 qism ki mukhtalif nehren nikli dudh shehad sharab Pani yeh kyon kar mumkin hai
Aalim sahab Ka jawab
Kan Ka Pani kadwa aankh Ka Pani aansu pheeke naak Ka Pani badboodar aur munh Ka Pani meetha halanke charon ka mamba dimag hai
Yeh aalimana aur shafi jawabat sunkar woh paadri musalman ho Gaya
(manama chashme bedar February 2011 Safar 91)
Post a Comment